Home Remedies for Healthy Hair: Sundar Ghane Baalo Ke Liye

Kale ghane lambe baal khubsurati ki pehchan mane jata hai. Lambe baal har kisi ko aapki aur aakrshit karte hai. Isme koi shak nahi hai ki khubsurat kale baal mahilao ki khubsurati ko aur bada dete hai. Purane samay mai baalo ki dekhbhal ke liye mahilaye gharelu nuskho ka istemal karti thi.

Jisse baal kale, ghane aur lambe hua karte the aur salo tak safed baalo ka namo nishan nahi hota tha. Ham sabhi jante hai ki yadi aapke baal swasth aur khubsurat hote hai to aapka aatmvishwas aur bhi bad jata hai.

Acche ghane baalo ki chah har kisi ko hoti hai parantu rasayan yukt shampoo ka istemal aur baalo ki uchit dekhbhal naa kar pane ke karan baal kharab ho jate hai. Vyast jivan sheli ke chalte aajkal kisi ka khanpan bhi thik nahi hai. Jisse wakt se pehle baalo ka safed hona aur jhadne ki samasya hone lagti hai.

Isi ke karan aapke baal asamay hi safed aur jhadne lag gaye hai. Yuvao mai yeh samasya din pratidin badhti ja rahi hai. Aapke baalo ko khubsurat aur swasth banana ke liye aaj hum aapko Home Remedies for Healthy Hair bata rahe hai. Jisse aapke baal lambe samay tak swasth aur khubsurat bane rahenge.
 

Home Remedies for Healthy Hair: Swasth Baalo Ke Liye Gharelu Upay

 
Home Remedies for Healthy Hair
 

Khatta Dahi Sankraman Dur Kare

Khatti dahi mai thoda sa fitkari ka powder aur chutki bhar haldi dal de. Iss bane huye paste ko acche se mila kar baalo mai lagye fir 1  ghante bad thande pani se sar dho le. Isse aapke baalo ki gandgi khatam ho jayegi sath hi sar mai faila hua sankraman bhi kahtam ho jayega. Aisa karne se aapke baal chamak jayenge.
 

Amla Banaye Baalo Ka Kala

Amla baalo ke liye bahut accha hota hai. Amla ko baalo mai lagakar ya kha kar aapke baale ko fyada pahucha sakta hai. Jab bhi baalo ke swasth hone ke bare mai sochte hai amla sabse pehle dimag mai aata hai. Aap amla ka powder ko gala kar isse baal dho le ya fir amla ka ras ko baalo mai lagane se bhi baal jhadna band ho jate hai aur aapke baal safed nahi hote hai.
 

Aloe Vera Banaye Baalo Ko Mota

Yadi aapke baal kale aur lambe ho lekin yadi isme volume na ho to isse aapke baal acche nahi lagte. Aloe vera isme aapki madad kar sakta hai. Baalo ko dhone ke bad unke upar aloe vera gel laga le isse aapke patle baal mote ho jayenge.

Isse aapke baalo mai chamak bhi aati hai. Yadi aapke pas samay hai to iska istemal roj kare to aapko iska fayda jaldi milega. Aloe vera mai dahi ko milakar acche se mishran bana le aur use baalo ki scalp par lagaye fir 30 se 40 minute bad sar dho le. Hafte mai do bar aisa karne se baalo ka rukhapan khatam ho jayega.
 

Tel Ki Champi

Jaitun Ka Tel:  Yadi aap safed baalo se pareshan hai to hafte mai ek bar jaitun ke tel se baalo mai acchi si malish kare aur rat bhar tel ko baalo mai rehne de Subh sar ko acche se dho le. Dhire dhire aapke baalo ka safed hona band hone lag jayega. Yadi aapke baal do muhe ho rahe hai to jaitun ka tel do muhe baalo ko bhi khtam kar deta hai.
 
Badam Ka Tel: Badam ke tel protein se bharpur hota hai. Aur isse roj raat ko laga kar subah sar ko dho le isse aapke baal lambe aur ghane banege. Badam ka tel lagane se baalo mai chamak bani rehti hai. Hair Growth ke liye yeh ek accha vikalp hai.
 
Nariyal ka tel: Nariyal ka tel sabse aam rup se istemal kiya jata hai isko lagane se baalo ki vradhhi hoti hai sath hi yeh chipke aur ghunghrale baalo ko sidha karne mai bhi madad karta hai. Yeh baalo ke conditioner ka bhi kaam karta hai.
 
Prakratik Telo Ka Mishran: Rukhe baalo ki samasya se nijat pane ke liye prakratik telo ka mishran jaise jojoba oli, badam ka tel, nariyal ka tel sabhi ko milakar ek bottle mai rakh le aur raat ko lagakar acche se malish kar le fir subah uthkar sar dho le. Olive oil mai vitamin E bharpur matra mai hota hai jo aapke baalo ki growth badhata hai wahi nariyal ka tel baalo ko mulayam banakar chamak deta hai.
 
