Home Remedies for Hypothyroidism: Prabhavi Gharelu Upchar

Aaj ke wakt mai kai log Hypothyroidism ki samasya se pareshan hai. Yeh samasya thyroid hormone mai asantulan ke karan hoti hai. Hypothyroidism ki samasya hone par aapko kai samasyae jaise ki atyadhik thakan, tanav, bhulne ki bimari, thik se neend na aana aadi samasyae hoti hai.

Yadi ham hypothyroidism ki baat kare to iske upchar ke liye aapko thyroid hormone replacement medication lena padega. Lekin yadi aap illaj lete hai to uske sath kai side effects bhi aayenge. Isliye behtar hai ki ham upchar ke liye gharelu upayo ka sahara le.

Isse naa aapko side effects ka khatra rahega aur aapki lifestyle bhi behtar banegi. Bus aapko itna karna hai ki apna prayas jari rakhe. Gharelu upchar aur apni dincharya mai parivartan lakar aap iss samasya ko dur kar sakte hai. To chaliye jante hai Home Remedies for Hypothyroidism.
 

Home Remedies for Hypothyroidism: Janiye Kuch Gharelu Nuskhe

 
Home Remedies for Hypothyroidism
 

Nariyal Ka Tel

  • Aapne bhale hi nariyal tel se baalo ko fayde ke bare mai suna hoga. Lekin yeh hypothyroidism mai bhi faydemand hai.
  • Darahsal nariyal ke tel mai fatty acid hota hai jo thyroid ke karya ko sucharu karta hai. Sath hi yeh sharir ke metabolism ko bhi badhata hai.
  • Iska prayog karne ka sabse accha tarika hai ki aap apne khane mai iska istemal kare. Lekin ha ek baat ka khayal rahe hamesha extra-virgin organic tel ka istemal kare.

 

Vitamin D

  • Vitamin d ki kami ke chalte bhi thyroid ki samasya ho jati hai. Vitamin D ki purti ke liye aapko roj subah suraj ki gunguni dhup mai baithna chahiye.
  • Yadi aap roj keval 15 minute bhi baithte hai to isse aapka rog pratirodhak tantra majboot hota hai. Sath hi aapka metabolism bhi badhta hai.
  • Jin bhi logo ko hypothyroidism ki samasya hai unhe roj subah jaldi uthne ki aadat dalni chahiye. Aur outdoor exercise karni chahiye.
  • Chahe to gunguni dhup mai tehalne bhi nikal sakte hai.

 

Selenium

  • National Institutes of Health (NIH) ke anusar, selenium ek aesa tatva hai jo thyroid hormone metabolism mai behad mahatvapurn hai.
  • Selenium ki purti ke liye aapko bajar mai kai sari chize jaise tuna macchli, turkey aur Brazil nuts mil jayenge.
  • Jab bhi Hashimoto’s thyroiditis, aapke thyroid par attack karna hai to isse aapke sahrir mai selenium ka suppy band ho jata hai.
  • Aese mai yadi selenium yukt padarth liye jaye to thyroxine ka leval sahi hota hai. Lekin ise lene se pehle aapke doctor se sampark kare.

 

Protein Le

  • Jab bhi aap hypothyroidism ki samasya se pareshan hote hai to aapko khane mai protein ko badha lena chahiye. Isse aapka thyroid ka kaam sahi tarah se hoga.
  • Protein ki puri karne ke liye apne khane mai sukhe mevo ko jyada se jyada lene ki koshish kare.
  • Iske sath hi apne khane mai phaliyo ko shamil kare.

 

Seb Ka Sirka

  • Seb ka sirka aapke hormone ko viniyamit(Regulate) karta hai. Thyroid disorder ki samasya se nijat dilane ke liye bhi yeh accha gharelu upchar hai.
  • Iske alawa bhi seb ke sirke se kai swasthya sambandhi samasyae jaise ki madhumeh, uccha raktchaap, cholesterol aadi mai fayda milta hai.
  • Prayog ke liye 2 chammach organic apple cider vinegar ko ek glass garam pani mai dale.
  • Isme thoda sa shahad dale.
  • Iss mishran ko roj le. Yeh Natural Thyroid Treatment hai.

 

Machali Ka Tel

  • Thyroid ke karya ko sucharu karne ke liye machali ke tel ka sevan karna chahiye.
  • Isme bharpur matra mai omega 3 fatty acid hota hai, jisse sujan kam hoti hai aur pratirodhak kshamta badhti hai.
  • Fish oil ko aap 3 gram/day le sakte hai, lekin pehle aap ise chikitsak se sampark kar le.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Hypothyroidism in Hindi. Upar batai gaye gharelu tarike se aap kai had tak hypothyroidism se rahat pa sakte hai. Iske alawa aap apne khane mai jitna kam ho sake utani kam shakkar le. Bahut sari aurte apne aahar mai bahut sara carb leti hai jiske chalte unka estrogen badh jata hai aur uska prabhav thyroid par hota hai.

Iske badle aap healthy fat ka sevan kare jinse hormone santulit hote hai. Jaise nariyal tel, coconut milk, alsi ka beej aadi.

Loading...

You may also like...