14 Aids-HIV Symptoms in Hindi: जानिये इस रोग के मुख्य लक्षण

HIV yani Human Immunodeficiency Virus ek vishanu hai jo body ke immune system par nakaratmak prabhav dalta hai aur vyakti ke sharir mai uski pratirodhak kshamta ko dinodin kamjor kar deta hai. To aaiye jante hai Aids/HIV Symptoms in Hindi.

Yeh ek youn sancharit rog hai, halaki yeh AIDS se alag hai. Iska pata lagane ke liye yadi aapki khoon ke test mai Antibodies paya jaye to yeh samajh lena chahiye ki aapko HIV ke lakshan hai aur aap ‘HIV Positive’ hai.

Jo log Aids in Hindi janna chahte hai unhe ham batade ki HIV Positive aur aida alag hai. HIV Positive hone ke bad jab 8 se 10 saalo me pidhit vyakti ki rog pratirodhak shamta khatam ho jati hai to aesi stithi ko Aids kaha jata hai.

Bharat ki baat kare to yaha AIDS ke mamle thamne ka naam hi nahi le rahe hai. Yaha sabse jyada HIV Aids ke case (13107) Maharashtra mai darj huye hai. Wahi dusre number par Andhra Pradesh hai.

Agar pichle varsho kit ulna kare to sankhya lagatar badh rahi hai. 2009-10 mai 246,627 case pure desh se aaye jabki 2010-11 mai yeh sankhya badhkar 320,114 rahe. Sahi tarike se dekhbhal na karne ki dasha mai yeh bimari badhkar AIDS Ka roop dharan kar leti hai.

Ek survey ke anusar. HIV ke shuruaati stage mai iska pata nahi chal pata hai aur vyakti ko ilaj karwane mai der ho jati bhai. Isiliye aapko HIV ke shuruaati 12 lakshano ke bare mai pata hona jaruri hai.

14 Aids HIV Symptoms in Hindi: Iske Kuch Khaas Lakshan

Aaiye jante hai Aids-HIV Symptoms in Hindi. Iske pure lakshano ko janane ke baad aap apne doctor se paramarsh le sakte hai.

HIV Symptoms in Hindi

  1. Baar-Baar Bukhar Aana: Har 2-3 din mai bukhar mahsoos hona aur kai baar tezi se bukhar aana, HIV ka sabse pehla lakshan hai.
  2. Thakan Hona: Pichle kuch dino se lagatar pehle se bhi jyada thakan mahsoos hona HIV ka shuruaati lakshan hai. Ise gambhirta mai lena chahiye.
  3. Mashpeshiyo Mai Khichav: Aapne kisi prakar ka bhi bhari kaam nahi kiya ya phir aap sharirik mehnat ka koi kaam nahi karte, phir bhi aapki mashpeshiyo mai humesha tanav aur akadan rehti hai to yeh bhi aapka mukhya lakshan hai.
  4. Jodo Mai Dard aur Sujan: Dhalti umra se pehle hi agar aapke jodo mai dard aur sujan ho jati hai to aapko HIV test karwane ki jarurat hai.
  5. Gala Pakna: Aksar kam pani pine ki wajah se gala pakne ki shikayat hoti hai lekin agar aap pani paryaptmatra mai pite hai aur phir bhi apake gale mai bhayankar kharash aur pakan mahsoos ho to yeh lakshan accha nahi hai.
  6. Sar Dard: Agar aapke sar mai humesha dard rehta hai to iske halke mai na le. Subah ke samay dard mai aaram aur din ke badhne ke saath dard mai bhi badhotarri HIV ka sabse bada lakshan hai.
  7. Dhire-Dhire Vajan ka Kam Hona: HIV mai marij ka vajan ekdam se nahi ghatata hai. Har din dhire-dhire body ke system par prabhav padta hai aur vajan mai kami hoti hai. Agar pichle 2 mahine se bina prayas ke aapke vajan mai girawat aayi hai to check karwa le.
  8. Skin Par Rashes Hona: Sharir mai halke laal rang ke chakkte panda ya rashes hona bhi HIV ka lakshan hai.
  9. Bina Wajah Tanav Hona: Aapke paas koi problem nahi hai lekin phir bhi aapko tanav ho jata hai, baat-baat par rona aa jata hai to nisandeh aapko HIV ka test karwana chahiye.
  10. Ulti Hona: Har samay matli aana ya phir khana khane ke turant baad ulti hona bhi sharir mai HIV ke virus ka hona indicate karte hai.
  11. Humesha Jukham Rehna: Mousam aapke behad anukul hai lekin uss halat mai bhi naak bahti rehti hai. Har samay chick aati hai aur rumal ka saath humesha chahiye hota hai. Yeh HIV ka mukhya lakshan hai.
  12. Dry Cough: Aapko bina bhayankar khansi ke bhi cough aata hai to yeh aapke liye khatarnak sabit ho sakte hai. Humesha muh ka swad bigda rehna bhi HIV ke lakshan hai. Cough ke saath kabhi bhi khoon nahi aana chahiye, yadi kabhi aisa hota hai to turant doctor se mile aur sahi paramarsh le.
  13. Atyadhik Chinta Ka Hona: HIV se pidit vyakti ko har chhoti chhoti baat par chinta hone lagti hai. Aur isse sankramit vyakti samasya na hote huye bhi samasya ko dekhne lagte hai. Aese log dil ke bahut kamjoor hote hai tatha chhoti chhoti baat par rone lagte hai.
  14. Twacha Par Khujali Hona: Iss bimari se pidit vyakti ka sharir ko sukhne lagta hai, jisse vyakti ki twacha par khujali hone lagti hai aur dhire dhire twacha pili ya safed hone lagti hai. Twcha par khujali hone ke karan nishan hone lagte hai twacha bekar dikhne lagti hai.

Jane Kuch Anya Lakshan:

  • Rogi ki lasika granthiyo mai sujan aa jati hai.
  • Vyakti ki yaddasht dhire dhire kam hone lagti hai.
  • Kai baar pidit vyakti mansik rog ka shikar ho jata hai
  • Ek hafte se adhik patle dast ka hona bhi ek lakshan hai.
  • Sharir mai baar baar sankraman hone lagta hai aur sankraman jaldi thik nahi hota hai.
Lakshan Symptoms in Percentage
Bukhar 90%
Sar dard 70%
Mylagia 70%
Dast/Ulti 60%
Rat mai pasina aana 50%

Aids in Hindi – Bachav Hi Behatar

Kuch savdhaniyo ko baratkar bhi aids se bacha ja sakta hai.

  1. Hospital mai agar sui lagwate hai to nayi sui ka hi istemal kare.
  2. Galat logo se sex sambandha banane se bache.
  3. Nai se dadi banwate wakt nayi bled ka hi prayog karwaye.

Upar aapne jane HIV Symptoms in Hindi. To agar aap bhi aisi kisi sankraman rog se grasit hai aur aapke andar bhi inme se koi bhi lakhshan adhik matra mai paye jate hai to turant apne doctor ki salah le aur sahi tarike se apna ilaj karwaye.

Loading...

You may also like...