Heart Attack Symptoms in Women: Mahilao mai Hridayghat
Heart attack ko dil ka doura ke naam se bhi jana jata hai. Yeh ek gambhir samasya hai jiska samay par illaj naa hone par vyakti ki mritu bhi ho sakti hai. Dil ka doura tab padta hai jab dil ki manspeshiyo mai khoon ke sath oxygen pahuchane wali rakt vahika kisi karan se avruddha ho jati hai tatha dil mai khun ka bahav band ho jata hai. Isi karanvash dil ka doura padta hai.
Kai bar yeh chhota hota hai lekin kai bar iska aana sidhe mritu ko nyota deta hai. Khoon mai cholesterol ka badhna bhi iss bimari ke hone ka ek karan hai. Cholesterol ki samasya mahilao mai adhik dekhi jati hai.
Darahsal mahilaye apne ghar aur parivar ke kaamo mai itna vyast hoti hai ki wo apne swasthya ka bilkul bhi khayal nahi rakhti hai. Aur jyadatar mahilao ki yeh aadat hoti hai ki jab unhe thodi bahut pareshani hoti hai tab wo doctor ke pas nahi jati. Mahilaye tab doctor ke pas jati hai jab stithi bahut bigad jati hai.
Madhumeh ki bimari ya fir garbh nirodhak goliyo ka jyada sevan karne se hriday sambandhi bimari hone ka khatra bad jata hai. Bahut jyada pasina aana, jabdo mai dard aadi dil ka doura padne ke lakshno ko darshate hai. Aaiye vistar se jante hai Heart Attack Symptoms in Women taki mahilaye wakt rehte inhe jane aur apne swasthya ko lekar jagruk rahe.
Heart Attack Symptoms in Women – Dil Ke Doure Ke Lakshan
Saans Lene mai Pareshani
Sodhkartao dwara kiye gaye adhyan se pata chala hai ki hridayghat ki samasya mai 40% mahilao ko saan lene mai dikkat hoti hai. Waise purusho mai bhi ise dekha gaya hai kintu purusho ke saans lene mai dikkat hone ke sath sath sine mai dard bhi hota hai. Jabki mahilao mai sine mai dard huye bina bhi saans lene mai pareshani hoti hai.
You may also like:- Heart Diseases in Hindi: Janiye Hriday Ki Pramukh Bimariya
Sharir Ke Ango mai Dard
Mahilao mai sharir ke upari bhag mai dard hota hai jaise gardan, jabda, dannt, peeth, bujaye, kandhe mai dard aadi. Yeh sabhi dil ki bimari ke lakshan hai tatha iss tarah ke dard ko radiating pain bhi kehte hai. Kabhi kabhi sharir mai hone wala dard sine tak bhi pahuch jata hai.
Bar Bar Pasina Aana
Waise to bahut adhik mehnat karne ya fir bahut garmi ke wajah se pasina aana swabhavik baat hai. Kintu yadi bina kisi karanvash baithe baithe bhi aap pasine se tarbatar ho jaye to aapko iss lakshan par jald hi dhyan dena chahiye warna yeh samsaya aapko asptal ke bed par letne par majbur kar degi. Bar Bar pasaina aana bhi Symptoms of Heart Attack hai.
Sar Ka Ghumna Ya Chakkar Aana
Mahilao mai purusho ki tulna mai chakkar aane ka lakshan jyada dekhne ko milta hai. Chakkar aane ke alawa pet mai gadbadi hona, ulti aana aadi lakshan bhi dekhne ko milte hai. Aesa isliye hota hai kyuki dil ko rakt pahuchane wali vahikaye avrudhha ho jati hai aur dil mai puri tarah se rakt nahi pahuch pata hai. Isliye yadi aapko achanak se chakkar aaye ya sar ghumne wali pareshani ho rahi hai to yeh heart attack aane ka ishara ho sakta hai.
Nind Na Aana aur Thaka Hua Mehsus Karna
Kai mahilao ke dwara pata chala hai ki jab unhe dil ka doura pada unhe thakan mehsus ho rahi thi, jab ki uska koi mukhya karan nahi tha. Iske alawa kuch mahilao ka kehna tha ki unhe nind na aane (anidra) ki samasya ho rahi thi. Isliye jab bhi aapko iss tarah ki samasya ho turant satark ho jaye.
Sine mai Dard Hona
Yadi mahilao ke sharir mai kadakpan, bharipan ya sine mai dard paida hona bhi dil ke doura hone ka ek lakshan hai tatha yeh dard achanak nahi hota hai. Iss tarah ka dard kai saptah tak aata jata rehta hai. Yadi aapko bhi Chest Pain ho to doctor ke pas jarur jaye.
Jabde mai Dard
Jabde ke pas wali nase aapke dil se nikalti hai yadi aapko jabde mai dard ho raha hai to aapko dil ka doura pad sakta hai. Yadi yeh dard har thodi der mai ho aur aap thaka hua mehsus kar rahe hai to yeh dil ki pareshani hai, Parantu dard lagatar bana hua hai to yeh aapke daanto ki samsya hai.
You may also like:- Heart Health Tips – Dil Ko Swasth Rakhne Ke Upay
Jukam Rehna
Bar bar jukam rehna bhi aapke dil ki bimari hone ka sanket ho sakta hai lekin yeh baat abhi puri tarah se siddha nahi hui hai. Jukam ke karan bhi aap thaka hua mehsus karte hai.
Chinta Bani Rehna
Yadi aapko bina kisi karan lagatar chinta bani hui hai tatha aapko andar hi andar ghabrahat mehsus ho rahi hai to iss samasya ko hamesha tanav se jodkar na dekhe. Kai bar raat ko sote samay kathnai mehsus hona, becheni hona, achanak ghabrakar uth jana yeh sabhi dil ke doura aane ka lakshan hai.
Upar aapne jana Heart Attack Symptoms in Women. Yadi aapko uprokt lakshan dikhai dete hai to aap turant doctor ke pass jaye taki aap dil ke doure padne ki samasya se bach sake.