Power Yoga in Hindi – Fit aur Motapa Rahit Sharir Paye
Aaj kal dinbhar ki vyast dincharya mai hum apne swasthya ki aur bilkul bhi dhyan nahi de pate hai. Jiska natija yeh hai ki pahle vyakti budha ho jane par bimariyo se grast rahta tha, jabki aaj ki yova pidi kisi na kisi rog se pidit rahti hai. Phir wo chahe sharirik dard ho ya anya koi rog.
Aaj har vyakti fir dikhna chahta hai, jiske liye log mahange jim se lekar subah-subah garden mai chakkar lagate huye aasani se najar aa jayenge. Lekin agar aapko samay aur paisa dono bachakar apne swasth behtar banana hai, to idhar-udhar jane ki bajaye Power Yoga kijiye.
Power Yoga Bollywood aur Hollywood dono mai hi bahut adhik lokpriy hai. Adhiktar actor aur actress samay ki vyastata ke chalte apne sharir ko fit rakhne ke liye iski madad lete hai. Yeh thoda-thoda aerobics ki tarah hota hai, jisme movement thode fast hote hai.
Humari jivanshelly aaram dayak ho gayi hai, aajkal har kaam hum ghar baithe-baithe ek hi sthan se hi kar lete hai. Jiska parinaam yeh hai ki dhire-dhire hum log badte vajan aur motape se bhi grasit hone lage hai aur agar ek baar sharir mai motapa bad jata hai to use sahi shape mai lane pana mushkil hota hai. Lekin iske liye sabse accha upay hai power yoga. Aaiye jante hai Power Yoga in Hindi–
Power Yoga in Hindi: Kam Samay Mai Paye Fit Sharir
Power Yoga samanya yoga se thoda alag hai, isme paramparik yog ki manayatao ka palan bhi nahi karna hota hai aur na hi isme adhik samay lagta hai. Ise karne mai adhik se adhik 45 minute ka samay lagta hai. Iss yog ko pratidin karne ki bhi avashyakta nahi hai, saptah mai keval 2 ya 3 din bhi agar aap ise karte hai to aap bhi any logo ki tarah perfect aur figure wala sharir pa sakte hai. Iski ek khasiyat yeh bhi hai ki ise subah ke samay hi karna jaruri nahi hai, aap ise apne free samay mai kabhi bhi kar sakte hai. Bas itna dhyan rakhe ki ise khali pet ya khana khane ki teen se 4 ghante baad hi iska abhyas kare.
You may also like:- Jane Yoga for Fitness in Hindi aur Paye Aakarshak Sharir
Power Yoga Kya Hai
Iss yoga ki shuruvaat 1990 mai hui thi aur tab se lekar aaj tak yeh yog kriya desh, videsh mai bahut lokpriya ho chuki hai. Power Yoga ko surya namaskar ke 12 aasano aur kuch anya yogasano ko milakar banaya gaya hai. Yeh samanyatah ashtang yoga ki tarah hi kiya jata hai, lekin yeh sadharan yoga se thoda bhinn hai.
Bhartiya yog se prabhavit hokar pashchimi desho ne yoga ko apna to liye lekin samay ki kami chalte unhone ise apne anusar thoda modified kar diya. Unhone keval utne hi steps rakhe jitney unke liye jaruri lage. Unhone ise tej aur dynamically shelly mai karna shuru kiya isiliye ise Power Yoga Naam diya gaya.
Iss yog ko karne ke liye athletic kriya ka prayog kiya jata hai, jisme sanso ki gati badne se jayada adhik jor shakti aur lachilepan par diya jata hai. Power Yoga mai vyakti ke sharir ke aadhar ke anusar vibhinn prakar ke vyayam ko kiya jata hai. Yeh keval kisi yogya shikshak ki upasthiti mai hi karna chahiye. Isme mool roop se char tarah ki sharirik aasan aate hai. Jinme Apple ke aakar ki mudra, Piyar ke aakar ki mudra, samanya mudra aur tube ke aakar ki mudra parmukh roop se shamil hai. Tube mudra ko aadhunik yug mai zero figure bhi kaha jata hai. Power Yoga mai sabhi kriyaye bahut teji se aur bina ruke ki jati hai. Jisse sharir ki calorie burn hota hai aur bahut adhik pasina aata hai.
Power Yoga aur Paramparik Yoga Mai Antar
Power Yoga sharir ko fit rakhne ke liye kiya jata hai jabki paramparik yog man ki shanti aur jivan ko sudrad banana mai sahayak hota hai. Power yoga ko keval acche sharir aur figure ko banaye rakhne ke liye kiya jata hai, jabki samanya yoga fitness ke sath sath sundarta, sayam aur sharirik tatha mansik tanav se mukti ke liye kiya jata hai. Dono yogo ka apna alag mahtv hai aur dono hi kisi na kis tarah se humare sharir ke liye faydemand hai.
