Purusho Mai Potassium ki Kami aur Hot Flash Mai Sambandh
Hot Flash ko aksar mahilao ke menopause ke saath jodkar dekha jata hai, lekin apne jivan mai purusho ko bhi iska samna ek baar karna padta hai. Aisa bhi kaha jata hai ki purusho ke sharir mai pottasium ki kami hone ke karan bhi aisi samasya ho sakti hai. To aakhir kya hai iske piche ki vastvikta aur iske piche ka bhram.
Mahilao mai hot flash menopause ka sabse pramukh lakshan mana jata hai. Ab kyuki purusho ko menopause se nahi gujarna padta hai, to aakhir unhe hot flash ka samna kyu karna pade yeh sawal jehan mai jarur aata hai. Iss bare mai kai theory hai.
Inme se ek ke mutabik jab purusho ke sharir mai potassium ki matra kam ho jati hai, tab unhe aisi samasya ka samna karna padta hai. Lekin kya yeh baat puri tarah sach hai.
You may also like:- Janiye Menopause Symptoms and Treatment in Hindi
Hot Flash se Judi Kuch Khaas Baate Janiye
Potassium ki kami ke karan purusho ko hot flash ka samna nahi karna padta hai. Darasal, hot flash ko mukhya roop se mahilao mai female hormone ki kami se jodkar hi dekha jata hai. Yeh hormone hypothalamas ko prabhavit karta hai.
Yeh mastishk ka wah hissa hota hai, jo sharir ke tapman ko niyantrit karta hai. Purusho ko bhi hot flash ka samna karna pad sakta hai, lekin jesa kaha jata hai ki iska sambandh potassium se hai, sach nahi hai. Balki purush sex hormone ke karan unhe aisi samasya ka samna karna pad sakta hai.
Testosterone ke Level mai Giravat:
40 ki age par pahuchne ke baad purush mai testosterone ke level mai ek pratishat prati varsh ki dar se giravat aane lagti hai. Lekin samay ke saath-saath testosterone kam hone ki yeh gati madhyam pad jati hai. Aur purusho mai testosterone girna kam ho jata hai, aise mai unhe hot flash ka samna nahi karna padta hai.
Iska arth yeh nahi ki purusho ko bhi hot flash ka samna nahi karna padta, lekin unhe aisa hone ki sambhavna bahut kam hoti hai. Hot flash ke adhik mamlo ka sambandh prostate cancer ke ilaj se hota hai. Kuch purusho ko androgen derprivation therapy se gujarna padta hai, jo testosterone ke level mai giravat ka karan ban sakti hai aur iska asar hypothalamus par padta hai.
Lakshan:
Puruhso mai hot flash ke lakshan wahi hote hai jo mahilao mai hote hai. Bahut adhik pasine ke saath heat waves aur twacha ko nistabdh karne wali ek sansani ki shikayat ho sakti hai. Haward Medical School ka kehna hai ki iss douran puruso ko heart palpitation aur chidchidepan ki shikayat bhi ho sakti hai.
You may also like:- Paiye Mardana Kamzori ka Ilaj in Hindi aur Rahiye Swasth
Jab sharir badalte hormone level ke saath taalmel baithane lagta hai, to iss tarah ke lakshan ho sakte hai. Lekin kai purusho ko apne hot flash ka ilaj karwane ki liye chikitsiya sahayta ki jarurat padti hai.
Ilaj:
Agar aapko bahut tez heat waves ka samna karna pad raha ho aur aapke liye yeh kaam mushkilo bhara ho raha ho, to jaruri hai ki aap doctor se mile. Doctor aapki iss samasya ko dur karne ke liye dawai sujha sakta hai. Vitamin aur potassium jese mineral aapke liye adhik faydemand sabit nahi hoge. Serotenin avarodhak ki madad se purusho ko apni stithi mai laabh hota nazar aa sakta hai.
Inke aapko iss paristhiti ke karan paida huye avsad se chutkara pane mai bhi madad mil sakti hai. Apne doctor se baat kare aur janane ka prayas kare ki aapke liye kis prakar ki dawa adhik faydemand hogi.
Halaki potassium ki kam matra hot flash ka karan nahi banti, lekin isse kabj, kamjori, thakan, heart gati ki aniyamitata aur mashpeshiyo mai aithan jesi shikayat hi sakti hai. Kuch gambhir mamlo mai potassium ki kami ke karan paralysis bhi ho sakta hai.