Home Remedies for Toenail Fungus: Hataye Nakhuno Ki Fafund

Pairo ke nakhun mai fungus lagna ek aam bimari hai. Ise Onychomycosis ke naam se bhi jana jata hai. Isme pairo mai fafund banne lagti hai aur nakhuno ka rang berang hone lagta hai.

Nakhuno mai fafund yaa kavak lagne ke kai karan hote hai jaise sharir mai rog pratirodhak kshamta ka kam hona, calcium ki kami hona, adhik dhumrapan, kai prakar ki bimariyo ke sankraman se, pairo ko hamesha band rakhna, nakhuno ka sahi tarah se saf-safai na karna aadi.

Lekin iski jyadatar samasya barish ke dino mai ya fir pani mai jyada der rehne se hoti hai. Fafund ki wajeh se nakhuno mai dard aur hota hai, sath hi pairo ki sundarta par bhi asar padta hai. Vaise to yeh samasya bahut hi aam hai lekin yadi iss par dhayn na diya jaye to yeh sankraman aur bhi badne lagta hai. Isme nakhun dhile hokar upar ki aur uthne lagte hai. Yeh gambhir roop se nakhuno ko kshati na pahuchade isliye iska upchar karna behad jaruri hai.

Iss samasya ka upchar aap ghar par bhi kar sakte hai. To aaiye jante hai Home Remedies for Toenail Fungus.
 

Toenail Fungus Treatment: Fafund Lage Nakhuno Ke Liye Gharelu Upchar

 
Home Remedies for toenail fungus
 

Sirke Ke Pani Mai Pairo Ko Bhigoye

Sirka ka prayog karne se nakhuno mai lagi fafund jald hi thik ho jati hai. Ise lagane ke liye halke gungune pani mai aavyashakta anusar sirke ko mila dijiye. Iske paschat apne sankraman wale nakhuno ko inme thoda samay tak rakhiye. Kuch der rakhne ke baad sukhe kapde se ponch lijiye. Toenail fungus Se chutkara pane ki yeh behad hi acchi aushdhi hai.

Beking Soda Ke Istemal

Beking soda har rasoi ghar mai aasani se mil jata hai. Isliye yeh badrang nakhuno ke upchar ke liye sabse accha Home Remedy mana jata hai. Bus 1 chammach beking soda le aur usme 1 chammach nimbu ke ras ko milaiye. Ab iss mishran ko apne nakhuno mai laga le aur ek moti parat bana le. 15 minute tak laga kar rakhne ke baad ise thande pani se dho le. Aesa karne se nakhun mai laga fafund hat jata hai aur nakhun ka rang bhi sahi dikhai dene lagta hai. Ek baat ka khyal rakhe iss upchar ko karne ke baad nakhuno mai moishchraiser cream lagana na bhule.

Khare Pani Ka Prayog

Khare pani ki madad se bhi iss sankraman ko thik kiya ja sakta hai. Ise istemal karne ke liye sade pani mai namak milaiye. Fir iss pani mai nakhuno ko thodi der rakhe aur brush se saf kare. Aesa kuch din tak niyamit roop se karne par nakhuno ka fungus door ho jata hai.

Nimbu

Nimbu kai prakar ke rogo ka upchar karti hai. Yeh nakhuno se fafund ko saf kar usko badrang hone se bachane mai bhi faydemand hai. Ise lagane ke liye nimbu ke ras ko fungus lage huye nakhuno mai 10 minute tak ragde. Iske pashchat ise pani se saf kar le. Iss vidhi ko rojana karne sankraman thik ho jata hai aur dhire dhire nakhun chamakdar bhi hone dene lagte hai.
 

You May Also Like:- Hair Removal Tips in Hindi: Anchahe Baalo Ko Hatane Ke Upaye

 

Mouth Wash

Mouth wash ke prayog se bhi nakhuno ke fungus ko thik kiya ja sakta hai. Iss prakriya ke liye ek bartan mai 2 glass pani le aur usme 2 bund mouth wash ki mila le. Iske bad iss mishran mai apne nakhuno ko 15 se 20 tak tak dubokar rakhe. Iske pashchat nakhuno ko pani se dho le aur sukhe kapde se ponch le. Iss vidhi ka prayog karne se nakhuno se fungus to dur hota hi hai sath hi nakhuno ka rang bhi accha ho jata hai aur nakhun sundar dikhayi dene lagnte hai. Iss vidhi ka prayog rojana 2 bar karne se jald hi asar dikhai deta hai.

Toenail Fungus Se Bachne ke Tarike Bhi Jane

  1. Pairo ko acchi tarah se pani se dhone ke paschat inhe toliye se poch lena chahiye. Geele nakhuno mai bhi fafund jaldi lagta hai.
  2. Pairo mai hamesha khuli chappal aur juto ko hi pehanna chahiye. Aesa na karne se pairo mai pasine ki wajeh se bacteria jama hone lagte hai. Jo ki fafund hone ka karan bante hai.
  3. Pario aur hatho ke nakhuno ko jyada samay tak dhul ya fir mitti ke sampark mai nahi rakhna chahiye.
  4. Bajar mai uplabdh kisi bhi prakar ke nail paint ka prayog na kare. Hamesha branded company ke nail polish ka hi prayog kare.
  5. Yadi aapke nakhun bahut bade hai to unki rojana saf safai kare anyatha bade nakhuno mai fungus jaldi lagta hai. Aur yeh kai prakar ke sankraman ka bhi karan banta hai.
  6. Pairo ki safai karne ke sath ek hi moje ko 1 hafte tak na pehane. Har 2 din mai moje ko badalkar pehnna chahiye. Aesa na karne se moje mai mojud bacteria ki wajeh se nakhun ka rag badalne lagta hai aur fungus lagne lagta hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...