Inn Logo ko Ho Sakta Hai HPV ka Jyada Khatra
Human Papillomavirus yani HPV infection bahut samanya hai aur sex karne wale kam se kam 50 fisdi logo ko apne jivan mai iss sankraman ka samna karna padta hai.
Kai logo ko aam tour par iske koi lakshan najar nahi aate aur HPV apne aap chala jata hai. Kuch prakar ke HPV cervical cancer ke karan ban sakte hai. Iske saath hi isse guda athwa ling ka cancer bhi ho sakta hai.
Kaha Rehta Hai HPV
HPV sharir ki upkala koshikao mai rehta hai. Yeh twacha ki satah par payi jane wali sapat aur patli koshikaye hoti hai. Iske saath hi yeh koshikaye youni, guda, garbhashay griva, ling ke shirsh, muh aur gale ki twacha ki satah par bhi milti hai. Aaiye jante hai ki HPV hone ka khatra kinn logo ko adhik hota hai.
You may also like:- Janiye Sex Samasya aur Unn Samasya ke Samadhan
Alcohol ka Adhik Sevan:-
Moffit cancer center ki ek study ke mutabit, jo log ek din mai 2 ya usse adhik baar drink karte hai unhe Human papillomavirus hone ka jokhim 13% tak badh jata hai. Jo log isse bhi kafi adhik matra mai sharab pite hai unka khatra samanya se 35% se adhik badh jata hai.
Umra Badhne Par Badh Jata Hai Purusho ka Khatra:-
America mai hui study ke mutabit, 45 ya usse adhik umra ke logo ko bahut aasani se Human papillomavirus sankraman ho jata hai. Isliye iss umra ke logo ko isse sambandhit lakshano ko gambhirta se lena chahiye.
Adhik Logo ke Saath Youn Sambandh:-
Jo purush ek se adhik logo ke saath youn sambandh banate hai, unhe yeh bimari hone ka khatra adhik hota hai. Aise mai sankraman badhne ka khatra badh jata hai. Iss bimari se bachne ke liye aap youn sambandh se bache aur swasth rahe.
Immune System:-
Immune system jinn logo ka bahut kamjor hota hai wo iss virus se bahut jaldi prabhavit ho jate hai. Aise log jo unn dawai ka sevan kar rah ho jink istemaal se immune systam prabhavit hota hai unn logo ko HPV ke lakshano ko darkinar nahi karna chahiye warna parinam gambhir bhi ho sakte hai.
Umra:-
Bacche aur kishor mai common warts aur flat warts viksit hone ka sabse adhik jokhim hota hai. Genital HPV infection aksar kishor aur yuvao ko ho jata hai.
Maa se Bacche Tak:-
Genital Human papillomavirus infection bhi unn bimariyo mai se hai jo maa se bacche mai aa sakti hai. Yadi maa ko genital HPV infection ho to prasav ke douran navjaat uss infection se pidit ho sakta hai.
Upar aapne jane Human Papillomavirus ke bare mai jankari. To aaj hi se chahe wo sex karte samay ho ya koi anya kaam karte samay humesha satark hokar kariye. Inn chizo se humesha dur rahe aur swasth rahiye.