Makar Sankranti Recipes: Lajij Vyanjano Ke Sath Bate Khusiya
Makar Sankranti ke utsav ka hamare desh mai bahut mahatva hai. Ise Bharat aur Nepal mai kai tarah se manaya jata hai. Jaise bihar mai iss parva ko khichdi ke naam se jana jata hai aur us din udad, dal aur til daan mai diya jata hai. Wahi Bengal mai iss din nahane ke paschat til daan karne ki pratha hai.
Tamil nadu mai iss tyohar ko pongal ke roop mai 4 din tak manate hai. Wahi maharastra mai vivahit mahilaye til aur gud ki chize banakar ek dusre ko khilati hai aur kehti hai; “Tilgul ghya ani goad goad bola”.
Iss din khaskar til se bani chize jarur banayi jati hai. Aur aap chahe to aur bhi chize bana sakte hai jaise kheer, gujiya aadi. To aaiye aaj ke lekh mai ham Makar Sankranti Recipes jante hai aur acchi acchi chize banakar iss tyohar ko celebrate karte hai.
Makar Sankranti Recipes in Hindi: Tyoharo Par Mithi Sougat
Til Laddu
Thand ke mousam mai til se bani chize bahut khayi jati hai, kyoki til yane ki sesame seeds hamare sharir ko garmi pahuchati hai. Til ke laddoo ka sankranti par bhi bahut mahatva hai, ise har ghar mai banaya jata hai. Til ke laddoo ko banane ke liye siki hui tiili aur gud ka istemal kiya jata hai. Aap bhi iss Makar Sankranti 2017 par ise jarur banaye.
Kurmure Laddu
Yadi aap iss sankranti par kuch aesa banana chahte hai jo khane mai bahut light ho aur aap jitna chahe utna kha sake. To kurmure laddu ya kurmure chikki ek accha vikalp hai. Ise banane ke liye aapko keval parmal (jo ki safed rang ke hote hai, bhel mai dalte hai) aur gud ki aavyashakta hogi.
Doodh Puli Pithe
Sankranthi Festival par, Bengali log khastour par doodh puli pithe banate hai. Yeh bahut hi lajij creamy dish hai. Ise banana kafi aasan hai. Iske liye chawal ke aate ko 5 minute ke liye tave par sek le. Fir iss aate mai garam pani dalkar use guth le.
Ab iss aate ki choti choti puri bel le aur usme nariyal ka bura, shakkar, elaichi powder ka mixer dal de. Ab iss roti ko gujiya ki tarah pack kar le. Ek pan mai dudh garam kare, aadha hone tak ubalne de fir usme elaichi powder dale. Ab iss dudh mai bani hui puli ko dhire se dale. 15 minute ke liye aur pakne de. Kaju badam se sajaye. Thanda hone ke bad serve kare.
Iski samagri
- 1 Nariyal
- 1 cup Shakkar
- 2 cup Chawal ka Aata
- 1 liter Dudh
- 10 gm Kishmish
- 10 gm Kaju
- 1 chammach elaichi powder
Til Chocolate Laddu
Yadi aap apne baccho ko dhyan mai rakhte huye kuch bana rahe hai to til chocolate laddu se acchi koi dish ho hi nahi sakti. Sabse pehle 250 gram til bhun le. Ab iss bhune huye til ko mixer mai halka sa pees le. 250 gram chini bhi le, isme pani milakar gadhi chasni taiyar kar le.
Ab iss chasni mai 250 gram kaddukas kiya hua mava aur til ka powder mila le. Iss mishran ko thanda hone ke liye rakh de. Fir laddu ka aakar de de. Chocolate chip se ise saja bhi sakte hai.
Mungphali Ka Laddu
Iske liye mungphali ko sek le. Lekin sekte wakt ghee ya tel na dale. Aapko mungphali ko laal rang aane tak sekna hai. Siki hui mungphali se chhilke utar le. Ab mungphali ko peeskar uska powder bana le.
Ek teji se mixer na chalaye, nahi to mungphali tel chhod deti hai. Ab ek bade bowl mai ek cup mungphali ka powder dale, aur fir usme aadha cup pisi hui shakkar dale. Isi mai ek chammach elaichi powder dale. Laddu ko thoda crispy banane ke liye usme kuch badam ke tukde dale.
Iss mishran ko acche se mila le aur isme do bade chammach pighla hua ghee dale. Mixer ko acche se mix karke laddu bandh le. Yeh serve karne ke liye taiyar hai.
Gajar Ka Halwa
Vaise to gajar ke halwe ka sankranti se koi lena dena nahi hai. Lekin jaisa ki hamne kaha iss tyohar ka hamare yaha bahut mahatva hai. To aap aapke mehmano ko kya keval til ke laddu khilakar wapis bhej denge.
Gajar ka halwa har kisi ko pasand aata hai. Thand ke dino mai iski bahar bhi bahut rehti hai. To kyu na aap apne mehmano ko gajar ka halwa banakar khilaye. Iss link par gajar ka halwa banane ki vidhi aap jaan sakte hai.
Upar aapne jana Makar Sankranti Recipes in Hindi. To fir der kis baat ki jaldi se lag jaye kyoki tyohar kal hi hai. Aapko sabhi readers ko Sankranti ki dher sari badhaiya.