Janiye Kuch Simple Steps mai How to Stop an Anxiety Attack

Kya aap bhi bahut sensitive hai. Jiske chalte aapke man mai kai chinta aati rahti hai aur kabhi bhi isthiti itni bhayanak ho jati hai ki, aapka khud par control nahi rahta hai. hai.  Jiske karan aap Anxiety Attack ka shikar ho jate.

To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, How to Stop an Anxiety Attack. Jisse aap aasani se aapni iss mansik pareshani se hamesha ke liye chutkara pa sakte hai aur swasth rah sakte hai.

Anxiety Attack jisse mansik pareshani ke roop mai mana jata hai. Yhe bhaut dar aur becheni ki isthiti hoti hai. Yeh achanak hi aati hai. Yeh kisi parsthiti ke karan ya kuch hone vala hai yeh sochne se aati hai.

Agar aap apne dimag par thoda sa jor denge to aap bhi aisi hi becheni se kabhi na kabhi ghire huye honge. Jiske karan aapke haath-pair thande pad gaye honge ya fir blood pressure low ho gaya hoga.

Yeh attack keval kuch hi der ka hi hota hai aur jab aap ko pareshan kar kar deta hai. Agra aapko bhi baar-baar aisa attack aata hai, to isse bachane ke liye kuch tarike  apniye.

Vese badlav prakrti ka niyam hai. Iss sach ko hamesha ke liye apnaiye. Aise mai bdlav ke saath khud ko badlne ke liye taiyar rahe aur hosake to chintan kare.  Yaad rakhe chintan hi aapi sari samasya ka ek samadhan hai. Apni sensitive  moment ko apni kamjori na mane.

Sensitive ka arth hai aapke bhitar kahi na kahi ke bahut aach vyakti betha hai. Jarurat sensitive ko control me rakhne hai, taki vah aapko shakti bane, na ki aapko kamjor ban de.

How to Stop an Anxiety Attack

How to Stop an Anxiety Attack: Iss Mansik Samasya ko Rokne ke Upaye

Anjane Dar ko Chhod de

How to Stop an Anxiety Attack ki baat kare to sabse pahle tarika hai ki, apne befaltu ke dar ko khatam kare. Bola jata hai ki, anjana dar jivan ka khel bigaad deta hai. Iss attack ki neev bachpan mai hi rakhi jati hai. Bachpan ki ghatnao, vatavarn, pristhitii ya apekshao mai kami aage chalkar dar mai badal jati hai.

Dekah jata hai ki, kisi ko khone ka dar hoto to kisi ko kuch na pane ka dar. Sensitive hona bura nahi hai, lekin is level tak sensitive hona kahi na kahi aapke jivan mai pareshani bhi ban sakta hai. Vese anxiety attack  panic attacks ki tarah hi hota hai.

Bahar Jaye

Anxiety Attack  mai aapko yeh salah di jatihai ki aap apne denik karyo se kuch samay nikal kar apne charo aur ki negative baato denkhe. Yeh isliye kyoki negative cheezo se dur karne me sahayak hota hai. Ise andekha na kare. Thoda bhar ghumne firne jaye.

Cheeze ho Skati Hai

Positive rahna jivan ka ek accha tarika hai, lekin aapko aane vale negative situation ke liye bhi taiyar rahna  chahiye. Iska arth yeh nahi hai ki, aap hameha chintao se ghire rahe. Halat ko is prakaar swikaare ki yeh ek galat nirnaye ka prinaam hai.

Likhe

Chinta se niptne ke liye ka pramukh karan hai yeh hai ki, aap diary banaiye. Aapko salah di jati hai ki aap chinta ke samay inn chinta ke karno ko apni kisi diary mai likhe aur yeh dekha gaya hai ki, yeh karte samay log iski mukhye karan ko yaad rakhe, Jisse vyakti ko badhte huye tanav se rahta milti hai.

 Accha Khaye

Niyam se nashta mai poshak tatavo  ka sevan karna chhaiye. Dinke beech mai thoda-thoda khate rehe. Isse rakt mai glucose ki matra isthir rahti hai aur aapka mood bhi accha rahta hai.

