क्या आपको सब छोटू बुलाते है? जानिये 18 के बाद कद कैसे बढ़ाये

Acchi height hona har insan ke liye aakarshan ka kendra hoti hai. Wo log bahut hi dhanya hote hai, jinki lambayi achhi hoti hai. Parantu kuch log aese hote hai, jinki kad jyada nahi hota hai, aur iss wajah se wo log thode udas bhi ho jate hai.

Kad ke kam hone ke karan log samajik karyakamo ka hissa nahi bante. Kisi bhi utsav mai jane mai unhe lagta hai ki kahi log unke kam kad ka majak na udaye. Kyoki school aur colleges mai bhi dost unka mazak udane mai nahi katrate hai. Iss karan wo log tanav mai rahne lagte hai, jisse unki sehat par bhi bura prabhav padne lagta hai.

Kai bar to yeh log khud ko akela mahsoos karne lagte hai aur mansik roop se bhi bahut kamjor ho jate hain. Vaigyaniko ki mane to 13 saal se 18 saal tak ke varsh mai agar achhi tarah se poshan tatvon ka aahar liya jaye, to lambai iss umra mai tezi se badh jati hai. Magar aise bhi kayi upay hai, jinki madad se aap iss umra ke bad bhi apne kad ko badha sakte hai. Aaiye jante hai How to Increase Height After 18 in Hindi.
 

How to Increase Height After 18 in Hindi – Uche Kad Ke Liye

 
How to Increase Height After 18 in Hindi
 

Sahi Poshak Tatv Le

  • Ek acchi matra mai paryapt deit plan banaye, aur usme sabji, protein, carbohydrates, vitamins aadi ko shamil kare
  • Aapko iss baat ka dhyan rakhna hai ki sahi matra mai diet ka palan kare, taki aapke sharir ke hormones achhe se viksit ho sake.
  • Ek accha khana sharir ke liye indhan ka kam karta hai. Height Growth ke liye dudh, pattedar sabjiya, nuts aur meat ek mahatvpurn bhumika nibhate hai.
  • Sahi poshak tatv se sharir ki karya-pranali bhi acche se chalti hai aur yeh rakt sanchar bhi behtar banata hai. Sath hi sath sharir ki haddiyo ko majboot aur lamba karta hai.

 

Niyamit Roop se Vyayam Kare

  • Agar aap niyamit vyayam karenge to sambhavna rehti hai ki aapke sharir ki labmai 18 varsh ki aayu ke bad badh sakti hai. Iske liye jaruri hai, ki aap roz  sharirik gatividhiya (pyshical activity) kare.
  • Isse aapka kad kai inch tak badh sakta hai. Koi bhi gatividhi jaise ki daudna, kudna ya aerobics karna aadi aapke sharir ki haddiyo ko majboot aur lamba banata hai.
  • Yadi aap kad badhne wale vyayamo ko janna chahte hai to padhe Exercises to Increase Height.

 

Bharpur Neend Le

  • Har vyakti ke liye raat ki neend puri hona bahut jaruri hai. Kyonki sharir ke vikas mai neend ka pura hona bhi bahut jaruri hai. Jab raat ko sote hai samay ham angdai lete hai to isse sharir ko khichav hota hai usse growth hormone mai vardhhi hoti hai.
  • Isliye sote samay sahi stithi mai sona bahut aavshyak hai tatha jab aap sidhe sote hai to aapki ridh ki haddi mai khichav hota hai aur aapka sharir kuch inch tak badta hai.

 

Meditation Kare

  • Manushya ke sharir ka sabse pramukh tantra anth stravi pranali tantra hota hai jo piyush granthi mai se growth hormone ka strav karne mai madad karta hai. Jiske karan aapka kad badta hai.
  • Piyush granthi sar aur naak ke bich mai stith matar ke dane ke saman hoti hai.
  • Jab aap meditation karte hai to isi granthi se growth hormone ka strav hota hai aur aapka kad badne lagta hai.
  • Ways to Increase Height ki baat kare to Ise vegyanik tour par bhi siddha kiya gaya hai.

 

Suraj Ki Roshni Lena

  • Suraj se nikalne wali kirno se hamare sharir ko bharpur matra mai vitamin D milta hai. Tatha vitamin D sharir ka kad badane mai bahut sahayak hota hai kyonki iska sidha asar bone growth par padta hai.
  • Yadi aap sharir ko jitne vitamin D ki aavshykta hoti hai utna vitamin D suraj ki kirno se le lete hai to yeh aapke sharir ke liye bahut faydemand hota hai. Khaskar vitamin D ke liye subah subah suraj ke samne khada hona accha hota hai kyonki bad mai UV kirne atyadhik matra mai nikalti jisse hamare sharir ko nuksan pahuchta hai.
  • Vitamin-D bhi sharir ke liye bahut hi aavshyak hota hai, kyonki yeh haddiyo ko calcium avshoshit karne mai madad karta hai, jo ki haddiyo ki lambai ke liye achha hota hai.

 

Bhujangasana Ka Abhyas

  • Niyamit rup se yoga karna aapke sharir ke liye bahut faydemand hota hai tatha yog aasan mai kuch aise aasan bhi hote hai jo aapki sharir ka kad badane mai aapki madad karte hai.
  • Unhi mai se ek hai bhujangasana jise karne se aapki ridh ki haddi majboot banti hai isme tatha khichav aata hai jisse aapka kad badne mai madad milti hai.

Upar aapne jana How to Increase Height After 18 in Hindi. Yadi aap bhi apne chhote kad se santusht nahi hai to upar diye gaye upayo ko apnaye. Isse aapko aapka kad badhane mai madad milegi.
 

Loading...

You may also like...