Makeup Tips for Oily Skin – Teliya Twacha Walo Ke Liye Khas
Aaj ke wakt mai khubsurat dikhna kitna jaruri hai, yeh baat to ham sabhi jante hai. Khubsurti ki yadi baat kare to sabse pehle baat aati hai acche chehre ki. Kuch logo ko to prakratik roop se gori aur chamakdar twacha milti hai. Lekin kuch logo ki twacha itni acchi nahi hoti hai.
Aese mai unn logo ko makeup ka sahara lene padhta hai. Makeup ki madad se aap apne chehre ko jyada accha dikha sakte hai. Lekin jin ladkiyo ki twacha oily hoti hai, unke chehre par makeup tikta nahi hai.
Yadi aapki twacha bhi teliya hai aur aapko aesa lagta hai ki aap accha sa makeup nahi kar sakti, khubsurat nahi lag sakti. To ham aapko bata de ki aesa kuch nahi hai, bus teliya twacha hone par makeup karne ka tarika alag hota hai. Agar aapko yeh nahi pata hai to koi baat nahi aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Makeup Tips for Oily Skin in Hindi.
Makeup Tips for Oily Skin – Jane aur Dikhe Behad Khubsurat
Step 1: Twacha Ko Taiyar Kare
- Makeup karne se pehle aap kya karte hai? Yadi kuch nahi to yeh point padhna aapke liye bahut jaruri hai.
- Apni twacha ko sabun se dhone ke bajaye kisi acche fash wash se saaf kare.
- Iske bad apni twacha ko hydrate karne ke liye Primer for Oily Skin ka istemal kare.
- Ab aap soch rahe honge ki twacha teliya hone ke bad hydrate kaise. To ham aapko bata de ki moisturize karne aur hydrate karne mai bahut farak hai.
- Yadi aap aapki twacha ko hydrate karte hai, to aapka makeup acche se lag pata hai. Aur ha primer ka shade apni twacha ke anusar hi chune.
Step 2: Jel Based Foundation
- Yadi aapki twacha teliya hai to aapko cream based foundation ki jagah jel based foundation ka chunav karna chahiye. Yeh aapke chehre par acche se tikta hai.
- Foundation apni skin tone ke hisab se hi chune. Aap jis bhi shop se ise purchase kar rahe hai wo bhi aapko salah de denge. Ya to fir aap apni parlor wali se bhi salah le sakti hai.
- Foundation lagane ke liye cushion compacts ka istemal na kare. Iske liye aap foundation brush aur sponge ka istemal kar sakte hai.
Step 3: Powder Lagaye
- Foundation ko set karne ke liye aapko us par powder lagana jaruri hai. Teliya twacha walo ke liye to yeh bahut jaruri hai.
- Bahut se log iss baat ko lekar confuse rehte hai ki wo apne chehre par loose foundation lagaye ya pressed powder lagaye. Ham aapko bata de ki dono Best Powder for Oily Skin
- Ek baat ka khayal rakhe ki aese powder ka istemal na kare, jinme chamak hoti hai.
- Yadi aapko travel karke jana ho to aapka makeup kharab ho jata hai. Iske liye aap apne sath blotting paper aur light compact powder apne sath rakhe.
- Bloating paper ki madad se apne chehre ko halke se ponch le fir light compact powder laga le.
Step 4: Kam Makeup Lagaye
- Teliya twacha walo ke liye jyada makeup na lagaye. Isliye apne chehre par makeup ki bahut sari layers na lagaye.
- Makeup ki matra jitni ho sake kam le, kyoki jyada makeup se aapka chehra kharab dikhne lagta hai.
Step5: Istemal Kare Mineral Makeup
- Mineral makeup teliya twacha ke liye bahut badha vardan hai. Inorganic mineral se bane products ka istemal karne par bacteria nahi badhte.
- Mineral makeup mai zinc oxide aur titanium dioxide hota hai. Jo suraj ki harmful kirno se bachata hai. Isliye aapko alag se sunscreen lagane ki jarurat nahi hai.
- Zinc ek tarah ka antioxidant bhi hai jo oxidation ki prakriya ko karta hai aur makeup ko lambe samay tak tikne mai madad karta hai.
- Isliye ham keh sakte hai ki mineral makeup twacha ke liye bahut accha hai.
Upar aapne jana Makeup Tips for Oily Skin in Hindi. Aapne makeup karne ke tariko ko to jaan liya hai. Makeup karna to aasan hai lekin yadi aap makeup ko acche se saaf nahi karte hai to aapki twacha kharab ho sakti hai. Kyoki teliya twacha walo ko muhase hone ki sambhavana bahut jyada hoti hai.
Isliye chahe aapki twacha teliya ho ya koi aur ho. Apni twacha ko makeup remover ki madad se saaf kar le. Yadi aap ghar par bane makeup remover istemal karna chahti hai to di gayi link par click karke aap jankari hasil kar sakti hai.