Healthy Cooking Oil ke Dwara Paiye Healthy Heart

Healthy Heart aapke jivan ka bahut aham hissa hota hai. Isliye aapko hamesha apne dil ke swasth ka khas khayal rahta hai. Jisse ke liye aap na jane kitni dawa ka sevan karte hai. Aur na jane kya-kya karte hai.

Lekin aap yeh bhul jate hai ki, dil ko rogmukt rakhane ke liye aapko apne khan-pan ka khas khayal rakhna chahiye. Jisse ke liye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Healthy Cooking Oil.

Vese aapne yeh kahavt to suni hi hogi ki “upchar se bhala roktham”. Kuch yehi baat dil ke mamalo mai bhi fit hoti  hai. Dil hamare sharir ka sabse accha aang hai. Agar isme 1% bhi kami aa jaye to vyakti ki jaan jokhim mai pad jati hai.

Isliye aapko apne heart ke swasth aur shurksha  ka khas khayal rakhna chahiye. Isliye aapko aise oil ka use karna chahiye jo aapke heart ke liye bahut acche hote hai. Jin oils ke baare mai humne niche bataya hai.

Swasth rahne ke liye aapko tel ki kitni matra ka prayog  karna chahiye? Yeh ek aam sawaal hai. Jiske baare mai hamare aas-paas ke log aksar charcha karte rahte hai. Khana banane mai kam tel ka istemaal ho iske liye hum nonstick pots aur pans ka istemaal karte  hai .

Aisa karke hum soch sakte hai ki hamne apni jivanshaily ko swasth bana aiya hai. Iss baat mai koi shak nahi hai hai ki, simit matra mai tel ka upyog karna heart ke liye accha hota hai.

Prantu inn sabhi baato ke alawa yeh vicahr man mai aata hai ki konsa tel khana pakane ke liye sabse accha hai? Keval iss baat se fark nahi padhta ki hum tel ki kitni matra ka upyog kar rahe hai. Balki iss baat ka bhi asar padta hai ki hum kon sa tel ka upyog kar rahe hai. Bahut saal pahle kshetr ke anusaar yeh nirdharit kiya jata tha ki kis tel ka upyog kiya jana chahiye.

Healthy Cooking Oil

Duniya badal rahi hai. Jis prakaar logo ka life style  badal gaya hai. Usi prakaar ek isthan ke khadye padarth dusre isthan par jane lage hai. Aache khadye padarth duniya ke ek bhag se dusre bhag ki aur ja rahe hai aur log apne heart ko swasth rakhne ke liye privartan ko apnane ke liye taiyar hai.

Tel mai privartan bhi ek aisa hi privartan hai. Vishav ke sabhi bhago mai sabhi prakaar ke tel uplabh hai. Yaha suchi mai kuch tel bataye gaye hai, jo aapke heart health care ke liye bahut  jaruri hote hai.

Healthy Cooking Oil se Janiye Hamesha Swasth Rahne ke Raaz

Olive Oil

olive oil

Khadya padarth ke saath-saath duniya ke ek bhag ke vyajan ko dusre bhag me le jaya gaya hai. Bahut acche swad prapat karne ke liye tel ke vibhinn prakaar ko bhi ek isthan se dusre isthan par le jaya jata hai. Ialiye olive oil  ek acche cooking oil mai se ek  hai, jisne vishv mai tufan macha diya hai.

Iss swsadyukt tel mai polyphenols namak antioxidant hota hai, jo heart ko swasth rakhte hai. Yeh logo ki pahli psanad me se ek hota hai. Khdaye ke kshetr mai globalization ke karan  vishv ke ek bhag ke food dish dusre bhag  mai le jaya gaye.

You may also like:- Olive Oil in Hindi: Is Tel Se Nikhare Apni Sundarta

Canola Oil

Canola Oil

Healthy Cooking Oil mai canola oil ka naam sabse pahle aata hai Canola oil ek anye oil hai, jo tezi se prasidh ho raha hai.  Iska swad bahut accha hota hai tatha iska upyog vibhinn tariko se kiya ja sakta hai. Backing aur roaster ke liye yeh tel sabse adhik upyukt hota hai. Ise apne tel ki suchi mai shamil kijiye. Jo aapke heart ke liye bahut acche hote hai.

Rice Bran Oil

Rice Bran Oil

Halhi mai hi rice bran ka prachar joro se kiya jara hai. Ise heart ke liye bahut accha mana jata hai kyoki yeh polyunsaturated hota hai. Isme oryzanol hota hai, jo cholesterol ke istar ko kam karta hai.

 Sarso ka Tel

Mustard-Oil

Yeh bahut se logo pasand nahi hota.  Prantu vah log jo iss oil ka upyog karte hai, unka chunav bahut accha hai. Kyoki iska ek alag swad hota hai. Saath hi yeh yeh polyunsaturated hota hai.

Best Cooking Oil mai Hai Chupe Aapke Acchi Sehat Ke Raaz

Vegetable oil

Vegetable oil ki list mai vibhinn prakaar ke telo ka mishran aata hai, jese suryamukhi, kusum aur rice bran. Isme sabhi telo ke acche gun paye jate hai tatha yeh sabhi prakaar ka khana pakane ke liye upyukt hai. Bahut sare  gun paye jane ke karan yeh bahut mukhye  tel mana jata hai tatha yeh aapke heart ke liye bhi bahut upyukt chunav hai.

Til ka Tel

sesame oil

Yeh tel asian khane mai paya jata hai tatha yeh khane ko ek alag swad deta hai. Iss tel mai antioxidant  aur anti-inflammatory yogigk hote hai, jo heart ki bimariyo se ladne mai madad karte hai.

you may also like:- Sesame Oil Benefits: Bimariyo ke Liye Faydemand Til ka Tel

Mugfali ka Tel

peanuts oil

Mugfali  ke tel mai dano ka swad hota hai. Yeh trans fat free, cholesterol free hote hai tatha isme saturated fat kam hota hai. Iske alawa yeh vitamin E, antioxidant aur phytosterols ka accha source hai, jo heart ki swsath rakhne mai madad karta hai.

Upar apne jana Healthy Cooking Oil ke baar mai jaruri jankari. To bas der kis baat ki aaj se hi inn oils ko apne aahar mai shamil kijiye aur hamesha swasth rahiye.

Cooking Oil  se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.

Loading...

You may also like...