Peanut Burfi Recipe in Hindi: Mungfali Ki Swadhisht Mithai
Thand ke dino mai din bhar kuch na kuch khane ka man karta rehta hai. Aese mai bahut se log bahar milne wale wafers khate rehte hai. Saftah mai ek do din ki baat hai to inhe khane mai koi burai nahi hai lekin roj roj inhe khana accha nahi hai.
Iss tarah ke khane se motape jaisi bimariya badhti hai sath hi inhe khane ka koi fayda bhi nahi hai. Isliye aapko apne ghar mai hi kuch aesa bana lena chahiye jo banane mai bhi aasan ho aur khane mai bhi swadhist.
Aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Peanut Burfi Recipe in Hindi. Yeh dish banane mai bahut hi aasan hoti hai. Ham aapko yeh bhi bata de ki mungfali mai carbohydrate paya jaata hai jo ki sehat ke liye accha hota hai. Isliye aap ise roj bhi kha sakte hai. Ise banane ke liye aapko jyada samagri ki jarurat bhi nahi padhti hai. To aaye jante hai ise kaise banate hai.
Peanut Burfi Recipe in Hindi: Ghar Par Banaye Sabko Khilaye
Jo log ghar mai baithe baithe bahut bore ho gaye hai aur kuch naya banana sikhna chahte hai wo bhi yeh dish sikh sakte hai. Aur khas baat yeh hai ki iske liye aapko market ke chakkar bhi nahi katne padenge. Kyoki mungfali har kisi ke ghar mai moujud hoti hi hai. Aur yadi aesa nahi bhi hai to yeh aapko ghar ke aaspas ke kisi bhi kirane ki shop par aasani se mil jayegi.
Mungfali ko dry fruit bhi kaha jata hai to aap khud hi sochiye ki yeh sehat ki dhrsti se kitni faydemand hogi. Aap ise kisi vishesh avsar par bhi bana sakte hai.
Jaruri Samagri
Mungfali Dane | 250 gram |
Dudh | Aadha Katori |
Shakkar | 200 gram |
Desi Ghee | 25 gram |
Nariyal Bura | 50 gram |
Kaju | 200 gram |
Kesar Ke Dhage | 10 se 15 |
Ise Banane Ki Vidhi:-
- Mungfali ke dano ko kadhai mai bhun le. Dane thande hone ke bad unhe masalkar chilke alag kar le.
- Jin dano ko aap bhun rahe hai unhe ek bar dekh le, yadi koi dana kadwa ho to use alag kar de.
- Dano ko sekne se pehle kesar ko dudh mai bhigokar rakh de.
- Ab aapne jo mungfali ke dane bhune hai uske se lagbhag 50 gram dane alag nilal de aur bache huye dane mixer mai dardare pees le.
- Kaju ke bhi 8 pees nikal le baki ke mixer mai daradara pees le.
- Fir pisi hui mungfali, kaju aur nariyal ka bura sabhi ko ek bowl mai dale aur acchi tarah mix kar le.
- Ab aapko chasni banana hai iske liye 2 cup pani mai shakkar mila le aur gas par garam karne rakh de.
- Aapko ise tab tak pakana hai jab tak chasni ke do tar nahi bante.
- Ab chasni ke andar mungfali aur kaju wala mishran dal de. Iske sath hi dudh bhi isi mishran mai dal de aur saari samagri ko acche se mila le.
- Ek thali mai ghee dalkar use puri thali mai acchi tarah se faila de. Aesa karne se mishran thali mai chipakta nahi hai.
- Ab mungfali ka mishran thali mai dal de aur use barabar karke jama de. Ab job ache huye mungfali ke dane aur kaju aapne alag se nikal ke rakhe hai unhe burfi ke upar dale aur halke hatho se daba le.
- Ise thani hone ke liye chod de. Fir baad mai ise aap manchahe aakar mai kaat kar pees kar le.
- Garnishing ke liye iss par kishmish aur piste ke tukde daal sakte hai.
- Aapki mungfali ki swadhist burfi taiyar hai. Iss indian sweets ko kisi bhi mouke par kha sakte hai.
Peanut Burfi Health Benefits – Sehat Ke Liye Bhi Faydemand
- Mumfali Ki Barfi swad ke hi nahi sehat ki dhrsti se bhi faydemand hai. Isliye ham aapko iske kuch fayde bhi batana chahte hai.
- Mungfali mai bharpur matra mai energy hoti hai (567 calories per 100 g).
- Isme kai faydemand nutrients, minerals, antioxidants aur vitamins moujud hote hai jo sehat ke liye jaruri hai.
- Mungfali protein ka uccha strot hai. Ise lene se aapke nakhuno aur balo mai chamak aati hai.
- Isme poly-phenolic antioxidants moujud hota hai jo carcinogenic nitrosamines ke nirman ko kam kar stomach cancer ke khatre ko kai had tak kam karta hai.
Upar aapne jana Peanut Burfi Recipe in Hindi. Aap iss burfi ko air tight dibbe mai rakhkar 15 dino tak istemal kar sakte hai. Yeh kharab nahi hoti hai. Chote bacche hamesha kuch na kuch khane ki jid karte hai, aap unhe ye de sakti hai. Isse sehat ko nuksan nahi balki fayda hai.Mehmano ko parosne ke hisab se bhi yeh acchi hai.