Puran Poli Recipe in Hindi – Lokpriya Maharashtrian Vyanjan

Puran poli ka naam sunkar hi muh mai pani aa jata hai kyoki yeh khane mai bahut swadisht hoti hai. Vaise to puran poli maharashtra ki prasiddha dish hai parantu bharat ke har ghar mai ise bade hi shok se khaya jata hai.

Iss swadisht dish ke shokin sirf bacche hi nahi balki bade aur budhe bhi bada luft utha kar ise khate hai. Vaise to puran poli kai prakar se banai jati hai parantu chane ke dal wali puran poli sabse jyada banai aur khai jati hai.

Isko aap 2 se 3 din tak rakh sakte hai aur kha sakte hai. Yeh jaldi kharab nahi hoti hai. Tatha ise kisi bhi tyohar par banaya ja sakta hai. Ise banane ke liye padhe Puran Poli Recipe in Hindi.
 

Puran Poli Recipe in Hindi – Ghar Par Banaye aur Khaye

 
Puran Poli Recipe in Hindi
 

Puran Poli Banane Ke Liye Samagri:- 

 

Aata Guthne Ki Samagri

  • 350gm gehu ka aata
  • 2 chhoti chammach ghee ya tel
  • Namak swadanusar

 

Puran Banane Ke Liye Samagri

  • 150gm chana dal
  • 50gm gud
  • 8 se 10 elaichi
  • ½ cup ghee ya tel

 

Puran Poli Banane Ki Vidhi

  1. Yadi aap How to Make Puran Poli ke bare mai janna chahte hai to yaha dekhiye:-
  2. Sabse pehle chane ki daal ko kam se kam 4 se 5 ghante ke liye bhigo kar rakh de. Ab ek bartan mai aate ko chhan le aur usme 2 chammach ghee dale sath hi namak bhi dale aur sabko acche se mila le.
  3. Iss mile huye aate ko gungune pani ki sahayata se guth le, jab aata guth jaye to use 20 minute ke liye dhak kar rakh de. Tab tak aap bhigi hui daal ko cooker mai dale tatha 1/3 cup pani dalkar ubalne ke liye rakh de.
  4. Jaise hi cooker ki ek citi aa jaye cooker band kar de, daal ko cooker se nikale aur use thanda hone ke bad mixer mai barik pees le dhyan rakhe isme pani na dale saur sidhe pees le.
  5. Ab kadhai mai 1 chhoti chammach ghee dale aur use garam hone de, jab ghee garam ho jaye usme pisi hui daal dale iske sath hi gud bhi dal de. Iss mishran ko 5 minute tak bhune jab tak gud pighal jaye, jaise hi mishran acche se mix ho jaye usme elaichi peeskar dal de aur ek thali mai nikal le.
  6. Aapka puran taiyar hai. Ab guhte huye aate ki loi banakar kar use pudi ki aakar mai bel le aur usme 2 chammach puran ko bhare tatha charo taraf se band kar de aur loi jaisa aakar de.
  7. Iss loi ko sukhe aate mai lapetkar fir se belan se puran poli ko bel le. Tawe ko garam kare jaise hi tawa garam ho jaye bani hui puran poli ko tawe par dale aur dono taraf ghee lagakar acche se sek le.
  8. Jab puran poli halki bhuri rang ki karari ho jaye ise tawe se utar le. Iss tarah bache huye pure aate ki puran poli bana le aur unhe seke.
  9. Aapki garma garam puran poli taiyar hai. Ise aap chatni acchar ya sabji ke sath paros sakte hai. Iss bani hui puran poli ko khane ke bad aapke ghar wale aapke fan ho jayega aur sath hi aap ghar ki best cook kehlayengi. Iske alawa aap chahe to puran poli ke sath ghar mai aaye mehmano ko kheer bhi paros sakti hai.

 

Iske Sath Banaye Chawal Ki Kheer

Jaruri Samagri

  • ½ cup chawal
  • 1kg dudh
  • 5 se 6 elaichi
  • 100gm chini
  • 50gm sukhe meve

 
Kheer banane ki Vidhi

  1. Sabse pehle chawal ko dho kar kuch der pani bhigo kar rakh de. Iske bad dudh ko gas par maddhi aanch mai ubalne ke liye rakhe, jaise hi dudh mai ubal aaye bhigo huye chawal dudh mai dale aur ise maddhi aanch par chammach se 2 se 3 minute chalate rahe.
  2. Jab chawal mulyam ho jaye to usme sukhe meve aur elaichi dale. Jab aap dekhenge chawal acche se ban gaye hai to usme chini dale tatha kuch der aur kheer chalaye. Iske bad kheer ko gas se utar le aapki chawal ki kheer taiyar hai ab ise puran poli ke sath serve kare.
  3. Kheer banane mai kam se kam 1 ghante ka samay lag jata hai.  Aap chahe to ise garama garam bhi paros sakte hai ya fir ek din pehle banakar fridge mai rakh de. Bani hui kheer thandi ho ya garam jaisi bhi khyayenge swadisht hi lagegi.

 
Upar aapne jana Puran Poli Recipe in Hindi. Aapko ya aake pariwar ko jab bhi kuch mitha khane ka man ho ise aap kheer ke sath jarur khaye.

Loading...

You may also like...