Live in Relationship in Hindi – Sahi ya Galat, Kya hai Aapki Rai?
Live in relationship aajkal ke aadhunik jivansheli ka ek rishta hai. Isme do log bina vivah kiye sath mai rehne ka faisla lete hai. Yeh paschimi sabhyata se prabhavit sabhyata hai jo bhartiya sanskriti mai shamil ho rahi hai. Aajkal ke yuva pidhi live in relationship mai rehna kaafi pasand kar rahi hai, aur yeh chalan kaafi teji se bhi bad raha hai.
Pehle ke samay mai live in jaise rishto par khulkar bat nahi ki jati thi. Parantu ab samay badal raha hai, aur log inn rishto par khulkar bat bhi karne lage hai.
Dekha jaye to iss tarah ke rishto ko filmo ki wajah se kaafi badava mila hai. Kyunki hamare samaj ko badlane mai filmo se mil rahe sandesho ka bahut bada yogdan hota hai. Filme hamesha darshko ko prabhavit karti hai khaskar yuva pidhi inse sabse jayda prabhavit hoti hai.
Bina vivah ke rishte mai rehne jaise mamle bade bade mahanagro mai jayda dekhne ko milte hai. Kyunki mahanagro mai hi jaydatar yuva, padai ya job ko lekar akele bahar rehte hai, aur yaha koi na koi sathi unhe aisa mil jata hai jiske sath rehna, bate karna unhe accha lagne lagta hai.
Wahi kai bar mehenge flat aur high profile jivan sheli mai rehne ke liye kai log iss tarah ke faisle kar lete hai. Har sikke ke do pehlu hote ussi prakar live in mai rehne ke bhi kai fayde aur nuksaan hote hai, to aaiye jante hai Live in Relationship in Hindi vistar se.
Live in Relationship in Hindi: Jane Iss Rishte Se Judi Kuch Bate
Live in relationship Advantages: Jane Isme Rehne Ke Fayde
Pehle log shaadi hone ke baad hi ek dusre ke sath rehte the. Lekin aajkal ke yuva jindagi bhar sath rehne ya shaadi ke bandhan mai badhne ka faisla lene se se pehle ek dusre ko acchi tarah se janna chahte hai. Taki wo jaan sake ki jis sathi ke sath wo jindagi bitana chahte hai wo unke liye perfect hai ya nahi.
Aajkal ki yuva pidhi ka sochna hai ki shaadi ka unke upar bojh de diya jata hai jisse unhe jindgi bhar jhelna padta hai. Inhi karno ki wajaj se aajakl ki yuva pidhi live in realationship mai rehna kafi pasand kar rahi hai jisme unhe kisi tarah ka koi samajik bojh nahi lagta hai.
Ek Dusre Ko Parakhne Ka Behtar Vikalp
Relationship Advice ke anusar live in rishta ek accha vikalp hota hai jisme aap aapke sathi ko acche se samjh sakte hai aur faisla kar sakte hai ki aap aapke sathi ke sath shaadi ke bandhan mai bandh kar jindgi bhar sath reh sakte hai ya nahi.
Samajik Bojh Se Duri
Jab aapne live in rishte mai jane ka socha hai usi samay se aap samaj ke niymo ke viruddha ho gaye hai. Iss faisle ke sath hi aap shaadi mai hone wale sare bandhno se bhi mukt ho jate hai. Iske jariye aap samajik pareshaniyo se dur reh sakte hai, aapki jindagi mai personal space ka maja le sakte hai, kharcho ko share kar sakte hai. Iski sabse badi khasiyat yeh hai ki iski madad se swatantra jindgi jee sakte hai aur naye rishto nato ko nibhane ki jimmedari bhi nahi leni padti hai.
You May Also Like:- Relationship Advice in Hindi: Rishto Mai Galti Karne Se Bache
Kanuni Dav-Pech Se Duri
Live in relationship jaise rishto par kisi tarah ki kanuni mohar nahi lagi hoti hai. Aese mai yadi aapko kisi karan vash kisi se alag hona rehta hai to aapko kanuni dav-pech ka sahara nahi lena padta hai. Isse apne star par hi suljha kar ya fir aapsi salah se bhi toda ja sakta hai.
Kai bar shaadi jaise rishto mai alag hone ke liye kai salo tak algav tatha bekar situation se gujrana padta hai, aur inn kanuni dav pech ki wajah se aap apni life mai puri tarah se aage bhi nahi bad pate hai. Jiske chalte kai bar anchahe rishto ko jindgi bhar dhone lag jata hai. Parantu inn sab pareshaniyo ka samna live in relationship mai nahi karna padta hai.
Aarthik Rup Se Swayam Par Nirbhar Rehna
Apni marji se rehne wale rishto mai aapko kisi bhi tarah se ya fir aarthik rup se ek dusre par nirbhar nahi rehna padta hai, yaha aap khud ka kharcha swayam utha sakte hai. Wahi jab aapko alag hona ho tab aarthik rup se koi gila shikva bhi nahi hota hai. Aese mai na hi koi aap par kisi tarah ka sawal utha sakta hai. Aap chahe to khushi se apne sathi ke upar kharch kar sakte hai.
