Oregano Benefits: Ajwain Leaves ke Swasthvardhak Laabh

Oregano ko “Pizza Herb” ke roop me use kiya jata hai. Jaydatar log ise pizza me swad badane vale tatva ke roop me hi jante hai. Lekin oregano sehat ke liye bahut hi upyogi herb me se ek hai. Iske alawa log is ka use kai swasth samasya ko dur karne ke liye bhi karte hai.

Taaze aur sukhe Ajwain Leaves ke use se pet me dard, weight ghatane aur sardi-jukham jesi samsaya se nijat paya ja sakta hai. Lekin bahut se log iske faydo ke bare me nahi jante hai. To chaliye hum aapko batate hai Oregano Benefits.

Iske Faydo ke bare me baat karne se pahle hum iske poshak tatva ke bare me baat karte hai. Jo ki aapko kai tarike se healthy life dene me help karta hai.

Oregano me Mojud Poshak Tatva

Oregano me vitamin aur minerals bharpur matra me hota hai. Isme Vitamin A, C aur E complex ke saath zinc, magnesium, iron, calcium, potassium, copper, manganese bhi paya jata hai. Yeh sare tatva hamare sharir ke liye kafi upyogi aur faydemand hote hai.

Iske poshak tatva ke baad me hum aapko iske Nutritional Value batate hai. Jisse ki aap iske guno se bhali bhati parichit ho jaoge.

You may also like: Ajwain Benefits: Anekho Guno se Bharpur Carom

100 gram Oregano ki Nutritional Value

Folates- 69%
Pyridoxine- 93%
Vitamin-C- 83%
Vitamin-A-230%
Vitamin-K- 518%
Iron- 550%
Manganese-203%
Carotene-ß- 4112 µg

Ajwain Leaves: Aapke Behtar Swasth ke Liye Oregano ke Bemisaal Fayde

Oregano Benefits

Common Cold ka Upchar

• Antioxidant and antiseptic se bharpur Ajwain Leaves ka sevan cold se bachane ke liye accha upay hai. Jab bhi aapko gale me kharash ya sardi hone ki aashanka lage to santre ke juice me teen bund Oregano Oil dal kar pi le.
• 5 din tak niyamit roop se ise drink karne se aapko jaldi hi aaram milega.

Band Naak Khole

• Band nak ke liye oregano oil ki teen bund ko aadha cup uble hue pani me milakar pi le.
• Aap chahe to steam lene ke liye taiyar kiye pani me bhi oregano oil ko daal sakte hai aur din me 2 baar steam le sakte hai. Isse band nak jaldi hi khool jati hai.

Flu se Bachata Hai

Oregano me mojud tatva jaldi hi flu ke lakshano se nijat dilate hai. Aamtor par flu hone par sar dard, bukhar, ulti, cough jese lakshan dikhai dete hai.
• Ek gilaas pani me oregano ki kuch bunde milakar pine se aapko in lakshano se nijat mil sakta hai. Sath hi yeh ek aisa natural upay hai jiski help se aap kisi bimari ko jad se khatam kar sakte hai.

Pet Dard

Oregano Health Benefits ki baate kare to yeh iska bahut bada fayda hai ki, yeh masik dharm me hone vale asahaniya pet dard se mahilao ko bachata hai. Kyoki kuch mahilayo ko in deno me itna dard hota hai ki ve dard sahan nahi kar pati hai. To kisi dawa ka sevan karne se accha hai ki aap kisi natural cheez ka use kare.
• Aise me oregano tea ya gram pani me oregano oil ki kuch bunde milakar pine se jaldi aaram milta hai.
• Sabse acchi baat yeh hai ki yeh puri tarah se natural upchar hai. Iske koi side effect nahi hote hai.

Intestinal ki Samasya

• Kai bar intestinal me hone vale infection ki vajah se pet dard aur gas jese problem shuru ho jati hai. Yeh samasya aanto me mojud kuch khaas kitanuo ke karan hoti hai.
• Oregano ke sevan se in kitanu ko aasani se mara ja sakta hai. Jisse ki aap in samasya se nijat paya ja sakte hai. Sukhe Ajwain Leaves ke sevan se pet se judi kai problem khatam ho jati hai. Saath hi ye problem jad se khatam hoti hai. Jisse pet ki koi bhi problem ka dubara hona ka khatra nahi hota hai.

Heart Health

• Yeh herb potassium ka ek accha source hai. Jo sharir ke ango aur koshikao ke liye aacha tatva hai. Yeh heart ki tezi ko control karta hai aur raktchap jesi gambhir samasya se bhi chutkara dilvaata hai.
• Yah Omega 3 aur fatty acid ka natural source hai, jo ki heart ki bimari se dur rakhta hai.

Asthma Dur Kare

• Oregano me lungs ko saaf karne vale tatva paye jate hai. Jiski vajah se asthma ki problem se bacha ja sakta hai. Agar aap asthma ki problem se grasit hai to oregano tea le sakte hai.
• Aap chahe to usme chini ki jagah shahad ka urayog bhi kar sakte hai. Ise din me char ya panch baar jarur le sakte hai. Taki aap asthma jese khtarnak rog se bach sake aur swsath rah rah sake.

Wajan Ghatane me

Oregano Health Benefits me sabe jaruri baat yeh hai ki, is herb me cholesterol nahi hota hai. Saath hi yeh fiber se bharpur hota hai. Fiber ke sevan se aap badte wajan ko control kar sakte hai.
• To hum bol sakte hai ki yeh un logo ke liye bahut faydemnad hai jo ki apna weight kam karna chahte hai
• Isme karwakrol namak tatav paya jata hai, jo sharir par jame fats ko kam karne me help karta hai aur bahut jaldi aapki bady se extra fats ko hamesha ke liye khatam kar deta hai.

Oregano me Chupa Hai Kai Bimariyo Ka Ilaaj

Cancer se Bachata hai

• Oregano me fiber ka accha source hota hai, jo cancer ko paida karne vale toxin ko sharir se bahar nikalta hai.
• Anti-bacterial and anti-inflammatory se bharpur oregano breast cancer aur prostate cancer ke khatre se bhi dur karta hai. To hum bol sakte hai ki yeh ek accha cancer fighter hai.

Watch Video Here:-

Upar aapne Oregano Benefits ke bare me jana hai. Jisse ki aap jan hi gaye honge ki yeha na sirf swad pradaan karta hai balki kai tarike se hamare swasth ke liye faydemand bhi hota hai.

To bas der kis baat ki aaj se hi Ajwain Leaves jese natural herb ka use karke kai bimariyo se bache aur hamesha ke liye swasth rahe.

Get more update about Ajwain in Hindi from Food.

Loading...

You may also like...