Sandalwood Benefits for Skin in Hindi: Twacha ke liye Chandan

Chandan ka naam aap sabhi ne suna hoga.  Iska istemal mandiro mai pooja ke wakt kiya jata hai. Yeh dharmik anushthano mai bhi kaam aata hai. Iski sugandh vatavaran ko pavitra kar deti hai. Aajkal to pooja mai jalne wali agarbatti bhi chandan se banai jati hai.

Angreji mai chandan ko sandalwood ke naam se jana jata hai. Chandan ka ped kaafi bada hota hai, iske paido ki lakdiyo ko katkar iska istemal kiya jata hai. Puja path ke atirikt iska istemal sundarta badhane ke liye bhi kiya jata hai.

Darahsal chandan mai kai antibiotic tatva moujud hote hai jisse yeh hamari twacha ki raksha karta hai. Chandan ka istemal to purane jamane se hi  mahilaye apna rang-roop nikharne ke liye karti aa rahi hai. Kai mahilaye ghar par hi chandan ka face bana kar uska upyog karti hai. Isme bahut acchi khushbu aane ke sath yeh twacha ke kai vikaro ko dur  karta hai. Iske twacha ke liye aur adhik fayde janne ke liye padhe Sandalwood Benefits for Skin in Hindi.
 

Sandalwood Benefits for Skin in Hindi: Paye Khubsurat Twacha

 
Sandalwood-or-Chandan-for-Glowing-Skin
 
Chandan ke istemal se aapki twacha gori aur komal bani rahegi. Isko kai gharelu upchar mai bhi kaam mai liya jata hai. Chandan ke sath dusri samagriyo ko milakar twacha ke anusaar face pack bana kar lagaya ja sakta hai. Iske bare mai aur jyada jankari ke liye padhe Sandalwood Skin Benefits ke bare mai aur paye nikhri hui twacha.
 

Gulab Se Nikhar Ke Liye

Yadi aap gulab si nikhari twacha chahte hai to chandan ke sath thoda sa gulab jal ka istemal kare. Iss face pack ko banane ke liye chandan ke powder mai thoda sa gulab jal mila le aur sukhne tak rakhe. Baad mai thande pani se chehra dho le. Jab bhi bhahar se aaye iss pack ka istemal kare. Isse aapki twacha ki sari gandagi aur dead skin nikal jayegi.
 

 You May Also Like:- Face Bleaching Benefits – Nikhare Chehre Ka Rang

 

Twacha Ko Komal aur Khilkhila Banaye

Kai logo ki twacha sukhi hoti hai. Ise mulayam aur chamakdar banane ke liye chandan mai dudh aur shahad ko milakar chandan paste bana le aur ise chehre par lagaye. 20 minute rakhne ke bad chehre ko thande pani se dho le. Aisa kuch samay tak kare kuch din mai hi aapki twacha mulayam ho jayegi.
 

Paye Smooth Twacha

Aadha chammach chandan powder aur aadha chammach multani mitti ko mila le aur isme dahi ya fir dudh ki malai mila kar paste bana le aur chehre par laga le. Sukh jane ke bad saade pani se chehre ko saaf kar le.
 

Muhase aur Kale Dhabbo Se Nijat

Chandan powder ko tamatar ras ke sath milakar paste bana le aur iss paste ko muhase tatha dag dhabbe par lagaye niyamit rup se ise lagane par aapke chehre se muhase aur daag dhabbe dur ho jayenge jayenge aur aap payegi damakti hui twacha.

  1. Chandan powder mai thoda sa nimbu ka ras milakar paste bana le isse acne ki samasya puri tarah khatam ho jayegi.
  2. Iske alawa muhaso ko dur karne ke liye chandan powder mai kapoor aur gulab jal milakar muhaso par lagaye. Isse aapko muhaso se chhutkara mil jayega.

 

Twacha Ki Rangat Nikhare

Sandal Face Pack Benefits kai hai. Thoda sa badam powder le aur usme ek chammach chandan powder ko ek sath mix kar le aur usme thoda sa dudh milakar paste bana le. Ab iss paste ko chehre par laga le aur sukhne ke bad sade pani se dho le.

Yadi aapke sharir ka koi bhag kala pad gaya hai to chandan powder mai 2 chamaach badam tel aur 2 chammach nariyal ke tel milakar jaha twacha kali pad gai hai waha laga le. Isko lagane se kalapan dur ho jayega tatha twacha chamakdar banegi.
 

Jhurriyo Se Nijat

Chandan ke powder mai ande ka safed bhag tatha thoda sa shahad milakar face pack bana le. Iss face pack ko chehre par lagane se chehre par padi hui jhurriya mit jayegi aur twacha mai kasav bana rahega.

Twacha mai kasavat ke liye chandan powder mai gobhi ka ras milakar bhi face pack banakar chehre par laga  sakte hai. Yeh bhi chehre ki jhurriyo ko mitane mai sahayata karta hai. Kyuki chandan mai detoxify ke alwa umra ke nishan bhi chupane ke gun hote hai.
 

Suraj Se Jhulsi Hui Twacha

Garmiyo ke din mai tej dhup ki kirno ke karan twacha jhulaskar kali pad jati hai Yadi aap skin tanning ki samasya se pareshan hai to chandan ke sath kheera aur dahi ko milakar lep taiyar kar le. Isko lagane se sun tanning ki nijat mil jayegi aur chandan benefits se aap twacha mai prakaratik nikhar wapas laa payenge.
 

You May Also Like:- Papaya Face Pack in Hindi: Papite Se Nikhare Khubsoorati

 

Damakti Twacha

Yadi aap aapke chehre par chamak lana chahti hai to multani mitti ke powder ke sath chandan ka tel milakar paste bana le aur chehre par lagaye tatha kuch der chehre ko saade pani se dho le. Iss paste ko lagane par chehre ki chamak barkarar rahegi.
 

Sandalwood Oil for Skin: Chandan Tel Bhi Faydemand

Chandan tel mai kai aushdhiya gun hote hai. Jisse twacha mai mojud jivanu ko aasani se hataya ja sakta hai . Inn jivanuo ko hatane ke liye chandan ke tel mai haldi milakar ise laga le aur jaha par bhi muhase hai waha par laga le. Kuch hi dino mai muhase hat jayenge.

Garmiyo ka mousam chal raha hai aur iss mosam mai twacha mai jalan aur allergy ki samasya aksar ho jati hai. Aise mai jaha par bhi aapko twacha mai jalan ho rahi hai waha chandan powder mai chandan ka tel milakar laga le. Iss lep ko lagane se aapko kaafi rahat milegi. Chandan ke tel ko twacha par lagane se twacha ke rashes bhi khatam ho jate hai.
 
Upar aapne jana Sandalwood Benefits for Skin in Hindi. Yadi aap bhi gori nikhri twacha chahti hai to chandan ka istemal jarur kare. Isse kisi tarah ke side effects ka khatra bhi nahi rehta hai.
 

Loading...

You may also like...