Ek Dusre Ke Prati Samman Rehta Hai
Live in mai na to aap samaj ko lekar na hi paiso ko lekar ek dusre par nirbhar rehte hai. Aap dono ke liye hamesha alag hone ka rasta hamesha khula rehta hai. Isi wajah se partners ek dusre ke aatmasamman ko chhot nahi pahuchate hai, aur bhavanao ka bhi puri tarah se khral rakhte hai.
Tanva har rishte mai hota hai lekin pyar aur samman hone se rishte ko anavshyak uljhno se bachaya ja sakta hai. Chahe wo rishta shaadi ka ho ya live in relationship ka ho.
Live in Relationship Ke Nuksan Bhi Kai Hai:-
Jaisa ki aap jante hai har rishte ke fayde hote hai wahi nuksaan bhi hona wajib hai. Aapke halat ke anusaar aapko aapka rishta faydemand ya fir nuksaandeh lagta hai.
Nahi Milti Samaj mai Swikrati
Live in ka rishta aajkal ke yuvao ko kaafi pasand aa raha hai fir bhi samaaj mai iss rishte ko swikrati nahi mili hai, khaskar bujurg vyakati iss rishte ko katai nahi apna pa rahe hai. Waise bhi aisa samaj jaha ek ladke aur ladki ko bhi purane khayal ke log nahi apna pate hai waha par live in relationship ki swikrati milna kaafi mushkil hai.
Rishta Kabhi Bhi Tut Sakta Hai
Iss live in relationship ka sabse bada nuksaan yeh hai ki isse koi bhi kabhi bhi tod sakta hai, aur samaj kanun koi bhi isme interfere nahi kar sakta hai. Commitment dene ke bad bhi ek paksh dusre paksh ko kisi bhi halat mai chhod sakta hai. Jabki shaadi mai rishte ko todna itna aasan nahi hota hai.
Mahilao Ke Liye Jyada Ghatak
Aese rishte mai rehne ka sabse jyada nukasaan mahilao ko bhugatna padta hai. Kyuki hamara samaj aaj bhi purush pradhan samaj hai yadi live in relationship mai purush mahila ko chhod kar chala jata hai to mahila ko hi samaj ki di hui pratadna sahna padti hai aur dusra sathi milna bahut mushkil hota hai. Wahi bhavnao ko samjhne wala sathi bhi nahi mil pata hai.
You May Also Like:- Healthy Relationships in Hindi: Jane Swasth Rishto ke Raaz
Baccho Par Bhi Padta Hai Dushprabhav
Live in relationship mai rehne wale jodo ke baccho par iss rishte ka bahut bura prabhav padta hai. Aise baccho mai parivarik samajh bahut kam dekhne ko milti hai tatha unme asurksha ki bhavna hoti hai.
Yadi unke mata pita alag ho jate hai to uska bhi prabhav unn par padta hai aur rishto ko samjhna unke liye bahut mushkil hota hai. Aise baccho ko na to bhavnatmak rup se aur na hi aarthik rup se koi virasat milti hai.
Rishte mai Asamman Hona
Live in relationship mai rehne wale jodo mai yeh bhi dekha gaya hai ki wo aarthik aur niji jindagi ka maja lene ke chakkar mai shaadi ko talte rehte hai. Kuch log jimmedariyo ko lena hi nahi chahte but unko koi sathi bhi chahiye jisse wo bina shaadi kiye shaadi jaise rishto ko jee sake.
Iss tarah ke rishto mai ek dusre ke prati vishvash bhi kam hi paya jata hai. Log bus apni jarurato ko pura karne ke liye aesa rishta kayam kar lete hai. Wahi dusri taraf shaadi mai vishvash hota hai aur ek dusre ko baandhane ke liye kai bandhan hote hai.
Kanun Ka Najariya Bhi Jane:-
Live in Relationship in India ko lekar yadi ham kanun ki baat kare to Supreme Court ne iss rishte ko sahi kehte huye kaha ki jab do log apni sahamati ke anussar ek sath rehna chahte hai to isme koi apradh nahi hai. Bus wo jode apna hit aur ahit acche se samjhte ho. Kanun usi tarah se unki suraksha karega jis tarah se wo vivahit pati patni ki karta hai bus unhe talak jaisi samasyao se nahi gujarna padega.
Halanki iske liye koi thos kanun nahi bana hai lekin aaye din isse jude samsayo se ghire log kanun ka darwaja khatkatate hai. Usi ko dhyan mai rakhte huye aur mahila ko suraksha dene ke liye supreme court ne wo sare adhikar diye hai jo shaadi ke bad kanun ke dwara vivahit jodo ko milte hai. Lekin yeh adhikar unhe tabhi prapt hote hai jan we saalo se sath reh rahe ho.
Upar aapne jana Live in Relationship in Hindi. Har vyakti ka apna ek najariya hota hai. Live in rishta bhi ek aesa hi mamla hai. Ham bus aapko itna hi kehna chahenge ki rishta chahe live in ho ya shaadi ka usme vishvas, pyar aur samman ka hona jaruri hai.