Opium in Hindi: Aushdhiya Guno se Bharpur Khushbudar Podha

Humare desh mai bahut se aise ped podhe hai jinke nakaratmak roop ko to sabhi jante hai lekin unke sakaratmak swaroop ko koi nahi janta. Inhi podho mai se ek hai “Opium” jise hindi mai afim kaha jata hai. Yeh to sabhi jante hai ki afim ek tarah ka nashila poudha hota hai, jiska aamtar log nashe ke liye istemal karte hai. Aaj hum apako Opium in Hindi ke labh aur oshadhiya guno ki jankari denge.

Afim poost ke podhe se prapt hota hai. Iske podhe ki uchai 1 meter, tana hara, saral aur chikna hota hai. Iske patte aayatkar, pushp safed, bengani, lal sundar katorinuma chothai inch vyas ke akar mai hote hai. Afim ke phal, pushpo ke jhadne ke turant baad hi aa jate hai, jo anar ke saman hote hai. Ye phal doda kahlate hai. Baad mai yeh apne aap phat jate hai.

Afim ka chilka hi post kahalata hai. Iske safed, sushm aur gol dane bij ke roop mai dode ke andar hote hai. In safed dano ko aamtor par khaskhas ke naam se jana jata hai, jo kai prakar se bhojan banate samay kaam mai liya jata hai.

Afim ke podha oshadhiy guno se bharpur hota hai. Yeh vanij samuh aur shakiy vanaspati ka prakar hai. Iska vegyanik naam papar somniferous hai. Afim ke podho ki khati prachin kaal se ki ja rahi hai. Puratatvik sakshya ke anusar yeh lagbhag 30000 saal se istemal hota aa raha hai.

 

Opium in Hindi: Jane Iske Prabhav aur Aushdhiya Gun

 

opium in hindi
 

Opium Effects: Iske Prabhav

Is madak podhe ka prabhav sharirik aur mansik dono prakriyao par padta hai. Aaiye jante hai Opium Effects ki vistrat jankari-

  1. Sharirik Prabhav: Afim ke prabhav ko hum tab samjh pate hai jab isko vyasan karne wala vyakti isse chodna ya iska parityag karna chahta ho. Iska vyasan chodne par kuch samanya lakshan utpann hote hai. Naak ya aankh se taral padarth ka risav, putli ka bada hona, atydhik pasina aana, raktchap badna, sharir ke tapman ka badna tatha ulti hona, yeh sabhi iske lakshan hai. Yeh lakshan itne gambhir hote hai ki kabhi kabhi vyakti ke achanak afim ko khana chod dene par uski mrityu bhi ho sakti hai. Isse yeh spasht hota hai afim ka vyasani vyakti ka sharir is rasayan par hi nirbhar karta hai.
  1. Mansik Prabhav: Afim ek tarah ka nashila padarth hai. Iske nashe se vyakti ka mansik santulan samanya ho jata hai. England mai aisa kaha jata hai ki, iske vyasni vyakti ko samanya anubhav karne mai sahayata hoti hai. Afim ke karan vyakti apne ko samanya isliye mahsus karta hai, kyoki iske istemal se uski avshayaktao ki purti hoti hai. Iske sevan se vyakti ko bhojan, pyas aur yon sambandhi avshayaktao ki santushti pratit hoti hai. Vyakti ka tanav kam ho jata hai, usse kisi bhi prakar ki sharirik aur mansik pida ka anubhav nahi hota hai. Vyakti ka sharir sust ho jata hai, jisse usme aakramak pravrati nahi rahti hai.

Ayurved ke anusar, afim ki prakrati garm, swad mai kadwa tatha tikha, prabhav mai nashila, kaf-waat shamak, nind lane wali, dard nashak, pasina lane wali aur sharirik strawo ko rokne wali hoti hai.

 

You May Also Like: Bhang Ke Fayde: Dast, Khansi aur Gathiya Mai Faydemand

 

Opium Drug: Iske Ashdhiya Gun

Afim jo ki nashe ke liye istemal kiya jata hai, lekin yeh bahut hi mulywan aur khatarnak dawa hai. Iska istemal bahut hi simit matra mai aur chikitsiya salah ke baad hi karna chaiye. Bharat mai mukhya roop se iski kheti, iske bij ke utpad ke liye ki jati hai. Iske bij se prapt tel ka upyog khana pakane ke liye pramukh strot ke roop mai kiya jata hai. Yeh bij charbidar tel aur protein ke samradh strot hai. Iski kheti har jagah nahi ki ja sakti hai, ise keval bharat sarkar dwara nirdisht shetro mai hi ugaya ja sakta hai.

Afim ek Aushadhiya podha hai, iska istemal dawao ko banane mai bhi kiya jata hai. Afim post ke podhe jab pure viksit ho jate hai, to sukhne se pehle kacchi avastha mai isme chira lagane se gada doodh nikalta hai. Iss doodh ko akatra karke sukha liya jata hai. Yahi vyavasik ya aushdhiya afim hoti hai. Sukhne ke baad iska prayog kai prakar ki dawao mai kiya jata hai. Afim ke podho mai rasayanik tatva jaise codine, alcelaits, narcotic, marfin, lactic acid aadi organic amal paye jate hai.

Aap bhi Opium in Hindi se hone wale nuksan ko samjhe aur iske vyasan ko band kare. Shuruvaat yeh aapko jarur accha lagta hoga lekin samay nikal jane par aapko pachtana pad sakta hai. Isliye iss aushdhiya podhe ka sahi upyog kare aur khushi se apne jivan ko aage badaye.

Loading...

You may also like...