Home Remedies for Itchy Scalp: Sar mai Khujli Ke Upchar
Baalo ki kai samasyao mai se ek sar mai khujli hona bhi hai. Baalo mai khujli hone par sar mai rusi tatha baal ke jhadne ki samasya bhi ho jati hai aur baal patle hone lagte hai. Kai baar to gambheer samasya jaise eczema aur Psoriasis jaisi bimari bhi ho jati hai.
Yeh samasya sabse jyada kishor tatha jawan logo mai dekhne ko milti hai. Sar mai khujli hone par sar ki twacha rukhi aur bejan ho jati hai aur jab aap sar ko khujlate hai to safed parat nikalne lagti hai.
Iss samasya ko gharelu upchar ke dwara bhi thik kiya ja sakta hai. Gharelu upchar ko karne se aapke sar ki twacha mai kisi tarah ke side effects ka khatra bhi nahi rahega aur aap bina paise bahaye iss samasya se nijat paa lenge. Iske upchar ke liye jane Home Remedies for Itchy Scalp.
Home Remedies for Itchy Scalp: Janiye Prabhavi Gharelu Upay
Nimbu Ka Ras
Nimbu mai antiseptic gun hote hai tatha ise sar mai lagane par sar mai khujli se rahat milti hai. Tatha sar mai safed parat nahi banti hai, jante hai ise prayoga ka tarika
- 1 chhoti chammach nimbu ke ras mai 1 cup pani milaye tatha bane huye mishran ko sar mai karib 10 se 15 minute tak lagakar rakhe.
- Ab baalo ko thande pani se acche se saaf kar le.
- Sar ki khujli se nijaat pane ke liye ise hafte mai 2 bar lagaye taaki aap khujli tatha rusi se chutakara pa le.
Baking Soda Faydemand
Baking soda adhiktar gharo mai aasani se mil jata hai. Yeh twacha ke liye bahut faydemand hone ke sath Scalp Itch ke liye bhi bahut faydemad hota hai. Baking soda ko aapke baalo mai lagane par yeh sar ke ph ke star ko banaye rakhta hai, jisse sar ki khujli se nijat milti hai.
- Baking soda mai thoda sa pani milakar uska paste banale aur sar ki twacha par halke hatho se rub kar le.
- Ise karib 15 se 20 minute tak sar mai laga rehne de aur kuch der bad sar ko acche se saaf kar le.
Nariyal Ka Tel
Yeh to sabhi jante hai ki nariyal tel baalo ke liye bahut faydemand hai sath hi yeh sar mai ho rahi khujli par bhi asarkari hota hai. Ise dhundne ke liye aapko jyada mehnat karne ki jarurat nahi padegi yeh aapko kisi bhi kirane ki dukan par aasani se mil jayega.
- Nariyal ke tel se sar mai karib 15 minute tak malish kare aur baalo ko chhod de.
- Kuch der bad baalo ko acche se dho le, aap fark mehsus karenge ki aapko sar mai khujli nahi ho rahi hai.
Til Ke Beej Ka Tel
Til ke beej ka tel sar mai ho rahi khujali tatha rukhe pan se aapko chutkara dila sakta hai. Til ke tel ko garam karke sar mai malish karne par kuch hi dino mai aap iss samasya se puri tarah nijat pa lenge. Yeh bhi ek prabhavi Itchy Scalp Remedies mai se ek hai.
- Til ke beej se bane tel ko garam kare aur aur har rat 10 minute tak iss tel se sar mai malish kare.
- Ab towel ko garam pani mai bhigo le aur tel lage baalo ko towel se lapet le tatha rat bhar aese hi rehne de.
- Subah uthkar baalo ko shampoo se acche se dho le aapke baalo se khujli ki samasya hamesha ke liye dur ho jayegi.
Seb Ka Sirka
Apple cider vinegar bhi sar mai moujud pH maan ka santulan banaye rakhta hai tatha sar se khujli aur rukhapan ko dur bhagata hai. Yeh ek ayurvedik upchar bhi hai jo prakratik rup se sharir mai huye damage ko thik karne ka kaam karta hai.
- Seb ke sirke ko hafte mai 2 bar lagana shuru kare.
- ¼ cup apple cider vinegar mai ¼ cup pani dono ko milakar mishran taiyar kar le tatha ek bottle mai rakh le.
- Iss mishran ko lagane ke bad sar ko towel se dhak kar rakh le aur yeh mishran karib 15 minute tak baalo mai laga hona chahiye.
- Ab baalo ko saaf pani se dho le.
Tea Tree Oil
Tea tree oil mai prakratik rup se antifungal aur antibacterial gun hote hai, jo rusi aur sar ki twacha mai khujli jaisi pareshani se mukti dilate hai. Iske alawa isse baalo par lagane se twacha ki safed parat aur rukhepan se bhi nijat mil jati hai.
- Tea tree oil ki 10 se 20 bunde ko ½ baby shampoo mai milakar baalo mai laga le.
- Ise rojana sar par lagane sar ki twacha mai sudhar hota hai.
- Tea tree oil ki 2 se 3 bunde 1 chhoti chammach vegetable oil mai milakar malish kare. Aisa karne se aapke sar ki twacha ko fayda milega.
Upar aapne jana Home Remedies for Itchy Scalp in Hindi. Yadi aapko bhi iski samasya hai to upar diye gaye upcharo ko jarur apnaiyega.