PCOS Treatment in Hindi, Mahilao ki Samasya ka Ilaj
Aaj kal mahilao mai PCOS matlab ki Polycystic ovary syndrome ki samasaya dekhne ko mil rahi hai. Chinta ki baat yeh hai ki kai saalo pahle yeh bimari keval 30 ke upar ki mahilao mai hi hoti thi, lekin aaj kal iske ulta hi dekhne ko mil raha hai, yeh bimari mahilao ko bahut kam umar mai dekhne ko milti hai. Lekin dariye nahi aaj hum aapko batate hai, PCOS Treatment in Hindi.
Kya Hai PCOS
PCOS tab hota hai, jab sex hormone mai imbalance ho jata hai. Hormone mai jara sa bhi badlav masik dharm chakra par turant asar dalta hai. Iss condition ki vajah se ovary mai chhota alsar (cyst) bana jata hai. Agar yeh samasya lagatar bani rahti hai to na keval ovary aur fertility par asar padta hai, balki yeh aage chalkar cancer ka roop bhi le leti hai.
Darsar mahilao aur purusho dono ke sharir mai hi prajann sambhandhi hormone bante hai. Androgens hormone purusho ke sharir mai bhi bnate hai, lekin PCOS se grasit mahilao ke ovary mai hormone samanye matra se adhik bante hai.
Yeh isthiti sach much ghatak ho sakti hai. Yeh cyst chhoti-chhoti thelinuma rachnaye hoti hai, jinme taral padarth bhara hota hai. Ovary mai yeh cyst jama ho jata hai aur unka aakar bhi dheere-dheere badta jata hai, yeh isthiti polycystic ovarian syndrome kahlati hai. Kabhi bhi yeh hi samasya aisi ban jati hai jisme mahila garbh dharan nahi kar pati hai.
Symptoms of PCOS, Inn Lakshano ko Pahchan kar Bachiye Iss Bimari se
- Chehre par baal aana
- Muhase hona
- Pigmentation
- Aniyamit roop se mahavari
- Youn iccha mai achanak se kami aana
- Garbh dharan karne mai mushkil hona
Cause of PCOS, Iss Bimari ke Mukhaye Karan
Kharab Khan Pan
- Junk food jese Pizza, burger aadi sabhi sharir ko nuksaan pahuchate hai. Bahut oily, meetha tatha vasa yukt bhojan khana bhi iss bimari ka karan hai.
- Meetha bhi sehat ke liye kharab hota hai. Iss bimari ke peeche diabetes bhi ek karan hota hai. Apne khan pan mai laparvahi iss bimari ke hone mai bahut badi bhumika nibhati hai.
Motapa
- Cause of PCOS mai jyada weight hona sabse bada karan hai. Motapa har tarike se pareshani ka karan hota hai. Jyada vasa yukt bhojan, vyayam ki kami aur jarurat se jyada khana ye sab vajan badne ka karan hota hai.
- Jyada vajan se estrogen namak hormone ki matra badti hai, jo ovary mai cyst ko banana ke liye jimmedar hoti hai. Isliye vajan kam karne se iss bimari se bahut had tak chutkara paya ja sakta hai.
- Saath hi jo mahilaye iss bimari se grasit hone par apna vajan kam kar leti hai unki ovary mai vapas ande banana shuru ho jata hai.
Lifestyle
- Inn dino jyada kaam ke chakkar mai tanav aur chinta adhik rahti hai. Iss chakkar mai ladkiya apne khane- peene ka khayal nahi rakti hai.
- Saath hi late night party mai drink aur smoking unki life style ban jati hai, jo baad mai bada nuksaan pahuchahti hai. Isliye apni dincharya ko sahi kijiye aur swasth rahiye.
Vese PCOS ko theek kiya ja sakta hai. Agar hormone ko balance kar liye jaye to yeh apne aap hi theek ho jayega. Aajkal ki ladkiyo ko khel mai bhag lena aur khub sara vyayam karna chahiye. Iske alawa apne khan pan mai sahi aahar lena chahiye. To fir aaiye ab hum aapko batate hai, PCOS Treatment in Hindi aur sahi aahar jo aapko iss bimari se bacha sakta hai. Kyoki sahi aahar aapko iss bimari se hamesha ke liye bacha sakta hai.
PCOS (Polycystic ovary syndrome) Se Bachne Ke Upaye
Salmon Fish
- Iss fish mai omega 3 fatty acid hota hai, jo ki glycemic index mai kam hota hai.
