How to Improve Eyesight Naturally – Aankho Ki Roshni Badhaye

 

Aankhe hamare jeevan ke liye bahut hi upyogi hai. Aankho ke bina hamari jindagi kesi hogi yeh to keval sochkar hi dar lagta hai. Iske bina na to ham iss khubsurat duniya ko dekh sakte hai aur naa hi apne kisi karya ko kar sakte hai.

Pehle to logo ki budhape mai drshti kamjoor hoti thi kintu aajkal kam umra mai hi chasme lag jaate hai. Aankho ke kamjor hone ke piche kai karan hai aur sabse bada mukhya karan hai kharab jeevansheli.  Aajkal ki lifestyle mai log na to paryapt poshan lete hai aur to aur pura samay computers aur mobile par bitate hai.

Jab ham lagatar computer screen par dekhte rehte hai to isse hamari aankho ki mashpesiyo par bahut tanav padhta hai. Aur aankho ki drshti kamjor hone lagti hai. Aajkal yeh samasya kaafi aam ho gayi hai. Kamjor drshti hone par dhundla dikhai dene lagta hai, kuch log paas ki vastu dekhne mai saksham nahi hote to kuch log dur ki chize dekhne mai.

Aur yeh dikkate din pratidin badhti jati hai. Isliye behad jaruri hai ki aap apne aankho ka acche se khayal rakhe. Yadi aapko nahi pata hai ki aankho ka khayal kis tarah rakha jaye to koi baat nahi aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai How to Improve Eyesight Naturally.
 

How to Improve Eyesight Naturally: Swasth Aankho ke liye Jane

 
Improve Eyesight Naturally
 

Aankho Ke Vyayam

Kai bar thik se khana pina khane ke bawjud bhi aankho ki samasya rehti hai. Bahut se log iss baat ki shikayat karte hai ki phal, sabjiya aadi chizo ka bharpur sevan karne ke bawjud bhi unki aankhe kamjor hai. Darahsal jab aankho ki mashpesiya jyada kamjor ho to unhe vyayam ki bhi jarurat hoti hai.

Yadi yeh vyayam ko aap karte hai to aapki kamjor drshti badhti hai. Aur yadi aapke aankho ki drshti kamjor nahi bhi hai tab bhi yadi aap ise karte hai to aapki aankhe kabhi kamjor nahi hogi.

Aankho ke vyayam ke liye aapko kisi tarah ke upkaran ki jarurat nahi hogi. Aap aasani se ise apne ghar par kar sakte hai. Aaiye jante hai we kounsi faydemand Eye Exercises to Improve Eyesight hai.

  • Aapko apni aankho ko kuch seconds ghadi ki disha mai gol ghumana hai fir viprit disha mai gol ghumana hai. Aesa aapko kam se kam 4 se 5 bar karna hai.
  • Yadi aap computers par lagatar kaam karte hai to kuch der ke liye dur kisi jagah par dekhe. Kam se kam 5 se 10 seconds ke liye aapko dekhna hai. Aap din mai 2 se 3 bar kriya ko dohraye.
  • Apne hatho me ek pencil lekar hatho ko sidha rakhe. Fir uss pencil ki nok ko dekhte rahe. Dhire dhire use apni naak ki aur laye, fir wapis dur le jaye. Iss douran apni drshti ko pencil ki nok se na hataye. Iss prakriya ko 8 se 10 bar kare.
  • Apni aankho ke 15 se 20 baar teji se palke jhapkaye. Fir baad mai apni aankhe band karde aur unhe aaram karne de.

 

Aankho Ko Swasth Rakhne Wale Aahar

Aapki aankho ko swasth rakhne ke liye vitamin a, b, c aur d bahut jyada labhkari hote hai. Iske liye aap din mai 2 phal aur bahut sari hari sabjiyo ka sevan kare. Kyonki phalo tatha sabjiyo mai bharpur matra mai vitamins aur minerals paye jate hai. Ham aapko bata de ki yadi sharir mai vitamin A ki kami ho jati to vyakti ko dhundla dikhai deta hai. Kai bar to vyakti andha bhi ho jata hai. Isliye aaiye jante hai kuch Best Food for Eyes:-


 

Dairy Utpad Vitamin A Ke Liye
Sukhe Meve Cellular Membrane Santulit Rakhe
Gajar Aankho Ki Surakhsha Kare
Ande Vitamin B Cell Ko Repair Kare
Soya Milk Aankho Ki Sujan Kam Kare
Hari Pattedar Sabjiya Aankho Ki Roshni Badhaye

 

Tips to Improve Eyesight
 
Anya Upay Inhe Bhi janiye:-

  1. Apni aankho ko hamesha saaf suthri rakhe, iske liye din mai 2 se 3 baar apni aankho ko thande paani se dhoye.
  2. Apni aankho ko dhul tatha mitti aadi se bachane ke liye sun glasses ka prayog kare.
  3. Lagatar kaam naa kare. Bich bich mai aankho ko vishram dete rahe.
  4. Jab kabhi bhi aankhe dukh rahi ho to apni hatheliyo ko aapas mai ragde, jab tak wo garam na ho jaye. Iske bad apni hatheliyo se apni aankho ko dhake. Isse aankho ki mashpesiyo ko aaram milega.

 
Upar aapne jana How to Improve Eyesight Naturally. Yadi aap bhi chahte hai ki aapke aankho ki roshni acchi rahe aur kam umar se hi aapko chasma na lagana padhe to iske liye aap bhi aankho ka vyayam, iske liye jaruri khadya padarth khana shuru kar de.
 

Loading...

You may also like...