Home Remedies for Tonsillitis: Tonsils Problem ko Dur Kare

Tonsillitis ek bahut aam problem hai. Mausam ke badlav ke karan yeh problem kisi na kisi ko hoti rahti hai. Tonsils bahut badi bimari bhi ho sakti hai, to dhyan rahe ki tonsillitis treatment ko proper lena bahut jaruri hai.

Monsoon ke baar-baar change hone ke karan logo ko sardi khasi aur bukhar ho jata hai. Iski shuruaat Tonsils se hoti hai. Agar aap log bhi iss bimari se grasit  hai to aaiye janiye kuch asaan gharelu nuskhe jo aapko dege tonsillitis se aaram.

Symptoms of Tonsillitis: Iske Lakshan ko Pahchaniye

  • Gale mai kharash
  • Fever (Bukhar) aur Chills (Thand lagna)
  • Swallowing (Nigalne) mai problem
  • General weakness
  • Headache
  • Bad breath
  • Jabde ke niche sujan aana

You may also like:- Throat Pain Home Remedies

Home Remedies for Tonsillitis: Janiye Kuch Gharelu Nuskhe

Lime

Lime ek bahut acchi home remedy hai jo Tonsils ki problem mai aaram pahuchahti hai. Fresh lime aur warm water mai shahad mila kar kulla kare.

Home-Remedies-for-Tonsillitis

Milk

Ek chutki haldi (Turmeric) powder mai hot boiled milk mila kar raat mai sone se pehle iska  sevan kare. Yeh bahut hi asardar home remedy hai.

Common Salt

Boiled water mai namak mila kar usse kulla kare. Isse aapko bahut jaldi araam milega.

Carrot Juice

Carrot juice pine se aapko jaldi hi tonsils ke dard se chutkara mil sakta hai.

Fenugreek Seeds (Methi ke beej)

3 tea spoon fenugreek seeds ko ek liter pani mai boil kare. Phir iss pani se din mai 3 bar garare kare. Yeh ek bahut accha aur aasan tarika hai iss problem se nijat pane ka.

Figs (Anjeer)

Anjeer ko pani mai boil kar ke paste bana le. Phir iss paste ko gale ke upar se laga le. Yeh aapko throat pain se aaram dilayega.

Beet

Beet juice gale ke gard mai bahut effective hota. Agar aap tonsils ki problem se bahut pareshan hai to aaj se hi beet juice lena shuru kar de.

Cucumber

Cucumber bhi beet ki tarah ek effective detoxifying agent hai. Yeh ek best home remedy hai iss problem ke liye. Aap isko aasani se kha sakte hai aur dekhiye uske baad ke fayde.

Alum (Fhitkari)

Fhitkari ke powder ko pani mai boil kar le aur phir iss pani se kulla kare.

Tonsillitis ke Precaution (Savdhani)

Saaf Safai ka Dhyan Rakhe:

Safai aur accha swasth ek dusre se jude hote hai. Isliye agar aap swacchta apnayege to koi bhi bimari aapko chuu nahi payegi. Bathrook se aane ke baad, khana khane se pehle ya phir chikne ke baad apne haato ko dhona na bhule. Uss vyakti se puri tarah se bache jisko khansi ya jukham ho.

You may also like:- Home Remedies for Sore Throat: Janiye Easy Gharelu Nuskhe

Jyada Cold Drinks na Piye:

Thanda pait pine se gale mai sankraman hone ka khatra adhik rehta hai. Tonsils na ho iske liye monsoon mai cold drink na piye. Agar aapko garmi lag rahi hai aur aap jyada der ke liye intejar nahi kar sakte hai, to kam se kam apne pasine ko sukh jane de, tabhi cold drink piye.

Tobacco ka Sevan na Kare:

Agar aapko tobacco ya phir smoking karne ki buri aadat hai to krapaya na kare. Jyadatar tonsils hone ka karan tobacco hi hai. Yeh gale sukha deta hai jisse sankraman hone ka khatra bahut badh jata hai. Isliye monsoon mai smoking na hi kare to behtar hoga.

Stris Fruit na Khaye:

Stris Fruit mai moujud acid aapke gale ko aur bhi jyada nuksaan pahucha sakta hai. Jab gala kharab ho to aapko nimbu, santra, strawberry aur mosambi nahi khana chahiye. Monsoon mai khaastor par phal ko frize se turant nikal kar nahi khana chahiye.

Herbal Tea Piye:

Tonsils ko dur karne ka yeh sabse aam aur prakritik upchar hai. Herbal tea pine se cough failane wale germ aur bacteria mar jate hai. Koshish kare ki aap green tea, daal chini chai, laung ya ilaichi se bani chai hi piye. Yeh sharir ke liye bhi acchi hai aur gale ki liye bhi bahut hi acchi hai.

Get more details about  from Tonsillitis Home Remedies.

Loading...

You may also like...