Power Yoga Benefits in Hindi: Janiye Iske Labh
Power Yoga kis-kis prakar se humare liye faydemand hota hai. Aaiye jante hai Power Yoga Benefits in Hindi–
Atirikt Charbi Kam Kare
Agar aap apne sharir ki charbi kam karna chahte hai aur ek aakarshak figure pana chahte hai to Power Yoga for Weight Loss in Hindi ko apnaye. Yeh sharir mai jami huyi charbi ko kam karta hai aur body ko sudol banata hai. Yeh workout jaisa hi hota hai, isme pasina adhik nikalta hai. Saptah mai kam se kam 3 baar power yoga ka abhyas jarur karna chahiye. Isme sharir ki calorie ko kam karne ki shamta bahut adhik hoti hai. Jisse aasani se motape ko kam karke sharir ko akarshak banaya ja sakta hai.
You may also like:- Yoga for Obesity in Hindi: Motape Se Paye Nijad
Tanav Dur Kare
Power Yoga bhi yog ka hi ek tarika hai. Yeh bhi tanav ke star ko kuch had tak kam karta hai. Ise sharir se adhik pasina aata hai jo sharir ko nuksaan pahuchane wale toxins ko bahar nikalta hai. Jisse sharir santulit rahta hai aur akagrata badti hai. Yeh sharir ko chust-durust banata hai.
Rog Pratirodhak Shamta Badaye
Power Yoga karne se sharir mai khoon ka sanchar badta hai. Sath hi yeh rog-pratirodhak shamta ko bhi badata hai, pratirodhak tantra anek bimario jaise asthma, madhumeh aadi ko jad se mita deta hai.
Anya Labh
- Yeh kam samay mai sharir ko fit bana deta hai.
- Sharir ka stamina, takat aur lachilapan badata hai.
- Ise karte samay pasina aata hai aur sharir se sari gandgi nikal jati hai.
Kya Power Yoga Anya Cardio se Behtar Hai
Agar aap pratidin 1 ghante power yoga karne se sharir ki 200 calorie burn hoti hai. Wahi dusre vyayam jaise aerobics, swimming aur jogging karke 1 ghante mai 300 se 400 calorie tak jal jati hai. Lekin power yoga aapke sharir ko acchi tarah tone karta hai, vo bhi sharir ke kisi hisse ko bina joe diye. Iske abhyas se sharir ki haddi aur muscles par koi bura prabhav nahi padta hai. Isme sharir ki calorie ko jalane ki shamta badti hai, jisse aasani se sharir ke motape ko kam karke akarshak shape diya ja sakta hai.
Power Yoga for Weight Loss in Hindi: Vajam Kam Karne Ke liye Yog
Dhanurasan – Bow Pose
Iss asan ko karne ke liye sabse pahle pat ke bal samtal jamin par let jate hai. Iske baad ghuto ko modte huye adiyo ko kulho se lagane ka prayas karte hai tatha pero ke thakhno ko hatheliyo se pakadte bhai. Ab pero ko piche ki aur khiche tatha inhe kulho ke upper rakhne ka prayas kare. Kuch samay iss avastha mai rahe aur samanya sthiti mai aa jaye. Iss asan ke ant mai sans chodte huye pero aur sar ko jamin par wapas le aaye.
Dhanurasan ke niyamit abhyas se pet ki charbi aur motapa kam karne mai madad milti hai. Yeh malbadhta, ajirn aur pachan se sambandhit rogo ko bhi dur rakhta hai sath hi pachan pranali ko bhi majbut banata hai.
Bhujangasan – Cobra Pose
Bhujangasan karne ke liye ulte hokar pith ke bal let jaye, thodi ko farsh par rakhe aur kohniya kamar se laga kar rakhe tatha hatho ki hatheliyo ko upper ki aur rakhe. Ab kohniyo ko mode aur hatheliyo ko baju se niche rakhe. Phir thodi ko gardan se dabate huye mathe ko jamin par rakhe. Ab naak ko halka sa jamin se lagate huye sar ko upper uthaye. Iske baad jitna aap sar aur chati ko piche leja sakte hai utna piche ki aur le jaye, lekin nabhi ko jamin se lagakar rakhe. Kuch samay tak iss sthiti mai rahe aur baad mai sans ko chodte huye dhire-dhire sar ko niche lakar mathe ko jamin par rakhe.
Yeh aasan ridd ki haddi ko majbut aur pith mai lachilapan lata hai. Isse pet ki charbi ghtane mai madad milti hai aur pachan pranali bhi majbut banati hai. Aayu badne ke karan pet ke niche ki twacha ko dhila hone se bhi rokta hai.
Motapa aur badta vajan ek samanya samasya hai isse ghabrane ki jarurat nahi hai. Sahi samay par agar aap iska upchar karte hai to aap isse mukti pa sakte hai, isliye Power Yoga in Hindi ko apnaye aur perfest fitness paye.