Neend Puri Le

Kam se kam 8 se 9 ghante ki neend le. Kam sone ke karan anxiety attacks ho sakta hai. Isliye dhyan rahe ki, aap hamesha apne sone ke samay ka dhyan jarur rakhe.

Gandi Lat Chhod de

Kisi bhi prakaar ki galat lat ka shikar hona (aisi koi cheez jiske bina aap nahi rah sakte hai,)Iske karan mansik parsehnai ki ashanka badh jati hai. Cigarette, sharab , tambaku, nicotine ka upyog kam kare.

Yoga Kare

Jinhe aksar yeh dour padte hai unke liye vyayam karna bahut jaruri hai. Yoga vyayam ka ek accha prakaar hai. Yeh aasan hai aur bina kisi sadhan ke aap ise kar sakte hai.

You may also like:- Yoga Divas 2015: Acchi Sehat ke Liye Vyayam ke Fayde

Shouk mai Busy Rahe

Chinta ko rokne ka sabse uttam tarika hai, ruchi ya shouk chahe vah sangeet ho, ya kitabe panda ya yatra karna use pura kare. Isse aap anavshayk chinta se bach sakte hai.

stop anxiety attacks

Khud Par Yakeen

Apni sensitive ko negative roop mai na le. Jarurat iss baat ki hai ki aap chinta ko ek alag roop mai dekhe . Iss baat ko hamesha yaad rakhe ki yadi aapko khud par yakeen nahi hai, to aapko iss dard naak pristhiti ka samna to karna hi hoga. Inn muskil halato se ladne ke liye aapko shakti aur prerna ki bahut jarurat hoti hai. Aapko duniya se pahle apne aap ke liye jimmedar banana hoga. Agar aapko sabse aag dikhna ka sapan hai to.

Jivan Bhta Dariya

Jivan roopi dariya bahta rahta hai. Isme bhavnao aur sanvednao ke utar chadav mojoud hai. Jab aap bhavnao ko bandhte hai, to vastav mai aap jivan ko bandhne ka prayaas karte hai. Bandhan ka bhitar dar paida karta hai. Jivan ko bandhane  ki nahi niyantrit karne ki jarurta hoti hai. Sahi rasta par chalte rahne se nadi roopi jivan sagar lakshaye tak jarur pahuchte hai.

All is Well

Kya kabhi apne socha hi ki, yadi hamare jivan mai kami athva dukha na ho, to hamara jivan kitna khushnuma ho jayega. Par yadi aap kharab situation mai apne dil par haath rakh kar bolenge ki udaasin isthiti  buri nahi, yeh jivan ka hissa hai, to aapka antraman aapko all is well kahega. Yeh prerna aur shakti bahut hi acchi hogi. Yeh chhota sa kaam aapko jivna ki mushkilo ko swikaar karne ka sahas dega. To hum bol sakte hai ki, How to Stop an Anxiety Attack mai iss upay ki mukhaye bhumika hai.

 Dar ke Aage Jit Hai

Apne dar aur chinta ka samna karne ka sabse aacha tarika hai ki aap uska samna kare. Aise isthano par jaye , jaha jane se aapko dar lagta hai. Yeh mushkilo ki aankhon mai aankhe daalkar baat  karne ki koshish kare.

Chinta Yani Rachnatmak

Yadi aap chinta se jhuj rahe hai, to iska arth yeh hai ki, aapme kahi na kahi ek behtar rachnatamak aur sensitive vyakti hai. To apni chinta ko buri cheezo smajhne ke isthan par use positive banana ka prayaas kare. Ise dekhne ka najriya badle. Apni chinta ke palo mai apni samasya ko vibhinn traikse se mitani ki koshish kare. Aapki yehi krayeshilta aur rachnatamkta na keval aapko andhere se bahar nikalne mai madda karegi, balki aapko jivan ki mushkil situation ke liye bhi taiyar karegi.

Upar aapne janan How to Stop an Anxiety Attack. Agar aap bhi iss mansik pareshani se pareshan hai, to aaj se hi inn tariko ke dwara iss bimari se bache aur hamesha swasth rahe.

Loading...

You may also like...