Home Remedies for Watery Eyes: Aankhon ka Pani Dur Kare

Aankhon ko jyada sparsh ya ragadne wale logo ko aankhon mai pani aane ki samasya aksar hoti hai. Yun to yeh bimari kabhi bhi ho sakti hai. Parantu garmi ke dino mai iska prakop adhik dikhai deta hai. Aankhon mai pani aane ke saath-saath aankhon mai khujali hone lagti hai, aankhen laal ho jati hai. Saath hi aankhon mai jalan bhi ho ne lagti hai. To aaiye iss samasya se bachne ke liye aaj dekhte hai Home Remedies for Watery Eyes.

Aankhon mai pani aana bahut hi aam samasya hai, aur yeh samasya ucch pradushit vatavaran aur mousami allergy ke douran aur bhi bigad jati hai. Iss samasya mai aankhon mai pani ke saath-saath aankhon ke charo aur khujali bhi hoti hai.

Aankhon ko jyada sparsh ya ragadne wale logo ko yeh samasya aksar hoti rehti hai. Jald rahat pane ke liye aap kuch prakritik upcharo ka sahara le sakte hai. Inn upay mai kai upay to aapki rasoi mai aasani se uplabdh ho jate hai. Halaki kuch gambhir mamalo mai aapko aankhon ke doctor se paramarsh lena chahiye.

Home Remedies for Watery Eyes

Home Remedies for Watery Eyes: Aankhon se Pani Aane ki Samasya ko Dur Kare

Thanda Sek:

Prabhavit aankhon ke aas-paas thanda sek karne ke tatkal rahat pane mai madad milti hai. Ise karne ka sabse aasan tarika yeh hai ki ek saaf kapde ko barf ke thande pani mai bhigokar apni aankhon par rakhe. Aisa din mai kai baar kare. Iske alawa aap aankhon mai pani aane ki samasya se bachne ke liye chamomile tea bag ka istemaal kar sakte hai. Yeh aapke liye bahut laabhkari sabit hoga. Iss upay ko din mai 3 se 4 baar kar sakte hai.

Khira:

Khire mai anti-erection gun aankhon mai pani ke saath-saath jalan aur khujali ki samasya ko dur karne mai madad karte hai. Khire ko acchi tarah se dhokar uske patle-patle slice kaat le. Inn slices ko 15 se 20 minutes ke liye frize mai rakhe. Phir apni Eye ke aas-paas ise kam se kam 10 minutes ke liye rakhe. Iss prakriya ko din mai 4 se 5 baar kare. Yeh aankhon mai pani ki samasya ke saath-saath dark circle bhi dur karta hai.

You may also like:- Eye Care Tips in Hindi, Aankhon ki Sahi Dekhbhal

Thanda Doodh:

Doodh bhi aankhon mai pani ki samasya ko dur karne mai istemaal kiye jane wale lokpriya gharelu upcharo mai se ek hai. Cotton ball ko thande doodh mai dip karke apni aankhon kea as-paas ragade. Iske alawa aap shital prabhav pane ke liye aankhon ke aas-paas thande doodh mai bhigi cotton ball ko kuch der rakh bhi sakte hai. Iss upay ko subah aur sham kare.

Gulab Jal:

Shuddh gulab jal aankhon mai pani aane ki samasya ko dur karne wale sabse  prabhavi gharelu upcharo mai se ek hai. Yeh sabse acchi Home Remedies for Watery Eyes hai. Yeh aankhon ke liye sukhad aur thanda hota hai aur aankhon ko spasth karne mai madad karta hai. Gulab jal ko aankhon ke liye kai tarike se istemaal kiya ja sakta hai. Gulab jal se apni aankhon ko din mai kam se kam 2 baar dhoye. Iske alawa jald rahat pane ke liye aap gulab jal ko drop ke roop mai dalne ke liye istemaal kar sakte hai.

Home Remedies for Watery Eyes in Hindi

 

Pani aur Namak:

Aankhon mai pani aane ki samasya ko dur karne ke liye pani aur namak ka ilaj asani se uplabdh hone wala hai. Jab iska istemaal aankhon ko dhone ke liye kiya jata hai to dono ka sanyojan aankhon mai pani ke saath sujan, jalan aur aankhon ke ekatra kichad ko dhone mai bhi madad karta hai. Iske alawa namak ke anti-bacterial gun bacteria ko marne mai madad karte hai. Prakritik eyefoss banane ke liye ek cup pani mai ek chammach namak milaye. Iss mishran ko tab tak ubale jab tak namak puri tarah ghul na jaye. Phir iss mishran ko acche se thanda karke apni aankhon ko dhoye. Iss upay ko din mai 2 se 3 baar kare.

Green Tea:

Green tea aankhon mai pani aane ki samasya se rahat pradan karne ke saath-saath iske kai swasth laabh hai. Iske anti-inflammatory guno ke karan yeh aankhon ko rahat pradan karta hai. Aankhon ke liye eyefoss banane ke liye ek cup pani mai green tea 2 bag dalkar ubale. Phir ise kuch der thanda hone ke liye rakh de. Thanda hone ke baad iss mishran se apni aankhon ko din mai 2 baar dhoye.

You may also like:- Home Remedies for Eye Infection: Aankhon ke Liye Gharelu Ilaj

Aloevera:

Apne soothing aur moisturizing guno ke karan aloevera aankhon mai pani aane ki samasya ka ek aur prabhavi gharelu upay hai. Aloevera se nikale jelly ko ek chammach shahad aur aadha cup elderberry chai ke saath milaye. Iss mishran se apni aankhon ko din mai 2 baar tab tak dhoye jab tak aapki samasya thik na ho jaye. Iske alawa aap sirf aloevera ke ras ka istemaal apni aankhon ko dhone ke liye bhi kar sakte hai.

Kaccha Aalu:

Apne estrigent guno ke karan kaccha aalu aankhon mai pani aane ki samasya se jald rahat deta hai. Iss tarah se yeh laali aur sujan ko dur karne mai madad karta hai. Samasya hone par kacche aalu ke patle slice karke kuch der ke liye frize mai rakhe. Phir inn thande slice ko apni aankhon par 15 se 20 minutes ke liye rakhe. Iss upay ko raat ko sone se pehle 2 ya 3 din tak niyamit roop se kare.

Upar aapne jane Home Remedies for Watery Eyes. To agar aap bhi iss samasya se pareshan hai aur koi ilaj nahi mil paa raha hai inn upayo ki madad se iss samasya ko dur kare aur swasth rahe.

Eye Care se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Home Remedies.

Loading...

You may also like...