Padiye How to Apply Powder Foundation ki Aasan Steps
Powder foundation jo aapko aapki khubsoorati nikharne mai madad karta hai. Isse aapke chehre par ek naya look aata hai. Aap iss powder ko kisi bhi jagah istemaal kar sakti hai.
Lekin agar aapne sahi tarike se ise na lagaya to aapka look accha dikhane ki vajah kharab dikhai dega. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, How to Apply Powder Foundation.
Yeh char prakaar mai uplabh hai. Yeh cream se powder foundation, liquid (taral) se powder foundation, minerals (prakrtik) powder aur pressed powder-based foundation hai. Yeh sabhi prakaa ki twacha jese samanye, oily aur mishrit ke liye upyukt hai.
Lekin sabse badi baat hai ki agar aapko iska sahi look chhaiye to aapko iska selection apni twacha ke color ke according karna chahiye tabhi yeh apna result denga.
Saath hi aaj jo hum tips batane ja rahe hai. Uss tarike se aap apne chehre par isse lagaiye taki agar aap kisi bhi jagah iss powder ko lagakar jaye to aap bahut sundar dikhai dengi.
How to Apply Powder Foundation ke Dwara Kijiye Sahi Makeup
Powder Foundation ko acche se lagane makup ispanz ka use kijiye. Agar aap chahe to makeup brush ka bhi use kar sakti hai. Inki madad se iss powder ko aap apne chehre par acchi tarah se failasakti hai. Par dhyan rahe ki powder foundation lagane ke liye apni ungali ke pores ka use kabhi mat kare. Chaliye padiye isse lagne ki tips.
Skin ki Safai aur Toning
Ek halke cleanser ka upyog karke apne chehre ko acche se saaf kare. Isse sare gandgi nikal jayengi. Fir apni twacha ko tone karne ke liye toner ka istemaal kijiye. Foundation tone aur saaf twacha par hi lagan chahiye.
Moisturizer
Uchit matra mai cream laga kar apni skin ko sudhaiye. Moisturizer aapki twacha par surksha part ki tarah kaam karta hai. Saath hi nami bhi pradaan karta hai. ISko lahane se aapki dry skin khatam ho jayegi aur ek samaan satah ban jayengi. Fir cream ko apne chehre par 3 se 4 minutes ke liye sukhane de.
Concealer ko Lagaiye
Cream lagan eke baad concealer ka upyog karke aap chehre ke daag dabbe ko chup sakte hai. Saath hi kisi acche se gadhe concealer ka upyog karke apne chehre ke muhase ya bhi chupaya ja sakat hai. Bas yaad rahe ki concealer aapki twacha ke color se milta-julta hona chahiye.
Ispanz ka use kare
Ek ispanz le isme foundation laga le. Iss ispanz ko pure chehre par lagaiye. Isse kuch khas jagah par jarur lagaiye jese aakhon ke niche, naak aur vaha jaha se aapki skin ka color thoda dark ho. Aur use aache se faila kar lagaiye taki yeh aap ki skin par puri tarah se sama jaye.
Brush ka Use kare
How to Apply Powder Foundation mai yeh step bahut mukhaye hai. Brush ko ghukar powder foundation ko uthaye tatha atirikt powder kio nikal de. Fir iss brush ko apne chehre par halke-halke haatho se golakar disha mai ghumaiye. Isse niche ki aur ghumate huye lagiye jese english ka “S” bana rahe hai.
You may also like:- Ultimate Guide for Various Makeup Brushes and Their Uses
Powder foundation ko bahut savdhani purvak lagiye. Ise sar se start karke lekar pure chehre par lagaiye. Uske baad milate samay pure golkar disha mai ghumaiye. Isse aapke daag dabbe dikhai nahi denge. Bas yaad rakhe ki apne makeup ke douran simple powder chehre par na lagaiye. Iss aapka makeup kharab dikhta hai.
Janiye Best Powder Foundation ke Baare Mai
Aaiye ab hum aapko aisi list batate hai. Jisme sabhi Best Powder Foundation ko select kiya hai. Jo ki aapke skin ke liye bhi acche hai. Saath hi aapke meakeup mai char-chand lagane mai aham bhumika nibhate hai.
L’Oreal Paris True Match Naturale Mineral Foundation
Mary Kay Mineral Powder Foundation
BareMinerals Matte SPF 15 Foundation
Maybelline Dream Matte Mousse Foundation
Palladio Herbal Dual Wet Dry Foundation
Laura Mercier Foundation Powder
CoverGirl Simply Powder Foundation
Neutrogena Mineral Sheers
Iman Second To None Cream To Powder
Konsa Powder Foundation Aapke Liye sahi hai?
Vese aapne powder foundation ke type ke baare mai to jan hi liya hoga. To bas apne skin ke according iss powder ka chayan kare. Dhyan rahe ki agar aapne sahi powder ka selection nahi kiya. Matlab agar apne aapni skin ke according powder ka selection nahi kiya to aap ka look kharab najar aayega. To accha hoga agar aap isska selection karte samay kisi expert ki salah le.
Upar aapne jana How to Apply Powder Foundation ki sari steps.To bas der kis baat inn tips ko apna kar iss apne chehre par lagaiye aur apne gorgeous look ko enjoy kijiye.
Foundation se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.