Neem Seeds Benefits in Hindi: Jane Iske Anginat Fayde

 

Neem ke fayde se ham sabhi parichit hai. Shayad hi koi hoga jise iske faydo ke bare mai jankari naa ho. Pichle 4000 varsho se neem ka prayog aushdhiya banane mai kiya ja raha hai. Neem ka pura ped hi faydo se bharpur hota hai. Neem ka tana, neem ki pattiya, neem ki beeje sabhi Ayurvedic Medicine banane mai istemal ki jati hai.

Aapko shayad jankar thoda aascharya ho lekin neem ke itne chote dikhne wale beej hame bahut bade bade fayde dete hai. Inka upyog hriday se sambandhit, aankho se sambandhit bimariyo ke upchar mai kiya jata hai. Aur iski khas baat yeh hai ki yeh aasani se mil bhi jati hai.

Neem ke beej ke kai chhote mote fayde to aese hai jinhe aap ghar par bhi try karte hai. Isse aap chehre ke kil muhase aur baalo se sambandhit kai samasya dur kar sakte hai. Aaiye aaj ke lekh mai vistar se jante hai Neem Seeds Benefits in Hindi.
 

Neem Seeds Benefits in Hindi: Chhote Se Beej Ke Adbhut Fayde

 
Neem Seeds Benefits
 

Baalo Ki Behtar Dekhbhal

Ham sabhi ko sundar swasth baal pasand hai. Shayad yahi wajah hai ki log apne baalo par hajaro rupay kharch karte hai. Ham aapko bata de ki neem ki beej bhi baalo ko sundar banane mai bahut faydemand hai. Bajar mai neem yukt shampoo bhi milte hai.

  • Isse baal dhone se baal na keval sundar dikhte hai balki inse baalo ke jhadne ki samasya bhi dur hoti hai.
  • Yadi baalo mai juo ki samasya ho gayi hai to neem wale shampoo se juo se chhutkara milta hai.
  • Jin logo ke baal safed hai, unhe neem ke shampoo ka istemal karna chahiye.

 

Aankho Ke Drops mai

Bahut baar aankho ke laal hone ya aankho mai dard hone ki stithi mai aapne aankho ke liye drop ka istemal kiya hoga. Lekin kya aap iss bare mai jante hai ki neem ke beej ka stva ka upyog aankho ke liye drop banane mai kiya jata hai.

  • Neem mai bacteria se ladne ke gun moujud hote hai. Isliye isse bana drop aankho mai sankraman paida karne wale bacteria se ladne mai sahayak hota hai.
  • Neem Seed Uses kai hai. Aankho ke drops ke alawa neem ke beejo ka prayog kaan ke drops banane mai bhi kiya jata hai.

 

Janm Niyantran Ke Liye

Yadi aap prakratik roop se jamn niyantran karna chahte hai to neem ke beej aapke liye bahut faydemand hai. Yeh na keval mahilao balki purusho mai bhi janm niyantran mai madad karte hai.

  • Mahilao mai pregnancy ki roktham ke liye neem ke tel ka prayog lubricant ke roop mai kiya jata hai.
  • Yadi aap family planning kar rahe hai. To neem ka upyog bilkul bhi naa kare.

 

Twacha Ki Samasyao Ko Dur Kare

Neem ke beej se bana tel (Neem Seed Oil) kai sare beauty products mai istemal kiya jata hai. Darahsal isme antiseptic aur antifungal gun moujud hote hai jo aapko twacha se sambandhit kai samasyao se chhutkara dilate hai.

  • Neem ke beej ka prayog sabun, tel, face wash, ,lotion aadi mai kiya jata hai.
  • Isse aapki twacha chikni aur mulayam banti hai.
  • Muhaso aur iske daag dhabbe ko hatane ke liye yeh ek prabhavi aushdhi hai.

 

Malaria Se Suraksha

Malaria se bachne ke liye aap neem ke beej ka prayog kar sakte hai. Sabse pehle neem ke beejo ko crush kar le aur waha rakh de jaha macchar sabse jyada aate hai. Neem ke beej ki mahak macchro ko waha ande nahi dene dengi.
 

Anya Fayde Inhe Bhi Janiye:-

  1. Neem ke beej ka prayog aapko bacterial infections se ladne mai bhi madad karta hai. Isse acne, boils aur ulcer jaisi samasya nahi hoti.
  2. Yadi aapka kutta ya billi pissuo se sankramit ho chuke hai. To aap unke baalo par neem ke beejo se bane tel ka istemal kar sakte hai.
  3. Isse aapke paltu janwar ko koi nuksan nahi hoga aur unke baal swasth evam chamkile ho jayenge.
  4. Neem ke beejo se banai gayi chai kidni aur mutrashay ki bimariyo ko thik karne mai prabhavi hai. Halanki yeh thodi kadwai lagti hai.
  5. Neem ke beej ka tel kit nirodhak ke roop mai bhi karya karta hai. Aap ise apne ghar ke poudho ko tiddi, zhingur aadi se dur rakhne mai istemal kar sakte hai.
  6. Neem ke beej ke tel se khatmal, tatha chitiya bhi dur rehti hai. Isliye aap iska prayog bezhizag kar sakte hai.
  7. Neem ke beej mai daanto ko safed banane ke gun hote hai. Iski madad se masudo ki sujan aur daanto ki sadan bhi dur hoti hai.
  8. Neem ke beej se bane tel se chehre ko malne par, chehre ki jhurriya khatam hoti hai.

 
Upar aapne jana Neem Seeds Benefits in Hindi. Iss lekh mai hamne aapko neem ke beej ke kuch faydo ko bataya hai iske atirikt bhi neem ke beej ke kai fayde hai.
 

Loading...

You may also like...