Home Remedies for Joint Pain: Jodo Ke Dard Ka Upchar

Jaise jaise vyakti ki umra badti jati hai, uska sharir kamjoor hone lagta hai. Aese mai aged logo ke sath jodo mai dard hona bhi ek aam samasya hai. Yeh samasya galat khana khan pan se, mosam mai badlaav aadi ke karan bhi hoti hai.

Hum jab bhi bhojan karte hai to uska prabhav humare sharir par padta hai chahe wo bhojan accha ho ya bura. Lekin jaisa ki ham jante hai ki aajkal log fast food khana jyada pasand karte hai jisme poshan ki matra nahi hoti hai.

Yahi karan hai ki aajkal adiktar logo mai jodo ke dard ki pareshani hoti hai. Yah ek vyapak samasya hai jo 40 saal ki umra ke bad hona shuru ho jati jati hai. lekin aajkal to kam urma ke logo mai bhi yeh samasya dekhne ko mil rahi hai.

Jodo ka dard ghutno, kulho, bajauo kahi bhi ho sakta hai.Jo bhi vyakti iss samasya se pidit hote hai unke liye sardi mai halat aur bhi jyada buri ho jati hai. Kyuki sardiyo mai unke ghutne pehle se jyada dard karte hai. lekin jaisa ki ham jante hai prakrati ne hame kai chize muhaiiya karwai hai, aur iska bbhi illaj hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Joint Pain.
 

Home Remedies for Joint Pain: Jodo Ke Dard Se Paye Nijat

 
Joint-Pain-Remedies
 
Dekha jaye to jodo mai dard hona ek aam samasya hai. Lekin kabhi kabhi yeh bahut jyada badh jati hai. Kai logo ko to isme ashaniya dard hota hai. Lekin kuch Joint Pain Remedies se aap ise thik kar sakte hai.
 

Omega 3 Fatty Acid:-

Salmon Machli: Salmon Machli mai omega 3 fatty acid bahut adhik matra mai hota hai, jo sharir ke dard ko kam karne mai sahayak hota hai. Omega 3 fatty acid se twacha aur baal ke liye to acche hi he. Sathi hi jodo ke liye bahut faydemand hota hai.
 
Hari Sabjiya: Sharir mai omega 3 fatty acid ka sahi matra mai hona bahut aavshyak hai. Kyuki agar yeh sahi matra mai na ho to jodo mai dard ho jata hai. Omega 3 ki sharir mai purti karne ke liye hari sabjiya jaise palak, pattagobhi, pyaaj, adrak, ko apne aahar mai shamil kare.

Iske atirikt jitna ho sake carbohydrate se bhrapur aahar jaise pasta, bread, junk food se dur rahe.
 
Anya Aahar: Iske alawa omega 3 fatty acid surajmukhi ke beej, akhroth, badam, peanuts aadi mai acchhi matra mai paya jata hai. Yeh jodo ke dard mai hone wali sujan ko kam kar deta hai.
 

You May Also Like:- Home Remedies for Headache: Sir Dard Se Chutkara Paye

 

Dard Dur Kare Lehsun

Lehsun ka istemal ham kai salo se karte aa rahe hai. Iska sevan jodo ke liye bahut faydemand hai. Kyoki isme aise rasayanik tatva paye jate hai jisse jodo ka dard chhumantar ho jayega.
 

Papita Kare Sujan Dur

Papita poshak tatvo se bhara hua phal hai. Isme poshak tatva hone ke sath sath vitamin C bhi bharpur matra mai paya jata hai. Kyuki vitamin C aapke sharir ki rog pratirodhak shamata ko badata hai. Yeh jodo ke liye bhi bahut faydemand hota hai.

Papita khane se haddiya majboot banti hai aur sharir mai sujan dur hoti hai. Tatha gathiya rog ko dur rakhne mai bhi yeh sahayak hota hai.
 

Poshan Se Bharpur Sukhe Meve

Vitamin E hamare sharir ke liye bahut accha hota hai, sukhe meve mai vitamin E hota hai khaskar badam ke andar sabse jyada vitamin E paya jata hai. Yeh jodo ke dard ke liye bahut accha hota hai iske sevan se jodo ke dard mai rahat milti hai.
 

Khane ka Chuna

Yadi aapke sharir mai calcium ki kami hai aur uski wajah se aapko jodo ke dard ki shikayat ho rahi hai to khane ka chuna bahut thodi si matra mai lekar usse dahi ya dhud=h mai milakar karib 90 din tak iska sevan kare.

Isse jodo ke dard mai rahat milegi. Dhyan rakhe ki iss davai ko aapko 90 din se jyada nahi lena hai.
 

You May Also Like:- Yoga for Neck Pain in Hindi: Gardan Ke Dard Se Paye Chutkara

 

Methi Dane Prabhavshali

Methi dane ko aadha chammach le aur pani ke sath sevan kar le. Isse rojana din tatha rat ke khane ke bad sevan karna accha hota hai. Isse aapka sharir majboot rahega aur jodo ke dard ki shikayat aapko kabhi nahi hogi. Iske alwa methi dane madhumeh, ucch rakt chaap, gathiya rog hone se bachata hai.
 

Seb Ka Sevan Kare

Jaisa ki bola jata hai rojana ek seb khana aapko bimari se dur rakhta hai. Iske atirikat seb ka vinegar bhi jodo ke dard mai bahut faydemand hota hai. Isko ek glass pani mai ek chamacch seb ka vinegar aur thoda shahad milakar pine se jodo ke dard se rahat milti hai.

Aajkal adhikatar vyakti chahe vo mahila ho ya purush sabhi kaam kaji hote hai, jo din mai 8 se 9 ghante office ki kursi par baithte hai. Iske karan unke ghutne akad jate hai. Lagatar iss tarah bethne se kuch salo baad bhi Knee Pain ki pareshani hone lagti hai. Aese logo ko uprokt aahar ke sath sath vyayam karne ki bhi jarurat hoti hai.
 

Jogging

Rojana subah subah kuch kilo miter ki jogging karna aapki sehat ke liye bahut faydemand hota hai. Isse na keval aapka motapa kam hota hai balki aapke pairo ki bhi acchi kasarat ho jati hai.
 

Yoga

Yoga aapke sharir ke liye bahut accha hota hai yadi aap aapke jodo ke dard se nijat chahte hai to makarasana, trikonasana, setu bandhasana, aadi aasan ko karna jodo ke dard ke liye bahut accha hai.
 
Upar aapne jana Home Remedies for Joint Pain. Jodo ke dard se pidit logo ko subah ki sair jarur karna chahiye. Lekin bhari vyayam karne se bachna chahiye.

Loading...

You may also like...