Home Remedies for Upper Lip Hair: Jane Aasan Gharelu Upay

Bahut si mahilao ke chehre par anchahe baal hote hai, khaskar yeh honth ke upar hote hai. Iss wajah se we hamesha pareshan rehti hai. Kyoki ladkiyo aur mahilao ke chehre par baal hona unhe sab ke bich hasi ka patra bana deta hai.

Upper lip par baal aane ki kai wajah ho skati hai jaise hormones mai asantulan, vajan mai badhotari, tanav aadi. Yaha tak ki kuch logo ko to anuvanshik karano ke chalte bhi yeh samasya hone lagti hai.

Bleaching, waxing iske jairye kai mahilaye inn baalo ko hata ya chhupa leti hai. Lekin yeh upay bahut kam samay ke liye hote hai aur baal wapis lout aate hai. Ab har bar parlor jana sambhav nahi hota, aur to aur inn tariko se baal ugne ki speed ulta badh jati hai.

Isliye hame iske liye prakratik tariko ko hi apnana chahiye. Taki na hi parlor jane ka tension aur na hi kisi side effect hone ka. Har mahila ko khubsurat dikhne ka hak hai, isliye ham aaj ke lekh mai aapke sath share kar rahe hai kuch Home Remedies for Upper Lip Hair.
 

Home Remedies for Upper Lip Hair: Anchahe Baalo Se Nijat

 
Home Remedies for Upper Lip Hair
 
Saloon mai jakar bar bar hair removal karwane se hontho ke upar jhurriya aa jati hai. Isliye jitna ho sake koshish kare ki aap ghar par hi ise nikale. Aaiye jante hai ise ghar mai karne ke tariko ke bare mai:-
 

Haldi, Besan aur Dahi

  • Yeh teeno chize aapko bade hi aasani se mil jayegi aur to aur inn tino mai bleaching property hoti hai.
  • Upper Lip Hair Removal ke liye inn tino ko acche se milakar apne hontho ke upar jaha baal aate hai waha masale aur sukhne ke liye chhod de.
  • Jaise hi yeh sukh jaye isse ragat kar nikal le aur fir saaf pani se dho le.
  • Yahi tarika yadi aap apne pure chehre par try karenge to isse aapke chehre ki rangat gori hoti hai.

 

Anda, Besan aur Shakkar

  • Ande ka safed wala hissa le aur isme besan aur shakkar mila kar gadha paste taiyar kar le.
  • Ise apne upper lip wale hisse mai lagaye aur sukhne ke baad peel off kar le.
  • Ise aap hafte mai 4 bar prayog kare. Aap khud dekhenge ki hair growth mai kami aai hai.

 

Jai Se Bana Scrub

  • Twacha se anchahe baalo ko hatane ke liye jai se bana scrub bhi bahut hi fayemand hai.
  • Jai ke powder mai dudh aur nimbu ka ras dalkar iska paste bana le aur ise apne chehre par lagaye.
  • Aadha ghanta rakhne ke baad pani se apna chehra dho le.
  • Isse anchahe baal to hatate hi hai sath hi isse twacha mai chamak bhi aati hai.

 

Shakkar aur Nimbu

  • 2 chammach shakkar aur ek chammach nimbu ka ras dalkar ise kadhai mai garam kare.
  • Ise ya to ek minute ya fir jab tak iska paste gadha na ho jaye tab tak garam kare.
  • Ise thoda thanda hone de aur jaha se aap anaavyashak baal nikalna chahte hai waha lagaye.
  • Ab ek cotton ke kapde ko paste par rakhkar ise upar niche rub kare.
  • Fir niche se upar ki taraf ek dum se nikal le.
  • Lip Hair Removal ke liye yeh bahut faydemand hai. Isse aapko bahut fark najar aayega.

 

Anya Tips Inhe Bhi Janiye:-

  1. Haldi mai pani milakar iska gadha paste bana le. Iss paste ko aadhe ghante ke liye lagaye aur fir dho le. Mahine mai do bar iss prakriya ko kare.
  2. Har raat ko sone se pehle haldi aur dahi ka paste apne hontho par lagaye. Isse aapke baalo ki growth dhire dhire kam ho jayegi.
  3. Haldi, chana dal ka aata aur malai milakar paste banale. Ise aadhe ghante ke liye lagaye aur fir dho le.
  4. Methi ke dane ko raatbhar ke liye bhigo de aur subah pani ke sath sevan kare. Isse aapko fayda hoga.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Upper Lip Hair. Sahi khanpan bhi chehre ke anchahe baalo ko dur karne ke liye jaruri hai. Thik se khanpan na hone aur vyayam ka abhav ke chalte hormonal imbalance jaisi chize ho jati hai jiske chalte chehre par anchahe baal aa sakte hai.

Loading...

You may also like...