High Protein Diet in Hindi: Jane Acchi Sehat ke Raz
Aajkal logo ka rujhan mansahari bhojan ko chhodkar shakahari bhojan ki aur badhta ja raha hai. Ho sakta hai ki aapne bhi shakahari bhojan khane ka nishchay kiya ho, parantu sharir aur sehat ko swasth rakhne ke liye aapko jaruri poshan lene ki avshyakta jarur padegi.
Bhale hi aapne mans khana puri tarah se chhod diya ho, lekin agar sharir ko paryapt protein na mile to sharir mai rogo se ladne ki kshamta kam ho jayegi aur sharir ke ango ko karya karne ke liye urja bhi nahi mil paegi.
Iss tarah aapke sharir ka santulan bigad sakta hai. Mahilao ke liye 46 gram aur purusho ke liye 56 gram protein ka sevan karna sahi mana jata hai. Halanki rozana protein ki ek puri khurak khana thoda mushkil ho sakta hai. Isliye apne aahar me protein yukt padartho ko shamil karke aap iss samasya ko hal kar sakte hai.
Protein ek macro-nutrient hai, jo ki manav sharir ke samuchit vikas ke liye bahut hi avshyak hai. Agar paryapt matra mai protein na liya jaye, to protein ki kami hone par manspeshiyo mai kamjori aane lagti hai aur sharir thik se karya nahi kar pata hai. Maans, machhali, ande ke alawa agar shakahari aahar ki bat ki jaye to paneer, sem, masur ki daal, dahi aadi mai uccha matra mai protein paya jata hai. Aaiye vistar se jante hai High Protein Diet in Hindi.
Sharir ko Swasth Rakhne ke Jane High Protein Diet in Hindi
Dahi (Greek Yogurt)
Greek Yogurt ek achha protein diet mana jata hai. Yeh sadharan dahi se thoda gadha aur creamy hota hai. Yeh aap roj subah nashte ke roop mai le sakte hai. Nashte mai dahi ke sath aap taze phal, anaj aur nuts bhi shamil kare. Isse aapke sharir ko 15 se 20 grams protein rozana milega.
Ajwain aur Nut Butter
Kayi logo ko nuts pasand hote hai. Nut-Butter mai ek acchi matra mai protein paya jata hai. Iski 2 chammach ka hi agar sevan kiya jaye, to lagbhag 7 gram protein hamare sharir ko mil sakta hai. Halanki, nut-butter mai thoda sa vasa bhi hota hai, parantu aap ise gajar aur ajwain-stick mai laga kar khaye, to yeh calories ko niyantrit karke rakhega.
You may also like:- Calcium Rich Foods ke Sevan se Paiye Swasth Sehat
Kela
Kele ko khane ka tareeka jaane. 2- bade chamamch mungfali ka makkhan kele mai lagaye kuch crush kiye hue piste ko kele mai lagaye. Ab ise freeze mai thanda hone ke liye rakh de. Jab bhi aapko bhukh lage, ise nashte ke roop mai kha le.
Dudh
High Protein Food ki baat kare to, kisi bhi dusre padharth se dudh mai paye jane wale protein ki tulna nahi ki ja sakti, Kyoki dudh mai sabse jyada matra mai protein paya jata hai aur iske alawa dudh mai calcium, vitamins aur phosphorus bhi adhik matra mai maujud hota hai. Jin logo ka sharir kamzor hota hai, unke liye to dudh bahut hi labhkari mana jata hai. Iske alawa, motape aur adhik vajan se pidit vyakti ko keval gaay ke dudh pine ki hi salah di jati hai.
Paneer
Kam vasa wala paneer sehat ke prati sachet rahne wale logo ke liye bahut hi fayedmand hota hai. Yeh protein ka ek bahut hi achha strot mana hai hai. Aadha cup paneer mai 14 gram protein hota hai aur 100 se kam calories hoti hai. Ise bhojan lete samay sabjiyo ke sath bhi khaya ja sakta hai.
Soybean
Protein-yukt soyabean ko daal, tel aur aata ke roop mai prayog mai laya jata hai. Soybean se milne wale padarth bhi sharir ko protein pradan karte hai. Soyabean mai protein jyada matra mai paya jata hai, jo ki vyakti ko sharirik aur mansik dono hi tarah se fadya pahuchata hai.
Badam
Badam sehat ke liye faydemand hota hai, kyoki yeh Protein Rich Food hota hai. 28 gram (1 ounce) badam mai 6 gram protein maujud rehta hai. Sath hi badam mai vitamin-E, fiber bhi acchii matra mai paya jata hai. Sharir ko swasth banaye rakhne ke liye rozana badam ka sevan kare.
Sem
Sem ek tarah ki fali hoti hai, jiski sabji bana kar bhojan ke roop mai khaya jata hai. Sem mai protein aur calcium paya jata hai. Iska sevan karne sharir ka pachan-tantra majbut banta hai aur pet bhi saaf rahta hai. Isse sehat acchi rehti hai aur sharir ke andar ki ashuddhiya bhi bahar nikal jati hai. Madumeh (diabetes) se pidhit vyakti ke liye aur aankho ki roshni badhane ke liye sem ek bahut hi faydemand sabji hai, isliye ise avshya apne aahar mai shamil kare.
You may also like:- Vitamin C Foods in Hindi: Swasth Sharir aur Twacha Ke Liye
Moong
Bahut si bimariyo ke illaj ke liye moong ka ayurved mai ullekh milta hai. Isme protein ki bharpur matra maujud hoti hai. Yeh sharir ko kabj, bukhar, cough aur gas aadi se bachata hai aur sharir ko swasth aur tandurust rakhta hai.
Anda
Purane samay mai ande ko log sehat ke liye achha nahi samjhate the, kyunki usme cholesterol bhi paya jata hai. Magar bad mai yah sabit ho chuka hai ki anda me maujud chelesterol hamare sharir ke cholesterol le star ko nahi badhata hai. Agar protein ki bat kari jaye, to anda ko Sources of Protein ki shreni mai gina jata hai. Ek ande mai 6 se 7 gram tak ka protein hota hai. Isliye, sharir ko paryapt protein pragdan karne ke liye Ande ka sevan karna ek achha vikalp hai.
Upar aapne jana High Protein Diet in Hindi. Agar aap bhi apne swasth ko lekar sajag hai, to protein yukt padartho ka sevan karna shuru kar de.