Makeup Tips for Dry Skin in Hindi: Rukhi Twacha ke Liye Khas
Makeup Tips for Dry Skin in Hindi – Har mahila ki twacha alag alag hoti hai jaise kuch ki teilya, kuch ki normal tatha kuch ki rukhi. Aaj hum aapko rukhi twacha par kis tarah ka makeup kiya jaye uske bare mai bata rahe hai, kyonki rukhi twacha par makeup karte samay hame kaafi dhyaan rakhna padta hai.
Rukhi twacha wali mahilao ki twacha makeup ke baad fati fati dikhne lagti hai aur isliye use nami dene ki aavshykata hoti hai.
Yadi aap bhi chahte hai ki aapki twacha chamakdar aur sundar dikhe to iss bat ka dhyan jarur rakhe ki aap teilya twacha wali mahilao ki tarah makeup na kare.
Twacha sukhi hone ke piche kai karan ho sakte hai aur iss wajah se twacha parto ke rup mai bahar niklne lagti hai. Jisse aapki twacha rukhi aur bejan ho jati hai. Aesi twacha wali mahilaye kis tarah makeup kar sakti hai aaiye jante hai Makeup Tips for Dry Skin in Hindi.
Makeup Tips for Dry Skin in Hindi – Janiye Aasan Tarike
Rukhi Twacha Ke Liye Kaise Kare Makeup?
Step 1. Face wash Se Chehre Ko Dhoye
- Makeup karne se pehle chehre ko acche se dho lena chahiye, chahe aapki twacha teliya ho ya rukhi.
- Yeh ek basic prakriya hai, taaki aapke chehre par lage jivanu makeup ke sath milkar twacha ko nuksaan na pahucha sake.
Step 2. Cleansing Milk Se Chehre Ko Saaf Kare
- Cleansing milk ko chehre tatha gardan par lagakar cotton ki sahayata se saaf kare taaki chehre aur gardan par jami dhul mitti acche se saaf ho jaye.
- Isse chehre ki mrit twacha bhi saaf ho jati hai tatha aapko saaf twacha milta hai.
- Yeh chehre ko nami bhi pradan karta hai, bad mai pani se chehre ko dho le.
Step 3. Moisturizing Ka Kare Istemal
- Ab chehre par moisturizing ko lagaye jisse aapki twacha ko nami mile.
- Aap chahe to foundation ko lagate samay usme thoda sa moisturizer mila sakte hai.
- Aapne cleansing milk se chehre ko saaf kiya ho to moisturizer ka istemal bahut kam kare.
Step 4. Liquid Foundation Ko Lagaye
- Foundation lagate samay dhyan rakhe ki wo liquid ho aur jyada gadha na ho.
- Isse aapke chehre ke daag dabbe chhip jayenge aur aap chinki twacha payengi.
- Aapke liye konsa foundation sahi hai janne ke liye dekhe Best Foundation in Hindi.
Step 5. Hontho Ko Nami Dene Ke Liye
- Rukhi twacha ke sath honth bhi rukhe aur bejan hote hai isliye unhe nami dene ke liye gel lip balm ka istemal kar sakte hai.
- Iske aalwa hotho ko chamakdar aur aakarshak dikhane ke liye Moisturizing Lipstick ya lip gloss ka istemal bhi kar sakte hai.
Step 6. Cream Blush Ka Istemal Kare
- Jab bhi aap blush ka istemal kare cream blush ka upyog kare.
- Ise halke hatho se gaalo par lagaye ya brush ka istemal kare.
Step 7. Aankho Par Kare Makeup
- Rukhi twacha ko nami dene ke sath Eye makeup karna bhi bahut jaruri hai.
- Aap apni aankhon mai kajal tatha eyeliner ka istemal kare lekin dhyan rakhe eye shadow dry skin walo ke liye bana hua hui istemal kare.
Step 8. Face Polisher Ka Kare Istemal
- Aapki sukhi twacha ke liye yeh bahut accha vikalp hai.
- Isko lagane par makeup lambe samay tak tika rahega.
- Sukhi twacha se makeup jaldi hatne lagta hai isliye face polisher ka istemal kare.
Rukhi Twacha Wale Inn Baato Ka Rakhe Dhyan
- Makeup for Dry Skin ki baat kare to Sukhi twacha wale logo ko powder ka istemal karne se bachna chahiye.
- Chehre par scrub ko na kare, aesa karne par twacha aur jyada rukhi ho jati hai.
- Cream concealer ka istemal na kare kyonki yeh twacha ko rukha aur bejan bana deta hai.
- Yadi moisturizer jyada der tak nami na banaye rakhe to chehre par jyada makeup ka istemal na kare.
- Base makeup karne ke bad waterproof concealer ka istemal na kare warna aapke chehre ki name chali jayegi.
Upar apne jana Makeup Tips for Dry Skin in Hindi. Agar aapki rukhi twacha hai to makeup up karte samay bataye gaye tips ko jarur dhyan mai rakhe. Taaki aapka makeup lambe samay tak barkarar rahe aur aapki twacha chikni aur chamakdar bani rahe.