Heat Stroke Symptoms: Janiye Loo Lagne ke Lakshan

Heat stroke ko Hot Wind bhi kaha jata hai. Manushya ke sharir ki banavat aisi hoti hai, jisse sharir me upasthit bahut jyada garmi ya high temperature pasine ke roop me bhahar nikalta rehta hai. Jisse sharir ka temperature maintain rahta hai.

Parantu Loo ki isthiti me sharir ka cooking system sucharu roop se kaam karna band kar deta hai. Jiske karan temperature control nahi ho pata hai aur sharir ka tapmann bad jata hai, agar is tapmann ko bahari help dekar control na kiya jaye to marij ki istithi bahut kharab ho sakti hai. Isliye jaruri hai ki is bimari ke lakshano ko jaldi pahchan ke iska ilaaj kiya jaye. To chaliye hum aapko batate hai, Heat Stroke Symptoms.

Normally manushya ke sharir ka temperature 98.6 Degrees Fahrenheit hota hai. Lekin jab tapmann iske upar chala jata hai. To use bukhar aa jata hai. Heat Stroke hone par vyakti ka body temperature badne lagta hai, yeh asaani se kam nahi hota hai. Agar kisi vyakti ke sharir ka temperature 100 degree se jyada ho jata hai. To gharelu upchar ka use karke uss temperature ko kam karna chahiye.

Agar human body ka temperature 102 se 103 tak chala jaye to khatra bahut bad jata hai. Iske karan manushya ka dimag control me nahi rahta hai aur agar sahi samay par ilaaj na kiya gaya to isse marij ki mout bhi ho sakti hai.

You may also like: Health Benefits of Sunlight: Surya Roshni se Swasthya Laabh

Symptoms of Heat Stroke ki baate karne se pahle hum aapko batate hai, Heat Stroke Causes. Jise ki aap iske karano ko jan kar loo lagne se aasani se bach sakte hai.

Heat Stroke Symptoms

Heat Stroke Causes: Loo (Hot Wind) Lagne ke Karan

• Loo dhup ya bahut jyada garmi ke karan lagti hai. Lekin iske aur bhi bahut se karan hote hai.
• Thyroid ka balance kharab hona.
• Sharir me sugar level ka kam hona.
• Sharab ke sevan se, uchh raktchap ya prasav aadi ke upchar me istemal ki jane vali dawa ke karan bhi Heat Stroke hota hai.

Symptoms of Heat Stroke: Loo ke Khatarnak Lakshan

• Garmi ke dino me ya tez dhup me kaam se yadi aapko chakkar ya ulti jesa lage.
• Aapka raktchap achanak kam hone lage.
• Heat Stroke Symptoms ki baat kare to yeh iska bahut bada sign hai ki. Loo lagne par bahut tez bukhar hone lagta hai.
• Skin ka bahut gram hona ya sukhna.
• Mashpeshiyo ka bahut kamjor hona.
• Heart beat ka achanak strong hona ya bahut weak hona.
• Shallow breathing.
• Behavioral change hona jese as confusion, disorientation, or staggering.
• Seizures.
• Unconsciousness.

Upar aapne jane Heat Stroke Symptoms aur iske causes. To bas is garmi me apna dhyan rakhe saath hi Loo ke lagne se apne aap ko bachaye aur swasth rahe.

Get more details of Hot Wind from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...