How to Increase Stamina in Hindi: Sharirik Kshamta Badhaye
Har vyakti ko apni rojmarra ki jindgi mai kai sare kaam karne hote hai. Kisi bhi kaam ko phataphat nipatane ke liye uska stamina accha hona jaruri hota hai. Stamina accha karne ke liye aapko khud ki dekhbhal ki bahut jarurat hoti hai.
Lekin iss vyast jivansheli mai kisi ke paas bhi apna khyal rakhne ka samay nahi hai. Har koi kisi na kisi karya mai uljha hota hai. Purush office ke kaam kaaj ke karan busy rehte hai wahi aurto ke paas bhi khud ka dhyan rakhne ke liye ghar ke kaamo se fursat nahi milti hai.
Jaise jaise umra badhti jati hai vyakti kamjor hone lagta hai. Iska sabse bada karan khane mai poshtik aahar ki kami aur vyayam ka abhav hai. Aapko badhti umra mai bhi strong rehne ke liye aapke swasth ka accha hona bahut jaruri hai. Lekin din bhar thakan aur tanav bhari jindgi aapke stamina ko kam kar rahi hai.
Aajkal to budhe hi nahi bacche aur nojavan bhi urja se bhare nahi dikhai dete hai. Aur jaldi se thak jaate hai. Stamina kam hone ke wajah se vyakti bar bar bimar bhi padta hai. Iska asar dainik dincharya par bhi padhta hai. Acchi jindagi aur ghar ki sari jimmedariyo ko nibhane ke liye stamina ka hona bahut jarurui hai. Isliye aaj hum aapko bata rahe hai How to Increase Stamina in Hindi.
How to Increase Stamina in Hindi: Sfurti Badhane Ke Liye
Santulit Aahar Badhaye Aapka Stamina
Stamina badane ke liye aapka santulit aahar ka sevan karna bahut jaruri hai. Kyonki isi se hi aap swasth aur furtiwan bane rahenge tatha har kaam ko acche se pura kar payenge.
Kela Badhaye Shakti
Jab bhi aap subah subah ki lambi douad se aate hai hai uske bad nashte mai aapko kela jarur khana chahiye. Kyonki kele mai fiber aur natural sugar hoti hai jiska sevan karne se aapke sharir ko urja milti hai aur yeh aapke stamina ko badane mai madad karta hai.
Yadi aap gym mai vyayam kar rahe hai to uske 20 minute pehle kele ko khaye jisse aapke sharir mai urja bani rehti hai aur aap vyayaym karte samay thakte nahi hai. Aur acche se vyayam kar pate hai. Yeh ek faydemand Energy Food hai.
Chukandar De Dher Sari Energy
Chukandar ko aap salad bana kar ya iska juice banakar le sakte hai. Isse aapko acchi energy milti hai. Chukandar ka ras aapke stamina ko kaafi bada deta hai. Isko pine ke bad sharir mai kafi lambe samay tak energy bani rehti hai aur aapke sharir ko kai sare vitamins aur minerals prapt hote hai.
Akhroth Rakhe Dil Ka Khayal
Akhroth omega 3 se bahrpur hota hai aur hamare dil ko swasth rakhne mai bahut madad karta hai. Jo log iska niyamit sevan karte hai aur yadi unke sharir mai gathan ho to usme cancer hone ki sambhavana bahut kam ho jati hai.
Iske atirikt jab bhi aap kam karne ke liye ghar se bahar nikle pehle 1 mutthi akhroth jarur khakar jaye jisse aapka stamina barkarar rahe.
Shakarkand Badhaye Urja Ka Leval
Shakarkand natural sugar se bharpur hota hai tatha isme calorie aur starch ki matra samanya hoti hai. Isko khane ke bad aapke sharir mai urja ka leval bad jata hai aur stamina bad jata hai.
You May Also Like:- Foods with Medicinal Properties Se Rakhe Sehat Ka Khayal
Coffee Pina Hota Hai Faydemand
Rojana 1 cup coffee pina bhi aapke stamina ko badane mai madad karti hai Kyonki isme caffeine paya jata hai jo ki stamina badane mai sahayak hoti hai. Coffee sharir mai urja ko badati hai aur thakan ko dur karti hai. Jiske karan sharir mai andurini shakti ka ehsaas hota hai. Ise pine se subah aane wala aalas bhi dur ho jata hai.
Swasthya Ke Liye Faydemand Oatmeal
Oatmeal ka nashte ka sevan karne se kaafi lambe samay tak aapke sharir mai urja bani rehti hai kyuki ye carbohydrate se bharpur hota hai jo sharir mai dheere dhere pachta hai. Yeh sharir mai sharkara ke star ko bhi niyantrit karta hai. Uccha Raktchaap ke marijo ko iska sevan karne se fayda milta hai.
