Lip Blister: Hontho ke Pimple ke Liye Gharelu Nuskhe
Sabse adhik kashtdayak dene vali baat hai jo aap apne chehre par dekh rahe hai, vo hai Lip Blisters. Yeh takleef aur bhi bad jati hai, jab yeh muhase aapke hontho par gambhir roop le lete hai. Kharab dikhne ke saath iska jo dard hota hai vo bhi asahaniya hota hai.
Hontho ke upar ke muhase ek badi problem hoti hai, jo ki aapke mood ko kharab kar deti hai. Iske karan aap masaledaar bhojan bhi nahi kar sakte hai aur aap theek se baat bhi nahi kar pate hai. Lekin kuch Gharelu Nuskhe ke dwara aap is problem se bach sakte hai.
Tooth paste muhase ke upchar ke liye ek bahut accha tarika hai. Aapko sirf itna karna hai ki apne chehre ko dhoye phir is paste ko halke hatho se apne hontho par lagaye aur sukhne de. Jisse aapko jaldi hi aaram milega. To chaliye hum aapko Home Remedies for Lip Blisters ke bare me batate hai.
Home Remedies for Lip Blisters: Hontho Ke Muhase ka Gharelu Upchar
You may also like: Gharelu Nuskhe for Blisters in Mouth (Muh Ke Chale)
Neem Paste
• Neem ki 2 pattiyo le tatha ek boond pani milakar ise pisle. Is kadve paste se muhase par halke haath se malish kare.
• Is upchar se do din me Mouth Ulcer theek ho jayga.
Olive Oil
• Ek chammach olive oil le tatha mombatti ki lo par ise garam kare. Jab yeh halka garam ho jaye to ise sidhe muhase par lgaye.
• Is garam tel se aapke muhase apne aap fut jayge aur dheere-dheere apne aap gayab ho jayge.
Nariyal ka Tel
• Lip Blister Treatment Home Remedies me nariyal ka tel ek bahut accha source hai.
• Ise bhi olive oil ke saman prakriya se lagye.
Pani
• Agar aapki skin bahut sensitive hai to muhase ke ilaaj ke liye pani ka use kare.
• Apne hontho ko bar-bar swacch pani se dhoye aur use sukhane de tatha apne hontho ko pochne ke liye towel ka use kare.
Aloe vera
• Aloe Vera ka ek tukda tode tatha ise sidhe apne hontho par lagaye.
• Saath hi aloe vera ko haldi me milakar bhi laga sakte hai. Isse jaldi aapko aaram milega.
Haldi
• Ek chammach haldi ko ek boond pani me milaye. Gada paste banakar ise hotho par lagaye. Yeh ek bahut accha gharelu upchar hai.
• yeh muhase ke ilaaj ke saath saath kisi bhi infection se bhi bachata hai.
Upar aapne jane Home Remedies for Lip Blisters. To bas der kis baat ki agar aap bhi is problem se grasit hai to aaj se is upchar ko apnaye aur swasth rahe.
Get more details about Lip Blisters from Home Remedies.