Happy Rose Day 2017 – Pyar Ke Izhar Ka Pehla Din

Har Saal Valentine Day, 14 February ko manaya jata hai. lekin valentine ko log keval 1 din nahi balki uske pehle 7 din aur celebrate karte hai.  Iski shuruwat rose day se hoti hai. Iske bad chocolate day, promise day, kiss day iss tarah valentine tak koi na koi din rehta hai.

Aaj rose day hai, yane ki rutho ko manane ka din. Rose day ke din phul dekar aap samne wale ko bata sakte hai ki wo aapke liye kitna special hai, kitna khas hai.

Yadi aap pehle se hi kisi rishte mai hai to phul dekar use aur majboot bana sakte hai. Iske alawa aaj kai log apne naye rishte ki shuruwat bhi karte hai. Yadi aap samne wale ko apni dil ki baat kehne se ghabrate hai to yeh din aapke liye hi hai.

Aapko kuch kehne ki jarurat nahi hai bus samne wale ko ek phul dena hai, phul aapke dil ki baat samne wale tak jarur pahucha dega.  Aaj ka hamara pura lekh Happy Rose Day par hai.
 

Happy Rose Day: Har Gulab Ke Piche Chupa Matlab Pehchane

 
Happy Rose Day 2017
 
Gulab pyar ka pratik hai, isliye rose day aapke pyar ke izhar karne ka sabse accha din hai. Iss din bahut se log apne pyar ko laal gulab dete hai. Wahi kuch log dusre rang ka phul dena pasand karte hai. Aapka phul dene se bus itna hi matlab rehta hai ki aap apne pyar ka izhar kar sake.

Lekin kya aap jante hai alag alag rang ke gulab ke phul ka alag alag matlab hota hai. To kahi aap galat gulab dekar apni feeling ko lekar samne wale ko confuse na karde. Isliye aaj ham aapko Rose Day Special par alag alag gulab aur unke matlab bata rahe hai.
 

Red Rose – Laal Gulab

 
Red Rose – Laal Gulab
 

  • Rose day par jyadatar log laal gulab dena pasand karte hai.
  • Laal gulab dene ka sidha sidha matlab hota hai I Love U.
  • Laal gulab dene ka matlab aap samne wale ko hamesha apni jindagi mai chahte hai, use beintaha pyar karte hai.
  • Yadi samne wala aapka laal gulab accept kar leta hai. Iska matlab yeh hai ki wo bhi aapse beintaha pyar karta/karti hai.
  • Jaruri nahi hai ki Red Rose, sirf apne girlfriend ya boyfriend ko de.
  • Aap apni maa se bhi pyar karte hai to unhe phul dekar bhi aap iss din ko celebrate kar sakte hai. Yeh din sabke liye hai.

 

Yellow Rose – Pila Gulab

 
Yellow Rose – Pila Gulab
 

  • Aap apne dosto ko bhi pasand karte hai, unse pyar karte hai. Aese case mai unhe red rose naa de.
  • Dosto ko pila gulab dena chahiye. Pila gulab dosti, khusi aur sath dene ko lekar aabhar prakat karta hai.

 

White Rose – Safed Gulab

 
White Rose – Safed Gulab
 

  • Safed gulab pavitrata, shuddhata aur masumiyat ka prateek hai.
  • Kisi se maafi mangte wakt bhi iska upyog kiya jata hai.
  • Safed gulab ka matlab rishte ki shuruwat karna hota hai, isliye hi ise shadiyo mai bhi istemal kiya jata hai.
  • Lekin aap ise apne partner ko de rahe hai to thoda dhyan rakhe ki kahi wo aapse kisi baat se naraj to nahi hai, kyoki inhi phulo ka ek matlab rishte ko khatam karna bhi hota hai.

 

Pink Rose – Gulabi Gulab

 
Pink Rose – Gulabi Gulab
 

  • Gulabi rang romance, aabhar aur prashansa ka prateek hai.
  • Yeh phul dekar ya to ham sahanubhuti vyakt kar sakte hai ya to dhanyawad kar sakte hai.
  • Iske alawa rose day par gulabi phul dene ke do matlab ho sakte hai.
  • Gehre gulabi rang ke phul dene ka matlab sarahana karna hota hai. Ya fir kisi ne aapki jindagi khusnuma bana di ho to aap use dhanyawad de sakte hai.
  • Halke gulabi rang ke phul namrata aur prashansha se jude hote hai.

 

Purple Rose – Bengani Gulab

 
Purple Rose – Bengani Gulab
 

  • Yeh phul bahut kam dekhne ko milte hai. Yeh rang aakarshan ka pratit hota hai.
  • Iska matlab pehli najar mai pyar bhi hota hai. Isliye yadi aapko kisi se pehli najar mai hi pyar ho gaya tha to aap use yeh phul de sakte hai.

 

Orange Rose – Narangi Gulab

 
Orange Rose – Narangi Gulab
 

  • Iss rang ki baat kare to yeh pile gulab ki tarah dosti aur laal gulab ki tarah pyar darshata hai.
  • Yadi kisi se aap mohit ho gaye hai to use yeh phul de sakte hai.
  • Aamtour par jab koi jivan mai kuch accha prapt kar leta hai use bhi diya jata hai.

 
Upar aapne Happy Rose Day par alag alag gulabo ke bare mai jana. Samay bahut kam hai jaldi se jise bhi aap jo phul dena chahte hai dede.
 

Posted by Hrelate on Tuesday, 7 February 2017

Loading...

You may also like...