Nariyal Pani
Nariyal pani ek bahut accha energy drink hai. Isme kai sare minerals moujud hota hai. Vyayam karne se pehle nariyal pani ka sevan aapke sharir ka stamina kafi matra mai bada deta hai. Garmiyo ke dino mai ise pine se sharir mai pani ki kami nahi hoti hai.
Carbohydrate Se Bharpur Aahar
Aapke danik aahar mai carbohydrates yukt aahar ko jarur shamil kare kyuki yah aapke sharir ko starch aur sharkra deta hai. Jisse aapki manspeshiya ki shahan shakti ko badane ke liye urja milti hai. Kuch carbohydrates jaise anaj, roti, phal, sabjiya, pasta aur dudh aadi sharir ke liye faydemand hote hai aur stamina ko banaye rakhte hai.
Protein Ko Aahar mai Shamil Kare
Dhyaan rakhe ki rojana aapke aahar mai acchi gunvatta wale protein ko shamil kare. Darahsal sharir ko lagatar kam karte rehne ke liye amino acid ki jarurat hoti hai. Isliye aapke bhojan mai dhudh, ande ka safed bhag, dudh se nirmit utpad, machli, chikan, aadi protein yukt padartho ko aapke aahar mai shamil kare.
Guno Ki Khan Peanut Butter
Peanut butter mai kai aise gun hai jo aapke dil ko swasth aur dimag ko tej banate hai. Iska sevan karne se takat badti hai kintu jaisa aap jante hai kisi bhi chij ki ati dukhdai hoti hai us prakar peanut butter ko jyada sevan karna aapki pet ki charbi ko bada deta hai. Isliye iska prayog kare kintu santulit matra mai.
Takat Badaye Desi Ghee
Takat badane ke liye desi ghee sabse purana nushkha hai. Suddha desi ghee ka rojana khane se takat badne ke sath sharir bhi majbut banata hai.
Hara Palak Rakhe Aapko Hasthpusht
Palak mai calcium bharpur matra mai paya jata hai. Palak ka sup aapka puri tarah se khayal rakhta hai. Yadi aap shakahari bhojan karte hai to ise aap jarur khaya kare. Isse aapke sharir mai khoon badhta hai. Yeh aapke chehre ki lalima bhi badata hai. Calcium ki acchi matra hone ke karan stamina badane mai sahayak hota hai.
You May Also Like:- Home Remedies for Weakness: Kamjori aur Thakan Dur Kare
Sukhe Meve Pratirodhak Kshamta Badaye
Sukha meva jaise chhuara, munnaka, kharik, badam aadi sharir ki takat badane mai sahayata karte hai. Inka rojana sevan karne se takat ke sath sharir ki rog pratirodhak shamata bhi badti hai jisse sharir ko bimariyo se ladne mai madad milti hai.
Ankurit Anaj Banaye Aapko Swasth aur Takatvar
Ankurit anaj ya fir ise sprouts bhi kehte hai iska sevan karne se sharir taktvar banta hai. Kyuki isme kai sari dal aur annaj shamil hota hai. Jisse sharir ko protein vitamin puri tarah se mil jate hai. Parantu sharir ke liye sabse acchi mung ki dal hoti hai. Yeh aapke pet ko thik rakhti hai jo ki swasth rehne ke liye sabse jaruri hai.
Hriday Sambandhit Vyayam Kare
Agar aap apna stamina badana chahte hai to hriday se jude sare vyayam ko apni dincharya mai shamil kare aur ek nischit samay par iski shuruwat kare. Hriday ke liye vyayam jaise rassi kudna, tairana, doudna aadi ko vyayam mai shamil kare.
Pani Ki Matra Badaye
Pure din mai kam se kam 10 se 12 glass pani piye jisse dehydration aur thakan ki samasya kam ho. Yadi aapke sharir mai pani ki kami hoti hi to isse aapke sharir mai rakt sanchar ki gati kafi dheere ho jayegi sath hi yeh koshikao mai oxegen ko bhi kam kar deta hai. Isliye bharpur matra mai pani lijiye.
Dhanurasana De Aapko Shakti
Dhanurasana mai aapka sharir dhanush ke aakar ka hota hai. Iss aasan ko karne se chhati choudi aur pachan tantra majbut banata hai. Phephdo mai oxegen ka sanchar aur rakt ka sanchaar acche se hota hai. Jiske karan sharir mai urja bani rehti hai aur stamina badta hai. Iss aasan ko karne se sharir se toxin dur hote hai aur twacha saaf aur swasth hoti hai.
Upar aapne jana How to Increase Stamina in Hindi. Yadi aapka aantarik bal kamjor hai aur aap kam karke jaldi thak jate hai. To aap upar di gayi tips ko jarur follow kare.