Fracture Ho Jane Par Jarur Barte Yeh Savdhaniya
Haddi ke tutne ko bone fracture ya simply fracture kaha jata hai. Haddi ke tut jane ke piche kai karan ho sakte hai, jaise ya to koi accident, jhatka lagna, gir jana ya kisi karan se haddi par dabav padhna.
Haddi ke tutne aur chitakane ko fracture kehte hai. lekin kai bar chot lagne par haddi jagah se khisak jati hai. Ise bhi log fracture kehte hai. lekin asal mai ise Dislocation of bone kaha jata hai.
Haddi tutne ya khasakne dono hi stithi mai kaafi dard hota hai. Us sthan par sujan bhi aa jati hai. Isliye girne ya accident hone par laparwahi na baratte huye doctor ko turant dikhana chahiye. Doctor aapko aapki stithi ke anusar ya to plaster chadayega ya to fir aapko ise operate karwana padhta hai.
Iske bad bhi aap aaram se chal fir nahi sakte aapko kuch savdhaniya baratni hoti hai. Isliye ham aapko aaj ke lekh mai bata rahe hai Precautions for Fracture.
Precautions for Fracture – Haddi Tutne Se Sambandhit Jankari
Fracture hone par kya savdhaniya baratni chahiye, yeh janne se pehle kyo na ham fracture hone ke lakshano ko bhi jaan le.
Fracture Symptoms – Iske Lakshan
- Dabav padhne par tej dard hona ya aese hi tej dard hona
- Movement karne par pareshani hona, akada akada sa lagna
- Prabhavit jagah par sujan aa jana
- Aakar ka pehle se badala hua dikhna
- Fracture wali jagah ka kaam karna puri tarah se band kar dena
Fracture Precautions:-
Fracture kis jagah hua hai aur kis type ka hai, uska upchar bhi isi baat par nirbhar karta hai. Isliye ham aapko kuch basic savdhaniyo ke bare mai bata rahe hai:-
Jald Se Jald Doctor Se Mile
Fracture ka sandeh hote hi jald se jald doctor se milna chahiye. Wakt par dikhake aap kai pareshaniyo se bach sakte hai.
Fracture Ko Jyada Hilaye Dulaye Nahi
Agar haddi tutne ki stithi mai doctor ne aapko plaster chadaya hai to uss ang ko sthir rakhe. Varna plaster apna kaam thik se nahi kar payega.
Fracture wale sthan ko hilana dulana nahi hota hai isliye aap doctor se acchi tarah puri jankari le ki aapko kitne din aaram ki aavshyakta hai.
Takiye Ki Madad Se Upar Rakhe
Aapko jis bhi jagah plaster laga hai chahe hath ho ya pair us jagah ko takiye ki madad se thoda upar rakhna chahiye. Isse aapke sharir mai rakt ka sanchalan sahi se bana rehta hai.
Nukili Chiz Se Khujli Na Kare
Bahut se logo ko plaster lagne ke bad uss jagah khujli aadi hoti hai. To khujlane ke liye galti se bhi kisi nukili chiz ka istemal karne ki koshish na kare, nahi to aapko plaster ke andar infection ho sakta hai jisse aapki pareshani badh sakti hai.
Man Se Plaster Nahi Nikale
Kabhi bhi bina doctor se puche apne hi man se plaster ko naa kate. Samay se pehle aesa karne par aapki haddi tut ya mud sakti hai.
Bina Doctor Ki Raay Ke Sikai Na Kare
Bahut se log fracture hone par aaspas sikai karne lagte hai. lekin iske liye pehle doctor se raai le. Bina puche sikai karne se haddi ko nuksan pahuch sakta hai.
Ungaliyo Ko Chalate Rahe
Plaster ke baad apne ungaliyo ko thoda bahut hilate rehna chahiye. Aesa na karne par kai baar yeh ang sunna padh jate hai. Ungaliyo ko kitna hilana hai iss bare mai aap apne doctor se ek bar jarur punch le.
Man Se Kuch Bhi Na Kare
- Yadi plaster ke aaspas ki jagah kali padh jati hai to jald se jald doctor ko dikhaye. Apne man se gharelu upchar na aajmaye.
- Bahut se aese log bhi rehte hai jo kehte hai ki bina operation ke bhi haddi jud jati hai. Aese logo se dur rahe aur chikitsak ki salah se hi treatment kare.
Sahi Aahar Hai Jaruri
Bahut se log sochte hai ki unki haddi jald se jald jud jaye, lekin iss process mai wakt lagta hai. Apne aahar mai calcium aur nutrients ko dalkar aap haddi judne ki prakriya ko badha sakte hai.
- Haddiyo ke vikas aur ilaj ke liye calcium sabse jyada mahatvapurn hai. Isliye tuti hui haddi ko jodne ke liye calcium ka sevan jyada se jyada kare.
- Dudh aur dudh se bani hui chize jaise dahi, paneer mai acchi matra mai calcium hota hai.
- Hari pattedar sabjiyo mai bhi calcium ki acchi matra hoti hai. Palak accha vikalp hai.
- Aese aaharo ka bhi sevan kare, jinme vitamin d ki acchi matra ho. Vitamin d haddiyo dwara calcium ko absorb karne mai madad karta hai.
- Broccoli mai acchi matra mai vitamin k1 hota hai, yeh aapke sharir mai haddiyo ke swasth ke liye acchi hoti hai. Apne khane mai ek bowl broccoli ko shamil karke aap haddi judne ki prakriya mai madad milti hai.
Upar hamne jana Precautions for Fracture in Hindi . Yadi aapke pariwar ya dosto mai kisi ko fracture hua hai to upar di gayi jankari ki salah de.