Arandi aur Sarso Ka Tel: Arandi aur sarso ke tel ki malish baalo mai karne se sar ka rakt sanchaar badta hai aur sar ki twacha ko mulaym rakhne ke sath baalo ko badane mai bhi sahayata milti hai.
 

You may also like:- Home Remedies for White Hair in Hindi: Safed Baal Kale Kare


 

Neem Se Mile Baalo Ko Fayda

Bahut sare logo ke sar mai joo ho jati hai jisse baalo ki stthi kharab ho jati hai Isse bachav ke liye rojana neem ke patto ka paste bana kar baalo par lagayenge to iss samasya se chutkara mil jayega aur aapke sar ki rusi bhi chali jayegi.
 

Lauki Ka Ras

Lauki ka ras baalo ke liye bahut faydemand hota hai hafte mai ek bar baalo mai loki ka ras 30 miute tak laga kar rakhe aur thande pani se dho le aapke baal khil uthenge.
 

Jadi Butiyo Ka Mishran

Aapke baalo ko swasth banane ke liye shankhpushpi ka powder pani mai milakar baalo ki jade mai lagaye ya fir bhringraj ko peeskar usme til ka tel milakar lagane se baalo ka jhadana kam hota hai.
 

Ande De Aapke Baalo Ko Protein

  • Yadi aapke baal teji se jhad rahe hai to ande ka safed bhag baalo mai laga le aur 1 ghante bad baalo ko mild shampoo se sar dho le. Iska istemal hafte mai sirf ek bar kare.
  • Ek bartan mai do ande le aur usme nimbu ka ras aur thoda sa olive oil milakar mishran bana le aur usse jado mai laga le uske 30 minute bad thande pani se dho le.

 
Home Remedies for Healthy Hair Tips
 

Nimbu Ka Ras

Aapke baalo ki rusi hatane ke liye nariyal tel ko thoda sa garam kar le aur usse baalo mai malish kare fir ek ghante bad baalo mai nimbu ka ras aur sirke ko milakar iss mishran ko baalo mai laga le. Yeh kaafi purana illaj hai baalo ki rusi ko hatane ke liye.
 

Chai Patti Banaye Baalo Ko Majbut

Chai patti ko pani mai acche se ubale aur us pani ko thanda karke chhan le aur fir iss pani ko baalo par lagaye. Halfte mai kam kam se iss kriya ko karne se baalo ka jhadana kam hoga aur baal majboot banenge.
 

Seb Ke Sirke Ka Istemal

Seb ke sirko ko baalo mai lagane se yeh baalo ko poshan deta hai aur baal swasth bante hai. Seb ke sirke ko pani mai milakar baalo par lagane se baal bouncy bante hai.
 

You may also like:- Hairstyles for Long Hair in Hindi: Apne Baalo Ko De Naya Andaj

 

Aritha aur Shikakai Se Dhoye Baal

Baalo ko dhone ke liye amla, aritha aur shikakai ka powder se sar dhona sabse accha hota hai. Isse aapke baal damage aur rukhe nahi hote tatha natural kale aur ghane bante hai.
 

Dinbhar Mai Khub Pani Piye

Rukhe baalo ke illaj ke liye dinbhar mai kam se kam 8 se 10 glass pani pijiye kyuki jayada se jayda aapni pina aapke swasth ke liye to accha hota hi hai sath hi baalo ki khoi hui nami bhi wapis lot aati hai.
 

Poshan Se Bharpur Aahar

Yadi aap lambe samay se hair fall solution dhund rahe hai to upari tour par kuch karne se pehle andar se apne baalo ko poshan de. Aapko apne aahar mai sabjiya, dal, ankurit anaj, mosami phal, palak, tamatar, gajar ka ras, chana, pyaj, rajma, soyabin ko shamil karna chahiye sath hi protein tatha vitamin se bharpur chijo ka sevan bhi karna chahiye. Inka sevan karne se hair folic majboot hote hai aur aapke baal swasth, kale ghane aur  majboot bane rehte hai.
 

 Hair Care Tips: Anya Tarike Inhe Bhi Jane

  1. Thand mai woolen cap lagan eke bajay reshmi ya satan ka scarf pehne. Isse aapke baal nahi tutenge.
  2. Garmiyo mai apne baalo par drier ka istemal kam se kam kare. Ya fir iske istemal se bache. Yadi aap apne baalo par drier ka istemal karna hi chahti hai to use cold mode mai rakhe.
  3. Yadi aap swimming karte hai to baalo ko rubber ki topi se dhak le. Kyonki baalo mai moujud chlorine baalo ko kshati pahuchata hai.
  4. Tapman ko niyantrit karne ke liye yadi aap hitter ka istemal karte hai to isse aapke baal rukhe ho jate hai. Iss rukhepan ko dur karne ke liye extra deep conditioning ka istemal kare.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Healthy Hair in Hindi. Yadi aapke baal bhi rukhe aur bejan ho chuke hai to upar diye gaye upayo ko jarur apnaye. Yeh sare upchar gharelu hai to aapko kisi bhi tarah ke side effects ka khatra bhi nahi rahega.

Loading...

You may also like...