Janiye Aasan Home Remedies for Genital Itching (Gupt Ang)

Mahilao ko aksar gupt ang mai khujali ki samasya ho jati hai. Jannang ki khujali tab sabse jyada pareshan paida karti hai jab aap kaam ke silsile mai bahar ho tatha khujali par niyantran na kar paa rahi ho. Isse mahilao ko sharmindagi aur khinnata mahsoos ho sakti hai isliye iss samasya ko gambhirta se liya jana chahiye. To aaiye jante hai Home Remedies for Genital Itching aur kam karte hai mahilao ki iss samasya ko.

Iske bahut se karan ho sakte hai. Iska sabse aam karan masik dharm ke samay upyog mai laye jane wale pads mai upasthit chemicals ho sakte hai. Bahut adhik kase huye kapde pehanane se bhi youni ki khujali ki samasya ho sakti hai.

Sex sambandh banane ke baad swacchata ki aur dhyan na dena bhi youni mai khujali ka karan ban sakta hai. Jannang mai khujali ki samasya se nipatne ke liye aap inn gharelu upay ko apna sakti hai.

You may also like:- Women Health Tips in Hindi: Mahilao ke Liye Swasth Laabh

Home Remedies for Genital Itching: Gupt Ang ki Khujali ko Dur Karne ke Upay

Home Remedies for Genital Itching

  • Barf se Sek Kare:-

Jannang ki khujali raat ke samay adhik pareshan karti hai. Isse aapki neend mai badha pahuchti hai tatha khujali le saath-saath aap thakan aur susti mahsoos karte hai. Raat mai adhik hone wali iss samasya ko rokne ke liye youni par sidhe hi barf lagaye ya youni ko thanda sek de. Yeh kaam thaka dene wala ho sakta hai.

  • Apple Cider Vinegar:-

Apple cider vinegar antibacterial aur anti fungal hota hai. Yadi jannang ki khujali bacterial ya ufngal sankraman ke karan hai to apple cider vinegar se use dur kiya ja sakta hai. Apple cider vinegar ka laabh uthane ke liye 2 chammach apple cider vinegar ko garm pani mai milaye. 2-3 din tak din mai 2 baar isko gupt ang ko iss mishran se dhoye.

  • Lahsun:-

2-3 kaliya lahsun ki chabaye. Lahsun ka paste banaye tatha jali ke ek kapde mai ise bandhkar youni ke andar lagaye. Isse durgandh aa sakti hai parantu isse milne wala aaram bahut ascharyajanak hota hai.

You may also like:- Home Remedies For Vaginitis, Iss Bimari Se Bachne Ke Upay

  • Dahi:-

Jannang ki khujali ke upchar ke liye pratidin ek cup bina shakkar wala dahi khaye. Dahi ke upyog ka anya tarika yeh hai ki ise youni par lagaya jaye jisse turant aaram milta hai. Sidhe dahi uss sthan par lagane se youni ki khujali turant band ho jati hai. Niyamit upyog se samasya humesha ke liye dur ho jati hai.

  • Namak ke Pani se Nahaye:-

Namak mai antibacterial gun hote hai. Namak ke yeh gun khujali tatha bacteria ko prabhavi roop se dur kar sakte hai. Jab bhi aapko khujali mahsoos ho tab namak ke gadhe ghol se gupt ang ko dho le. Isse aapko turant aaram milega aur yeh bacteria ko aage badhne se bhi rokega. Ya aisa bhi kar sakti hai ki tab ko garm pani se aadha bhare tatha isme aadha cup namak dale. Tub mai palthi markar baithe.

  • Tulsi ki Pattiya:-

Tulsi ki pattiyo mai anti microbial, anti fungal aur anti bacterial gun hote hai. Tulsi ki kuch pattiya le tatha ise 2 cup pani mai ubale. Ise 20 minutes tak bhigo kar rakhe jab tal pani gadha na ho jaye. Youni ki khujali dur karne ke liye iss pani ko din mai 2 baar piye.

  • Gupt Ang Sukha Rakhe:-

Paisne aur pani ke karan yadi youni mai nami rehti hai to isse uss sthan par bacteria aur fungus paida hote hai, jiske karan sankraman aur sharmindgi paida karne wali stithi utpann hoti hai. Humesha dhyan rakhe ki sankraman ko rokne ke liye youni ko nami se mukt rakhe.

  • Dhile Kapde Pehne:-

Kaha jata hai ki ilaj se behtar hai roktham karna. Yadi aapko kabhi bhi youni mai khujali ki samasya hui hai to aap janege ki iss samasya ko dur rakhne ke liye yeh salah kyu upyukt hai. Dhile kapde pehanane se aapko youni mai khujali ki samasya nahi hoti hai.

Upar aapne jane Home Remedies for Genital Itching. To agar aap bhi aisi kisi samasya se pareshan hai to aaj hi se inn upay ki madad se inhe kam kare aur swasth rahe.

Loading...

You may also like...