Osteopathy Treatment: Reedh ki Haddi ke Dard se Chutkara

Osteopathy ek prakar ki vaikalpik chikitsa paddhati hai jisse kisi ki haddi ki samasya ka upchar ho sakta hai. Yeh paddhati bharat mai bahut baad mai aayi hai. Lekin iss paddhati ka prayog America aur Europe mai bahut pehle se hota aaya hai. Aaiye jante hai Osteopathy Treatment ke bare mai jaruri jaankari.

Iss taknik ke jariye Australia aur New Zealand jese desho mai bhi haddiyo ka upchar hota hai. Ridh ki haddi ke niche ke hisse mai hone wali bimari ko thik karne ke liye physiotherapist iss taknik ka prayog karte hai.

Yeh reedh ki haddi ke choto mai upchar mai ek atyant mahatvapurna upchar hai. Iss lekh mai vistaar se janiye osteopathy ke bare mai.

Kya Hai Osteopathy?

Yeh ek prakar ki manual taknik hai, jisse sharir ka pura system prabhavit hota hai. Yeh holistic hoti hai, jisme sharirik, mansik, bhavnatmak aur adhyatmik har pehlu ko shamil kiya jata hai.

Osteopathy Treatment

Osteopathy marij ke mashpeshiyo, jodo, connective tissue aur ligaments aadi ke jariye sharir mai urja ke pravah ko samanya karta hai. Isse sharir mai skeletal, nervous respiratory  aur immune system par asar padta hai. Isse kai tarah ki bimariyo ka upchar ho jata hai.

Osteopathy Kinn Bimariyo ke Liye Hai Prabhavi

Osteopathy Treatment ke jariye gathiya ke douran hone wale asahniya dard, disk ki samasyaye, kandho mai dard aur jakadan, sar mai hone wala dard, kulhe, gardan aur jodo ke dard, mashpeshiyo mai khichav, khel ki gatividhiyo ke douran lagne wali chhot, tennis elbow, Tanav , saans sambandhi samasyaye, garbhavastha ke douran hone wali samasyao, pachan kriya se judi samasyayo ke liye iska ptayog kiya jata hai. Iss taknik se inn samasyao se nijat bhi mil jati hai.

You may also like:- Slip Disc Treatment in Hindi: Isse Bachane Ke Upchar

Osteopathy Treatment: Janiye Iske Upchar ka Tarika

  • Osteopathy ke visheshagya ko osteopath bolte hai. Yeh apne haato ka prayog karke marij ki samsya ka ilaj alag-alag taknik ke prayog se karte hai. Inn takniko mai soft tissue taknik, rhythmic passive joints mobilization jesi taknik shamil hai. Iske jariye hi marij ki samasyao ka upchar hota hai.
  • Osteopathy se ridh ki haddi se sambandhit vibhinn samasyao ka nivaran aur punarvas rann nitiyo mai sudhar laya ja sakta hai. Yeh surgeon ke liye bahut madadgar hai, iss taknik se marijo ko apne pairo par khada karne aur viklangata se chutkara dilane mai madad milti hai.
  • Osteopathy par abhi tak bahut kam shodh hi kuye hai lekin jitney bhi huye hai unke parinam kafi sakaratmak rahe hai. Haal hi mai huye ek adhyayan mai 144 garbhavati mahilao ko examine kiya gaya hai. Sabhi mahilaye 6 mahine se adhik garbh se thi aur sabhi ko lower back pain mai dard tha. Inn mahilao mai jise osteopathy manipulative treatment diya gaya, unka dard kam ho gaya.
  • Ek anya adhyayan mai migraine se pidit 42 mahilaye mai se aadhi mahilao ko 10 weeks tak osteopathy manipulative treatment diya gaya. Iss douran unhone 5 session mai hissa liya. Baki ki aadhi mahilao ko kisi prakar ka koi treatment nahi diya gaya hai. Jinn mahilao ko yeh treatment mila tha unko migraine ke dard mai kafi aaram mila hai.
  • Ek aur adyayan ke anusaar lower back pain ke marijo ka osteopathy manipulative treatment se pahale aur baad mai MRI karwaya gaya aur usse malum chala ki iss treatment se muscles wapas se thik ho gayi hai.

Upar aapne jane Osteopathy Treatment ke bare mai jaruri jankari. To agar aap bhi aise koi  dard se pareshan hai to apnaiye iss taknik ko aur dur kijiye apne dard ko.

Loading...

You may also like...