Karva Chauth Mehndi Designs: Khas Din Ke Liye Khas Aakrati

Sabhi tyohar shuru ho chuke hai. Isi karan sabhi mahilao ne apne look par dhyan dena shuru kar diya hai. Vaise to mahilaye sabhi tyoharo par khub sajti sawarti hai lekin karva chauth unke liye sabse jyada khas hai. 19 October 2016 ko yeh tyohar banaya jayega.

Yeh tyohar shadi shuda aurto dwara banaya jata hai jisme wo dulhan ke tarah sajti sawarti hai. Wo acche kapde pehanti hai, shringar karti hai aur sabse mahatvapurn mehndi lagati hai. Mehndi ke alawa to jaise iss tyohar ka shringar hi adhura lagta hai.

Isliye iss khas din sabhi mahilaye parlors mai jakar mehndi lagwati hai. Iss wakt parlors wagerah mai kaafi bheed rehti hai. Yadi aapke paas wakt ki kami hai aur aap khud hi apne hatho par mehndi lagane ka soch rahi hai to pareshan mat hoiye, kyoki ham aapko iske liye acchi acchi designs bata rahe hai. Aaiye jante hai Karva Chauth Mehndi Designs in Hindi.
 

Karva Chauth Mehndi Designs – Mahilao Ke Liye Khas

 
karva-chauth-mehndi-designs-in-hindi

Vaise to aap karva chauth par apne pasand ki koi bhi mehndi laga sakti hai. lekin aajkal glitter wali mehndi kuch jyada chalan mai hai. Iske alawa latest mai aur kya kya hai ham sab kuch aapko batayenge.
 

Glitter Mehndi

Glitter Mehndi aapko khus khas look deti hai. Jis tarah us din shringar se aapka chehre aur aankho mai alag hi chamak hoti hai usi tarah aapke hatho mai bhi to alag hi chamak honi chahiye. Aese mai glitter mehndi se badkar bhala kya ho sakta hai. Aap glitter mehndi colorful bhi laga sakti hai.
 
glitter-mehndi-for-karva-chauth
 

Bangle Style

Yadi aap Bangle Style mai mehndi lagate hai to aapko fir to kuch sochne ki jarurat hi nahi hai. Ise lagane par aesa lagta hai mano aapne khubsurat se kade pehan kar rakhe hai. Yadi aapne Bengali style mai kade pehne ho to iss mehndi design ko jarur pehne. Yadi aap acche mouko ke liye latest mehndi design dekhna chahte hai to diye gaye link par click kare.
 
bangle-style-mehndi-for-karva-chauth
 

Paramparagat Design

Iss khas din ham paramparik shelly mai taiyar hote hai to hamari mehndi bhi to paramparik hona chahiye. Mehndi Designs for Karva Chauth ke liye ise lagana na bhule. Isme khaskar golakar aakrati li jati hai.
 
traditional-mehndi-for-karva-chauth
 

Flower Style

Ham sabhi ko phul bahut pasand aate hai. Aap khud hi sochiye ki yadi aapke hatho par hi phul dikhai de to?? Iss karva chauth par aap phulo se bhari hui design laga sakte hai. Yeh har kisi ke hath par jamti hai. Aur yadi aapke hath lambe ho to fir to kya kehne.
 
flower-mehndi-for-karva-chauth
 

Puri Bhari Hui

Kuch logo ko mehndi ka feel tab tak nahi aata jab tak wo pure hath bharkar mehndi na lagaye. Aese log niche batai gayi design try kar sakte hai. Yeh wakai tyoharo wala feel deti hai. Full Mehndi Designs hamesha se prachalan mai hai.
 
fullhand-mehndi-for-karva-chauth
 

Rajasthani Mehndi

Mehndi ka hamare yaha bahut mahatva hai. Shadi ya tyohar par ise bade shouk se lagaya jata hai. Shadi mai iss mehndi ko bahut pasand kiya jata hai. Isme dhol, nagade aadi dikhaya jate hai.
 
rajasthani-mehndi-for-karva-chauth
 
Upar aapne jana Karva Chauth Mehndi Designs in Hindi. Upar di gayi sari hi designs bahut prasiddha hai. Aap inme se apne pasand ke anusar koi bhi chun sakti hai. Sath hi yeh design aap apni dost aur pariwar walo ke sath bhi share kar sakti hai.
 

Loading...

You may also like...