Nail Care Tips in Hindi, Nakhun ko Banaiye Sundar aur Swasth

Khubsoorat dikhne ke liye nakhun ki sundarta ka bhi aham isthan hota hai. Jiske liye ladkiya apne nakhun ka bahut khayal rakhti hai. Aajkal jab bhi ladkiya party ke liye taiyar hoti hai to vah apne nails ki sajavat par bahut dhyan deti hai, jese dress se match karti huye nail polish lagana tatha nail art se nakhun ko naya look dena. Yah sab bilkul aam baat ho gayi hai.

Lekin aapko yeh jaan lena bhi jaruri hai ki nakhuno par koi bhi sajavat tabhi sundar lagti hai, jab vo swasth ho. To aaiye aaj is article me hum aapko batate hai Nail Care Tips in Hindi.

Wese har mahila chahti hai ki, uske haath ke nakhun bahut sundar aur lambe dikhe. Lekin gharelu kaam kaaj ke karan nakhun tutne lagte hai. Lekin aap chahe to kitchen me moujud cheezo se hi apne nakhun ko majboot bana sakti hai.

Nail Care Tips in Hindi, Khubsoorat Nakhun Hote Hai Sundarta ki Pahchan

Nail Care Tips

Jaitun ka Tel Aur Nimbu ka Ras

• Nimbu ka ras me kuch bunde jaitun ke tel ki mila kar malish kijiye. Iss mishran ko week me kam se kam 2 bar prayog kare isse aapke nakhun me majbooti aayegi.
• Jaldi result pane ke liye sone se pahle is mishran se nakun par malish karke narm dastane pahan kar so jaye.

Tea Tree Oil aur Vitamin E

• Ek chammach Tea Tree Oil me kuch bunde Vitamin E ki milakar lagane se na keval nakhun majboot aur swasth banate hai.
• Balki isse nail fungus ko bhi dur kiya jata hai aur infection ke ilaaj karne me bhi madad milti hai.
• Ise acche se nakhun par ragadne se aapko jaldi hi acche result dekhne ko milenge.

Malish

• Malish ek bahut aham Nail Care Tips in Hindi me se ek hai. Kamjor nakhun ke liye yeh bahut aasan, sasta aur prabhavi upay hai. Iske ke liye aap apni pasand ke kisi bhi moisturizer cream, nail cream aur kisi bhi oil ki thodi se matra le kar nakhuno ki malish kijiye.
• Massage karne se blood circulation me sudhar ho kar nakhun lambe samay tak majboot aur swasth rahte hai.

Samudri Namak

• Kamjor nakhun ke liye sabse accha upay hai namak. Jo ki aapke nails ko bahut majboot banata hai.
• Iss paste ko banane ke liye 2 chammach namak me do bunde nimbu ke ras ya tel, loban ka tel aur gehu ke beej ke tel ko mila lijiye.
• Phir is mishran me 10 se 15 minutes ke liye apne haatho ko bhigo kar rakhe. Is upaye ko week me 2 baar jarur kijiye. Jo aapko bahut jaldi result dega.

Vitamin E

• Vitamin E ka capsule kisi bhi gharelu upay premi ke liye ek shandaar upay hai. Apne baalo aur twacha ki dekhbhal ki tarah Vitamin E ke capsule ko apne nakhun ki dekhbhal ke liye banaye gaye mishran me bhi dalna na bhule.
• Iss tel ki kuch bundo se roj apne nakhun ki malish kare. Isse aapke nails ki sundarta aur bhi jyada badegi aur saath ye majboot bhi ban jayenge.
• Agar aap jaldi hi result pana chahte hai, to massage ke baad manicure hand gloves pahan le.

You may also like:- Vitamin E se Banaye Apni Sehat ko Faydemand

Nail Care Tips ko Apna Kar Paiye Chamkdar aur Swasth Nakhun

Bear

• Bear, jaitun ka tel aur cider vinegar shayad aapke pasandida drink samagri ho sakti hai, Lekin yeh aapke majboot nakhun ke ilaaj ke liye bhi ek behatrin upay hai.
• ¼ Cup jaitun ka tel me brabar matra me cider vinegar aur aadha cup bear mila le.
• Ab iske sabhi poshak tatva pane ke liye apne nakhun ko 15 minutes ke liye is mishran me apne haatho ko rakhe. Phir dekhe ki aapke nakhun kitne sundar ho jayenge.

Nail Care

Herbal Mask

Nail Care Tips ki baat kare to yeh iska bahut accha tarika hai.Iss sugandhit herbal mask ka lagatar istemaal karne se jaldi yeh aapko aaram milenga.
• Is mask ko banane ke liye ek cup ubalte pani me ek chammach chamomile aur pudina ki chai milakar aadhe ghante ke liye chhod de. Phir iss mishran me aadha chammach jaitun ka tel aur 2 bade chammach gehu ka aata milakar paste bana lijiye.
• Iss paste ko acchi tarah se milakar aadhe ghante ke liye apne nails par lagaiye iske baad dhole. Iss upay se aapko bahut jaldi result milega.

Nimbu ka Ras

• Garam pani me nimbu ka ras daal kar panch minutes tak apni ungli ko is pani me dubo kar rakhe. Phir haatho ko saaf pani se dhole.
• Isse nakhun badege aur komal bhi ban jayenge. Aap chahe to nakhuno par nimbu ka chhilka bhi ragad sakte hai. Is upay se kuch dino me hi nakhun natural tarike se chamkane lag jayenge.

Jaruri Poshak Tatva ka Sevan

• Nakhun kamjor hone ke bahut se karan hote hai jese ki poor diet. Isliye aap paryapt aahar khaye jo ki aapko kai swasth laabh dega saath hi aapke nakhuno ko bhi majboot banayga.
• Aapne aahar me protein ki matra barabar le. Saath hi fruits hari sabjiiyo ka sevan bhi kare.

Jyada Din Tak Nail Polish na Rahne De

• Hamesha dhyan rahe ki nakhuno par ek week se jyada nail polish na rahne de.
• Agar nail polish jyada samay ke liye nakhun par rahti hai, to vah nails ko kharab kar deti hai. Saath hi natural color ko bhi khatam kar deti hai.

Cuticles ko Saaf Kare

• Cuticles ko saaf rakhe yeh nakhuno ke dono aur hoti hai, jisme gandgi jam jati hai.
• Yeh itne prabhavi hote hai ki iski vajah se nakhun sad jate hai. Accha hoga ki aap samay samay par ise saaf karte rahe.

Manicure aur Pedicure

• Nakuno ki dekh bhaal ke liye jaruri hai ki aap manicure aur pedicure karvate rahe.
• Ise aap har 15 din me karvaye, jisse aapko accha result milega.

Samay Samy Par Nakun Kate

• Nakhun jitney badte hai wo utne hi major bhi hote jate hai. Kyoki bahar ke vatavarnd ka sabse pahla asar hamare haatho par hoi hota hai. Vha jaldi gande hote hai. Isliye dhyan rahe ki nakhuno ko na keval andar se balki bahar se bhi saaf rakhe.
• Dhyan rahe ki nakhun ki lambai upyukt hi honi chahiye. Jyada lambe nails kamjor ho jate hai.

Upar aapne jane Nail Care Tips in Hindi. To bas der kis baat aaj se in tips ke dwara apne nakhun ko sundar banaiye.

See more details of Nail Care Tips from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...