Home Remedies for Yeast Infection: Iss Sankraman Ke Upaye

Khamir sankraman ek prakar ka samanya sankraman hai, jo ki manushyo mai aamtour par hota hai. Khamir sankraman ko candida ke naam se bhi jana jata hai. Yeh jyadatar yoni mai hone wala sankraman hai. Lekin yeh sahrir ke anya bhago jaise stano ke pas, pet ke nichle hisse, nakhuno mai aur twacha ki parto ke niche kahi bhi ho sakta hai,

Khamir sankraman ke badhne ki stithi, sharir ki pratiraksha pranali par nirbhar karti hai. Mahilao ki yoni ke bacterial vaginosis mai yeh sankraman choti-choti snakhya mai rehte hai. Lekin jab yeh anishchit rup se badhna prarambh kar dete hai to yeh pareshani ka karan banne lagte hai.

Iss sankraman ke badhne ke kai karan hote hai jaise tanav, swasth ka jyadatar kharab rehna ,diabetes, garbhnirodhak, steroid aur antibiotic dawao ke sevan.

Yeh bahut bada sankraman nahi hai lekin sahi samay par iska ilaj na kiya jaye to yeh ek ghatak bimari ka rup le leta hai. Khamir sankraman ko dur karne ke liye gharelu upchar bahut hi faydemand hote hai. To yaha padhiye Home Remedies for Yeast Infection . Inn upcharo ke koi dushprabhav bhi nahi padte hai aur khamir sankraman aasani se dur bhi ho jata hai.
 

Home Remedies for Yeast Infection: Khamir Sankraman Ke Gharelu Upay

 
Home Remedies for Yeast Infection
 
Ek swasth yoni mai kai prakar ke bacteria aur khamir koshikaye hoti hai. Jab kisi karan vash inn khamir koshikao ke santulan mai parivartan hota hai to yeh aniyantrit rup se viksit hone lagti hai aur yahi khamir sankraman ka karan banta hai. Isliye iski jaanch aur ilaj karna bahut jaruri hota hai Isliye yaha padhiye Yeast Infection symptoms aur jane iske lakshan.

  1. Gambhir rup se yoni mai khujali hona.
  2. Aam tour par safed, mota aur bina gandh ka yoni strav.
  3. Yoni dwar ka lal hona aur twacha par khichav ka hona.
  4. Peshab karte samay asuvidha mehsus hona aur jalan hona.
  5. Sambhog ke douran yoni mai dard.

Khamir sankraman ke ilaj ke liye gharelu aur prakratik tarike se ilaj karne se koi dushprabhav nahi hote hai. Isliye aaiye jane Yeast Infection Home Remedies.
 

Nariyal Ka Tel

Nariyal ka tel khamir sankraman ke liye jimmedar kavak ko marne ka gun rakhta hai. Sharir ke jiss bhi bhag mai yeh sankraman hai waha par nariyal ke tel ko iss prakar se lagaya ja sakta hai.

  1. Jaha par bhi khamir sankraman ho waha par din mai teen bar nariyal tel ko lagaye.
  2. Nariyal ke tel mai dalchini ka tel milakar mishran taiyar kare. Iss mishran ko prabhavit khsetra par lagane se sankraman ke vikas ko roka ja sakta hai.

 

Seb Ke Sirke Ka Prayog Kare

Seb ka sirka aur safed sirka dono ko ek sath milakar bhi khamir sankraman ko dhire-dhire dur kiya jata hai. Yeh mishran sankraman ko badhava dene wale kavak ko nasht kar sankraman ko khatam karne mai sahayak hote hai.

Seb Ke Sirke ko nimn prakar se prayog kar sakte hai.

  1. 2 chammach seb ke sirke mai ek cup garm pani ko milaye aur kuch dino tak iss ghol ko piye.
  2. Garm pani mai sirke ki kuch bunde dalkar uss pani mai kam se kam 1 ghante tak baithkar nahaye. Jald hi aapke sharir se khujali aur jalan dur ho jayegi.
  3. Iske alava sade pani mai bhi seb ka sirka aur safed sirke ko milakar sankramit twacha par lagane se khamir sankraman ko dur kiya ja sakta hai.

 

You May Also Like: Home Remedies for Gas Problem in Hindi: Rahe Swasth

 

Dahi Ko Apnaye

Dahi mai paya jane wala Lactobacillus acidophilus, khamir sankraman ko badhava dene wale bacteria ko khatam karne mai madad karta hai. Iss sankraman ke ilaj ke liye sada dahi ka prayog karna labhkari hota hai. Dahi ko sankramit sthan par nimn tarike se lagaya ja sakta hai.

  1. Sankraman se bachane ke liye sada dahi ko sankramit jagah par lagakar 20 se 30 minute tak rakhe. Aesa karne se twacha par hone wali khujali aur jalan dur ho jati hai.
  2. Iske alava aap apne aahar mai dahi ko rojana shamil kare. Isse yeh sankraman badh nahi pata aur dhire-dhire iska ilaj bhi hota rehta hai.

 

Lehsun Ka Prayog Kare

Lehsun mai antifungal gun hota hai jiss wajah se yeh kai bimariyo ke ilaj ke liye bahut hi acchi jadi buti hai. Iske alava yeh antibacterial aur antibiotic guno se bhi bharpur hone ke karan kisi bhi prakar ke khamir sankraman ke prabhav ko rokne mai madad karta hai.

Kuch mahilaye khamir sankraman hone par yoni mai lehsun rakhkar so jati hai aur subah hote hi nikal deti hai. Aesa karne se sankraman ka prabhav dhire-dhire khatam hone lagta hai. Khamir sankraman(Infection) hone par lehsun ko nimn tarah se prayog kar sakte hai.

  1. Lehsun ko kas le aur uska paste bana le. Fir iss paste ko sankramit sthan par laga le.
  2. Yadi aapke pas shuddh lehsun na ho to lehsun ke tel ke sath vitamin E ka tel aur nariyal ke tel ko milakar bhi sankramit sthan par laga sakte hai.
  3. Iske alava kacchi lehsun ko khane aur use sunghane se bhi khamir sankraman dur ho jata hai.

 

Boric Acid

Boric acid ek prakar ka rasaynik amla hai jisme antiseptic aur antifungal gun hote hai. Yeh bhi khamir sankraman ko dur karne mai sahayak hota hai. Lekin ise garbhvati mahilao ko nahi dena chahiye. Ise sankramit sthan par nimn tarike se lagaya jata hai.

  1. Pani ke sath kuch bunde boric amla ki mila le, aur ise sankramit sthan par laga le aur kuch minute ke liye chhod de.Aur baad mai pani se dho le.
  2. Rojana ek hafte tak ise kriya ko dohraye.

Home Remedies for Yeast Infection mai aapne jana Khamir sankraman ko kaise dur kiya sakta hai. Lekin yad rahe diye gaye home remedy ko apnane se pehale iss sankraman ko chikitsak ko avashya dikhae aur fir ilaj kare.

Loading...

You may also like...