HCG Diet Plan in Hindi: Vajan Ko Kam Karne mai Sahayak
HCG yani Human Chorionic Gonadotropin yeh ek hormone hai jo garbhavati mahilao mai paya jata hai. HCG diet plan ko vajan kam karne ke liye banaya gaya hai, iss aahar mai hari sabjiya tatha poshtik aahar moujud hote hai jisse aapko koi dushparinam nahi hota hai.
Iss aahar yojna mai calorie ki matra bahut kam hoti hai aur aapke sharir ko jin jin chijo ki jarurat hoti hai wo sab iss aahar ke dwara mil jata hai. Iss aahar ko lene se aapka metabolism thik hota hai aur aapka vajan bhi kam hone lagta hai.
HCG diet plan ko rojana apne aahar mai shamil karke aasani se vajan ko niyantrit bhi kar sakte hai. Iske alawa jab aap isme bataye gaye aahar ka sevan karte hai to yeh aahar vasa (jo ki sharir pe charbi ke rup mai jama hota hai) ko urja mai badal deta hai.
To bina kisi samasya ke aap iss aahar ka fayda utha sakte hai, yadi galti se aapne iss diet plan ko galat tarike se bhi apnaya to aapke sharir par iska galat prabhav nahi padega. To aaiye jane hai HCg Diet Plan in Hindi.
HCG Diet Plan in Hindi: Iss Aahar Yojna Ke Bare mai Jane
Kai logo ka aisa manna hai ki HCG diet plan swasth ke liye accha nahi hota hai lekin chikitso ne iss bat ko galat sabit kiya hai aur bataya hai ki iss diet plan ko ajmakar vyakti aasani se apna vajan kam kar sakta hai. Iss diet plan ko 3 charno mai kiya jata hai.
- Loading
- Burning
- Maintenance
Inn tino charno ko saralta se pura kar aap apna vajan kam kar sakte hai, aur kuch hi dino mai aapko dikhne lagega ki aapka vajan kam ho raha hai.
Step 1 – Loading
Iss diet ko karne ke liye pehle aur dusre din ucch matra mai calorie wale fatty food khaye, Iss therapy ko loading phase kaha jata hai tatha aap isme kisi bhi tarah ka ucch vasa wala aahar kha sakte hai.
- Fatty food jaise pizza, burger, chicken, chocolate, chawal, aadi ka sevan khub kare.
- Jab aap adhik calorie wala khana khate hai aur bad mai kam calorie wala khane ka sevan karenge to aapko koi nuksan nahi hoga.
- Aapko sunkar bhale hi thoda atpata lag raha ho kintu yeh diet paln lene ki liye uccha vasa wala aahar khana bahut jaruri hai.
Step 2- Burning
Jab aap sharir ki charbi ghatane chahte hai to aapka ek goal set kar le ki aapko kitne din mai kitna kilo vajan kam karna hai. Iss diet plan ke sath vyakati 21 din mai 30 pounds tak vajan kam kar sakta hai. Aapka ghata hua vajan har kisi ko chouka dega.
- Pani ko khub piye sharir mai pani ki kami na hone de.
- Aapke HCG aahar ke sath HCG drop ko lena bhi bahut jaruri hai.
- Isme vyakti ka vajan 21 se 42 dino mai kam ho jata hai.
- Yadi aap aapke goal ko 21 din mai pura nahi kar paye to isse bada kar 42 din kar de.
- 21 dino mai aapke sharir mai jitni bhi atirikt calorie hai wo puri tarah khatam ho jayegi.
- HCG drop lene par vyakti ke sharir ke hath pair, thodi par jami atirikt charbi kam ho jayegi aur vyakti patla dikhai dene lagega.
Step 3- Maintenance
Yeh sabse aakhri charan hai jisme vyakti patla hone ke bad apne normal routine mai pahuch jata hai aur dusre khadya padarth ko bhi kha sakta hai. Yeh pure 3 hafto ke liye rehta hai aur iss charan mai aapko starch ya sharkara ko nahi khana chahiye.
- Rojana subah uthne ke bad aapka vajan jarur janche.
- Aap iss charan mai jis tarah ka pehle khana khate the wo kha sakte hai.
- Inn 3 hafto mai aapka sharir ko fir se pehle wale khane ke liye taiyar kiya jata hai.
- Jab aap iss hafte ko khatam kar rahe ho tab aakhri ke 2 se 3 din mai starch aur sharkara ka sevan kar sakte hai.
- Yadi aap kisi din 2 pound se jyada vajan bada lete hai to uss din khana chhod de, taki aap apne vajan ko niyantirt kar paye.
Swikrit Bhojan Ki Suchi
Protein | Taji safed machli, Chicken, Crab |
Sabjiya | Gajar, Palak, Kakdi, Pyaj, Saunf |
Phal | Santre, Sevphal, Strawberries |
Kya na khaye | Tel, butter, Jyada meetha |
Upar apne jana HCG Diet Plan in Hindi. Iss aahar yojana ko lagu karne se aap kuch hi din mai patle ho jayenge aur aapka sharir ek dam sudol aur aakarshit dikhega. Yeh aapka vajan kam karne ke liye bahut aachi yojna hai.