- Yeh na kewal dil ki bimari balki mahilao mai androgen hormones ko bhi theek karta hai.
Salad
- Hari pattedar sabjiya poshtik hoti hai. Insulin pratirodh PCOS ka ek aam karan hota hai.
- Isliye apne aahar maisalad pattedar sabjiyo ko shamil kihiye.
Barley
- Yeh sabut anaaj glycemic index mai kam hota hai aur low GI insulin ko badane se rokta hai aur PCOS se ladta hai.
- Isliye rozana apne aahar mai barley ko shamil kijiye.
Daal Chini
- Yeh masala sharir mai insulin level ko badane se rokta hai aur motape ko bhi kam karta hai.
- Aap chahe to iska sevan pani mai bhigo kar bhi kar sakte hai.
Broccoli
- Iss hari sabji mai vitamin hote hai, kam calorie aur kam GI bhi hota hai. Ise har mahilao ko khana chahiye.
- Iske sevan se mahilaye kabhi bhi iss bimari se pareshan nahi hoti.
You may also like:- Broccoli Benefits: Isme Chupe Hai Swasth Sehat Ke Raaz
Mushroom
- Low calorie aur low GI ke guno se bharpur mushroom aapke liye bahut faydemand hota hai.
- Isliye har mahila ko iska sevan karna chahiye. Agar aapko ovary mai cyst ho to iska sevan aapko bahut fayda pahuchayga.
Tuna
- Tuna fish bahut poshtik hoti hai aur usme bahut sara omega 3 fatty acid aur vitamin paya jata hai, jo ki PCOS se ladta hai.
- Isliye expert ka kahna hai ki, iss bimari se grasit mahilaye agar iska sevan kare to usko jaldi aaram milenga.
Tamatar
- Isme Laikopain hota hai, jo wait kam karne mai aur iss bimari se ladne bhi help karta hai.
- Isliye aap isko apne aahar mai jarur shamil kijiye.
Shakarkand
- Agar aapko meetha khane ka mann kare to aap iss kam GI wale khadya padarth ko kha sakte hai.
- Jisme ki shakarkand ka naam aata hai. Aap iska sevan roz kar sakte hai.
Anda
- Yeh poshtik hota hai. Isliye ise jab bhi ubal kar khaye to iske peele bhag ko nikal de kyoki yeh heart ke liye kharab hota hai.
- Isme high cholesterol hota hai. Jisse ki kai bimari ka hone ka dar hota hai.
Dudh
- PCOS Treatment ke liye calcium ki bharpur matra lena bahut jaruri hai. Jo mahilaye PCOS se lad rahi hai unhe calcium ki jarurat hoti hai.
- Calcium ki sahi matra ande ko paripakvata karne mai, andashaye ko viksit karne mai aur haddiya ko majboot banane mai madad karta hai. Isliye har mahilao ko rozana 2 gilaas dudh bina fats ka pina chahiye.
Dahi
- Yeh na keval calcium se bhara hota hai balki yeh mahilao ke mutrashay path mai sankramnd se ladne mai bhi madad karta hai.
- Isliye apne bhojan mai rozana dahi ka sevan kare.
Palak
- Isme bahut kam calories hoti hai aur yeh ek super food ke naam se jana jata hai.
- To aaj se ise kahiye aur PCO ko dur bhagaiye.
Mulethi
- Yeh ek herb upchar hai, jise khane se mahilao ke sharir mai purush hormone kam hone lagta hai aur PCOS se suraksha milti hai.
- Yeh mahilao ke liye har prakaar se laabhdayak hota hai.
Watch this Video
PCOS ka Ilaj
Doctor ke anusar, hormone dawao ki madad se iss bimari se chutkara paya ja sakta hai. Ovulation induction bhi ek tarika hai. jisme dawa ki madad se hormone balance kiya ja sakta hai. Iske alawa sabse modern treatment Laparoscopic hai. Isme ovary se cyst bahar nikal jata hai.
Isme abnormal ovary ke tissue ko hata diya jata hai. Lekin iska sabse bada nuksaan yeh hai ki, ye sugery theek se nahi hone par dobara cyst banane ki ashanka hoti hai.
Upar aapne PCOS (Polycystic ovary syndrome) ke baare mai jaruri baate jani. To bas der kis baat ki iss bimari ke karno ko pahchankar jaldi iska ilaj karvaiye aur swasth rahiye. Apnaiye PCOS Treatment in Hindi aur rahiye swasth.
PCOS se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.