Home Remedies for Blackheads: Comedones Se Nijad Paye

Blackheads ek bahut hi aam samasya hai jisse har koi pareshan hai. Chahe ladka ho ya ladki yeh har kisi ko hote hai. Par teliya twacha walo ko iss samasya ka samna kuch jyada hi karna padta hai. Blackheads hone ke kai karan hai jaise twacha ki thik se safai na karna, tanav, nind puri na hona aadi.

Jab twacha par atirikt tel aur mrit kosikaye jama ho jati hai use blackheads kehte hai. Iske karan skin ke pores band ho jate hai, jisse hamara face kala aur ganda dikahi dene lagta hai.

Vaise to blackheads hona ek aam baat hai lekin agar iss par dhayan naa diya jaye to yeh muhaso ka roop le leti hai. Isliye behatar hoga ki wakt rehte iss par dhyan de diya jaye.

Iss lekh mai ham aapko blackheads hatane ke aese tariko ke bare mai bataenge jinka upyog kar, aap ghar mai mojud saman ke sath aasani se inhe hata sakte hai. To aaiye jane Home Remedies for Blackheads.

Blackheads Dur Karne Ke Aasan Gharelu Upchar

 
Home Remedies for Blackheads
 

Bhaap Le

Agar aapko blackheads hatana hai to saade pani ki bhaap(steam) lijiye. Yeh blackheads hatane ka sabse saral upay hai. Bhaap lene se hamari twacha ke rom chhidra khul jate hai. Jisse isme moujud gandagi aasani se bahar aa jati hai.

  1. Sabse pehle bartan mai paani garam hone ke liye rakh de.
  2. Pani ko bhaap nikalne ki stithi tak garam karna hai.
  3. Fir towel ya kisi kapde se chehra dhakkar bhaap le le.

 

Scrubbing Bhi Faydemand

Scrubbing bhi blackheads se nijad pane ka ek accha upay hai. Scrubbing karne se chehre par jami dhul mitti saaf ho jati hai. Isliye twacha ki acchi dekhbal ke likye hafte mai 1-2 baar scrubbing jarur karna chahiye.

  1. Scrubbing ke liye 1 chammach beking soda, 1 chammach namak aur 1 chammach pani milakar paste bana lijiye.
  2. Fir iss paste ko chehre par lagakar massage kare.
  3. 10 minute tak massage karne ke baad chehre ko acchi tarah dho le.

 

Tamatar Se Dur Kare Blackheads

Twacha ki dekhbal ke liye tamatar bhi bahut upyogi mana jata hai. Tamatar mai antiseptic gun mojud hote hai jo Blackheads Removal ke sath sath chehre ki twacha mai hone wale sankraman se bhi bachate hai.

  1. Sabse pehle tamatar ko mixer mai pees kar ek paste ki tarah bana le.
  2. Rat mai sone se pehale acchi tarah se chehre par lagaye.
  3. Subah halke gungune pani se chehre ko dho le.
  4. Aap chahe to tamatar ko sidhe face par bhi ragad sakti hai.

 

 You May Also Like: Bad Breath Home Remedies: Dur Kare Saanso Ki Durgandh

 

Shahad Ka Prayog Kare

Shahad (Honey) ka prayog karke bhi kale dhabbo se chutkara paya ja sakta hai. Sath hi yeh twacha ko bahari sankraman se bhi bachata hai.

  1. Shahad mai dalchini milakar ise halka garm kar le.
  2. Fir ise 20 minute chehre par lagakar, saaf pani se chehra dho le.
  3. Adhik fayde ke liye iska prayog raat ko sone se pehle kare.

 

Chehre Ko Nikhare Nimbu

Nimbu ka istemal kaafi time se chehre ka rang nikharne ke liye kiya jata hai. Yeh ek prakratik bleaching agent hai. Nimbu ki madad se aap na keval blackheads hata sakte hai, balki apne chehre ka rang bhi nikhar sakte hai. Ise lagane se hamare chehre ke muhase bhi thik hote hai.

  1. Nimbu ke ras mai kheere ka ras milakar apne chehre par laga le fir 15 minute ke bad chehre ko dho le.
  2. Nimbu ke sath baadam ka tel milakar bhi chehre par laga sakte hai. Aesa karne se blackheads jald hi khatam ho jate hai.
  3. Nimbu ke 1 chammach ras mai 1 bada chammach chini ko milakar mishran taiyar kare aur ise blackheads wale sthan par laga le. Fir chehra sukhane ke bad thande pani se dho le.
  4. Iske alawa nimbu ke chhilke se bhi blackheads ko dur kiya ja sakta hai. Iske liye chhilk ko blackheads wali jagah par acchi tarah se ragade. Fir pani se chehra dho le.

 

Blackheads Home Remedy: Anya Upay Inhe Bhi Jane

  1. Besan aur baadam ke mishran ko milakar paste taiyar kare. Ise 20 minute tak blackheads wale sthan par laga le. Fir sukhne tak ka intejaar kare aur thande pani se dho le.
  2. Aalu(Potato) ko blackheads se nijad dilane ka sabse achha strot mana jata hai. Iske liye 2 se 3 aalu ko lekar use pis le. Iss paste ko blackheads wale sthan par laga le. 15 se 20 minute ke bad chehre ko dho le.
  3. Blackheads hatane ke liye baking soda ka istemal kare. Iske liye 1 chammach soda mai pani milakar bane paste ko hafte mai 2 se 3 bar lagaye. Aesa karne se 3 hafto ke andar blackheads se chutkara mil jata hai.
  4. Ande ke safed bhag ko nikalkar usme 1 chammach shahad ko acchi tarah milaye. Banaye hue mishran ko chehre par laga le. 30 minute ke baad chehre ko thande pani se dho le. Aesa hafte mai 2 se 3 bar karne se blackheads ki samasya khatam ho jati hai sath hi twacha mulayam aur khubsoorat banti hai.
  5. Aapko jankar shayad yakin naa ho lekin toothpast se bhi blackheads ko hataya jaa sakta hai. Ise lagane ke liye ungali mai thoda sa paste lekar use blackheads wali jagah par lagaye. Kuch der ise aese hi lage rehne de. Fir brush ki sahayata se halke hatho se ghise. Aesa karne se twacha ki mrit kosikaye hat jati hai aur twacha mulayam banti hai.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

 

Loading...

You may also like...