Hormonal Imbalance in Women, Mahilao ki Samasya

Tanav jivan ka hissa ban chuka hai. Purush hi nahi mahilao mai bhi yeh samasya aam ho chuki hai. Aniyamit jivan shaily, kaam ka bojh aur tanav bhari zindagi ka asar ab hormone mai privartan ke roop mai bhi samne aane laga hai.

To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Hormonal Imbalance in Women. Jisse ki mahilao ko iss pareshani ke bare mai sahi jankari prapt ho payegi.

Tanav ke karan sharir mai kai asnatulan isthiti paida hoti hai aur hormone bhi isse bahut prabhavit hote hai. Hormone imbalance ke karan masik dharm samasya ke alawa any kai bimari bhi shuru ho jati hai.

Hormonal Imbalance in Women

 Causes of Hormonal Imbalance, Mahilao Mai Iss Pareshani Ke Karan

Mahilao ke sharir mai hormone imbalance kai karan se prabhavit hota hai, jisme jivan shaily, poshan  aur exercise ki kami , tanav, bhavnaye aur umra pramukhye Causes of Hormonal Imbalance hai.

Saath hi junk food aur dusra khadya padarth mai calories ki matra bahut adhik hona aur dusre poshak tatav ka nahi mil pana, saath hi coffee, chai, soft drink ka bahut adhik istemaal karana. Inn sab karano se mahilao mai adrenal gland bahut adhik sakiye ho jati hai, jo hormone ko prabhavit karti hai. Iske alawa garbh nirodhak goloya bhi hormone ko prabhavit karti hai.

Causes of Hormonal Imbalance

Mahialo ke sharir mai uplabhdh panch hormone- estrogen, progesterone, carousel, DHIH aur testosterone ki prakti par hi sharir ka swasth nirbhar karta hai. Inn hormone ke asantulan hone par swasth samasya hone lagti hai. Isliye inko santulit karna bhaut jaruri hota hai.

Janiye Mahilao Mai Hone Vale Hormonal Imbalance Symptoms

Hormonal Imbalance Symptoms

 

Masik dhram mai bahut adhik bleeding hona, masik chakra mai gadbadi, bhuk na lagna, neend na aana, mood ka ka bar bar change hona, achanak weight badna, haddiya kamjor hona, raat mai adhik pasina aana aadi. Vese expert ka kahna hai ki, hormone ke imbalance hone par breast cancer hone ki bhi sambhavana hoti hai.

You may also like:- Hypothyroidism ka Ayurvedic Gharelu Nuskhe se Ilaaj

Hormone Imbalance ka Sharir Par Prabhav

Hormone asantulan ke chalte mahilao ka mood aksar kharab rahne lagta hai aur vah chidchidi ho jata hai. Saath hi yeh asantulan swasth sambhandhi pareshaniya jese muhase, chehre aur sharir par adhik baalo ka ugna , asamay budhapan, period mai gadbadi, youn iccha ka kum hona, pregnancy mai problem aane  jesi gambhir samasya ka karan ban sakta hai.

Hormonal Imbalance Treatment, Janiye iss pareshnai se Bachne Ke Upay

Neend aana ek hormone asantulan ka karan hota hai. Neend na aane se cholesterol ke level par prabhav padta hai. Iske karan mahilao ko raat mai sote vakt bahut paseena aana jis se pareshani ho sakti hai. Isliye mahilao ko rozana 7 se 8 ghante ki neend lena chahiye.

Hormonal Imbalance Treatment

Depression ke karan bhi hormone ka asantulan ho jata hai. Khastor par mahilao mai chidchadapan hormone ke badlav ke karan hi hota hai. Isliye iss pareshani se bachne ke liye tanav se dur rahne ki koshish karna chahiye. Iske liye aap dhyan, yogasan ka sahara le sakti hai. Sharir mai pani ki kami na hone de. Chai coffe aur sharab ke sevan se bache.

Food Jo ki Aapko Bachaye Hormonal Imbalance Se

Nariyal Ka Tel

 Hormonal Imbalance in Women ke ilaj ke liye nariyal ka tel bahut faydemand hota hai. Nariyal Ka tel khane mai prayog karne se sharir mai hormone balance hone lagta hai. Hormonal imbalance ke vajah se sharir mai fats jama hone lagte hai. Vahi nariyal ke tel ke use se sharir mai fats kum ho jate hai.

Pani

Pani pine se sharir hydrate rahta hai aur uska stress level bhi kum hota hai. Tanav yani stress hormone imbalance ka sabse bada karan hai.

Sukha Meva

Meva mai bahut sara protein paya jata hai. Protein diet un purush aur mahilao dono ke liye accha hota hai, Jo hormone ki gadbadi se grasit hai.

Hari Sag Sabji

Hari sabjiya aur beans mai  bahut sara carbohydrate aur fiber hota hai. Jo iss problem ko theek karne mai madad karta hai.

Avocado

Avocado mai accha vasa paya jata hai jo ki sharir ke liye bahut labhdayak hota hai. Agar aapko bazaar mai Avocado na mile to aap kela bhi kha sakte hai.

Fish

Apne aahar me sea food shamil kijiye tuna fish mai bahut sara omega 3 fatty acid hota hai, jo ki sharir mai hormone ka balance karega.

Green Tea

Green tea sharir ke liye bahut accha hota hai. Isko peene se weight control rahta hai aur sharir ko bahut sara antioxidant bhi milta hai. Agar aap antioxidant diet mai nahi le sakte to supplement lena shuru karde.

Lahsun

Agar lahsun ko  apne aahar mai shamil karenge to yeh aapke hormone ke level  ko theek kar sakta hai. Iske liye dudh mai kuchi huye lahsun daal kar peene se fayda milta hai.

Upar aapne jana Hormonal Imbalance in Women se jude kuch khas tathy. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tariko ko apna kar iss problem se bachiye aur swasth rahiye.

Lekin dhyan rahe ki agar aapko pareshani jyada ho rahi to to aap turant doctor se sampark kare aur iska ilaj sahi ilaj karwaye.

Hormonal Imbalance se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.

 

 

Loading...

You may also like...