जानिए बवासीर का घरेलू उपचार – Bawaseer Treatment in Hindi
Bavasir ko English me Piles ke naam se jana jata hai. Ye bimari malashay ke aaspas naso ki sujan ke karan viksit hota hai. Yeh bimari sharirik pida ke saath mansik pida bhi deta hai. Lekin Bawaseer Treatment in Hindi ke dwara aap iss bimari ko theek kar sakte hai.
Bavasir ko pehchana bahut hi aasan hai. Maltyag ke samay malashay me atyadhik pida aur iske baad khoon aana, khoojli, khoon ki kami hona, chakkar aana, bhuk nahi lagna ye sab iske aam lakshan hai. Hum iss bimari ko Home Remedies for Piles ki madad se theek kar sakte hai aur isse hone wale dard se rahat paa sakte hai.
Types of Piles: Bawaseer ke Prakar
Bavasir 2 prakar ki hoti hai, vo hai:
1) Internal bawaseer
2) External bawaseer
Home Remedies for Piles: Bawaseer Treatment in Hindi
- Khooni Piles me nimbu bich me se katkar usme lagbhag 4-5 gram kattha piskar daal dijiye. Inn dono tukdo ko raat me terries par khula rakh dijiye. Subah uthkar dono ko kha lijiye. Iss prayog ko 5 din tak roz kijiye aur dekhiye aapke piles me fayda.
- Neem ke chilke sahit nimbori ke powder ko pratidin 10 gm roz subah raat me rakhe pani ke saath sevan kijiye, isse aapko bahut fayda hoga. Lekin dhyan rakhe ki, inn Home Remedies for Piles ko apnate waqt har chiz me desi ghee ka use hona chahiye.
- Khooni Bavasir me khoon ko rokne ke liye10 se 12 gm dhune hue kale til ko taaza makkhan ke saath lijiye. Isse khane se bavasir me khoon aana band ho jata hai.
- Jeere ko piskar masso par lagane se fayda milta hai, iske saath hi jeere ko bhunkar mishri ke saath milakar chusne se fayda milta hai.
- Aawla pet ke liye bahut hi faydemand hota hai. Bavasir ki samasya hone par aawle ke churna ko subah-sham shahad ke saath pine se fayda hota hai.
- Dudh ka taaza makkhan aur kaala til lagbhag ek gram, dono ko milakar khane se fayda hota hai.
- Har roz dahi khane se bavasir hone ki sambhavna kam hoti hai aur piles me fayda bhi hota hai.
- Rat ko 100gm kishmish pani mai fulne ke liye rakh de, aur subah mai jis pani mai kishmish ko fulaya hai usi pani mai kishmish masal le aur uska sevan kare. Kuch din lagatar iska sevan karne se bavasir mai kafi fayda milta hai.
- 50 gm elaichi ko lekar gas par bhun le, jab elaichi thandi ho jaye to use pees le. Har din iss churan ka niyamit rup se sevan karne par piles ki samasya se nijat mil jayega.
- Piles ke rog mai kela bahut faydemand hota hai. Aap chahe to khana khane ke bad ya subah subah khali pet iska sevan kar sakte hai. Isse bavasir ki bimari mai ho rahi jalan mai kafi rahat milegi.
- Aleo vera mai jalan rodhi gun hote hai jo piles ki bimari se jaldi nijat dilane mai sahayak hote hai. Aleo vera ki pattiyo ko tod kar fridge mai rakh le aur jab yeh acche se thandi ho jaye to prabhavit hisse par ise lagaye.
- Aam ke beej ko dhup mai sukha le aur usko pees kar uska powder bana le. Iske bad ek bartan le tatha usme barabar matra mai aam ke beej ka powder aur shahad dale aur iska sevan kare.
Bavasir bahut hi pidadayak rog hai. Iska dard ashaniya hota hai. Try kijiye humare Home Remedies for Piles, jisse aapko kafi had tak madad milegi.
Agar Bawaseer Treatment ka prayog karne ke baad bhi bavasir thik nahi hota hai to aap turant acche doctor se sampark kare.