Home Remedies for Ear Wax: Kaan Ka Mail Nikalne Ke Liye
Aapko kaisa lagega yadi aapko koi bhi aavaj sunai na de? Sochkar hi dar lagta hai. Isse hi aap samajh sakte hai ki kaan hamare sharir ka kitna mahatvapurn ang hai. Iski madad se hi ham aavaj ko sun sakte hai aur iss jindagi ko acche se jine ke liye hame iski bahut jarurat hai.
Isliye sharir ke baki ango ki safai jab aap karte hai to isme apne kano ki bhi safai kar le. Ham sabhi ke kano ke andar mom hota hai. Yeh ek samanya prakriya hai, yeh mom gandagi aur bacteria ko kan ke andar jane se rokta hai.
Lekin jab yahi mom jyada badh jata hai kano mai dard hone lagta hai. Yaha tak ki kuch logo ko to sunai bhi kam dene lagta hai. Kai bar to kano mai bacterial infection hone ka khatra bhi rehta hai.
Bahut se log iss mom (kaan ke mail) ko tili ya mahin chizo se nikalte hai. Lekin yeh bahut kathor hoti hai aese mai ise nikalna aapke kaan ke liye nuksandeh ho sakta hai. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Home Remedies for Ear Wax. Iski madad se aap kano ke mail ko aasani se nikal sakte hai.
Home Remedies for Ear Wax: Mail Saaf Karne Ke Gharelu Tarike
Garam Pani Ki Madad Se
- Jab bhi aap nahate hai tab roj thoda garam pani apne kano mai dale. Isse aapke kaan ki saaf safai hoti rehti hai.
- Garam pani se nahane ke baad aapke kaan ka mail dhila padh jata hai. Iske bad aap ise aasani se saaf kar sakte hai.
Sarso Ka Tel
- Raat ko sone se pehle jis bhi kaan mai wax jama hai usme garam sarso ke tel ki kuch bunde dale.
- 4-5 din tak lagatar tel dalne par kano ka mail dhila ho jata hai. 4-5 din baad rui ki tili se ise nikal le.
- Yeh behad hi prabhavi Home Remedies to Clean Ears mai se ek hai.
Namak Ka Pani
- Namak ke pani ki madad se bhi aap ghar par hi apne kano ka mail saaf kar sakte hai.
- Yeh kano ke andar ke mail ko naram kar deta hai, jisse ise nikalna saral ho jata hai.
- Prayog ke liye aadhe cup garam pani mai aadha chammach namak dale, jab tak yeh acche se ghul na jaye.
- Iss pani mai cotton ki baal dale, jab tak rui pani nahi sokh leti hai.
- Ab jis bhi kaan mai aapko pareshani hai uska muh aasman ki taraf kar le.
- Fir rui ki sahayata se kano mai namak wala pani dale, fir isi avastha mai 3 se 5 minute tak bane rahe.
- Ab usi kano ko niche ki taraf karke let jaye, taki pura pani bahar nikal jaye.
- Ab kano ko cotton ki madad se acche se saaf kar le.
Jaitun Ka Tel
- Ear Wax Removal ke liye jaitun ka tel bhi ek accha vikalp hai.
- Jaitun ka tel wax ko naram kar deta hai, jisse yeh aasani se kano ke bahar aa jata hai.
- Jaitun ke tel ki antiseptic property se kano mai hone wala sankraman bhi dur hota hai.
- Prayog ke liye jaitun ke tel ko halka garam kar le.
- Ab dropper ki sahayata se garam tel ki 3 se 4 bund prabhavit kano mai dale.
- Ise 10 minute ke liye aese hi rehne de jab tak kano ka wax naram nahi ho jata.
- Ab apne kano ke mail aur oil ko ear buds ki madad se nikal de.
Doctor Ki Madad Le
- Yadi aapko bataye gaye gharelu upchar ko karne ka koi bhi fayda nahi mil rha hai. To ho sakta hai iske piche ka karan koi bimari hai.
- Lagatar bane rehne wali dard ki stithi mai bina der kiye chikitsak se sampark kare.
- Kai bar mail bahut jyada kadak ho jane ke karan bhi ghar par nahi nikal pata hai.
Upar aapne jana Home Remedies for Ear Wax in Hindi. Uprokt bataye gaye tariko se aap apne kano ka mail saaf kar sakte hai. Kano ke mail ko saaf karne ke liye aap jis bhi ear buds ka istemal karte hai, iss baat ka khyal rakhe ki wo narm hai.
Aapko yeh aasani se kisi bhi medical store par mil jayenge. Kadak ear buds aur kathor chiz ka istemal kano mai na kare, isse aapke kano ke andar ke hisse ko nuksan pahuch sakta hai.