Sex Problems: Janiye Purusho Me Hone Waali Kuch Sex Problems
Aajkal ki busy aur tension bhari life ke karan logo ki life me sex problems hona ek bahut hi common baat ho gai hai. Kai bar sex ke dauran kisi wajah se asantusht hone ya sex se aruchi ho jaane se sex life me negative effect hota hai.
Aamtaur par yeh kaha jaata hai ki ladies aksar sex problems ki shikar hoti hai, but aisa nahi hai, gents me bhi aksar tanav ke karan sex problems hoti hai. Vitamin B ke sevan se purush apni sex problems ko kaafi had tak kum kar sakte hai. Aaiye Jante hai kuch Sex Problems in Men ke bare me: –
Sex Problems: Sex Sambandhi Samasyae in Men
- Testosterone ki Kami
Sex ability me kami hona purusho me ek aam samasya ho chuki hai. Iske real reasons hote hai sex hormone Testosterone ki kami. Purusho me 40 ki age ke baad testosterone ki kami aana ek aam baat hai. Hormone me kami age ke saath judi samasya hai. Lekin kuch log apni age ki shuruwat se hi isse peedit ho Jaate hai. Yeh Diabetes ya dusre tanav sambandhi kaarno se bhi panap sakta hai. Blood me testosterone ki kami se sharir me thakan, dimagi pariwartan, anidra ke saath hi sex ki chahat me bhi kami ho Jaati hai.
you may also like:- Premature Ejaculation: Shighrapatan Ke Gharelu Upay in Hindi
- Shighrapatan (Early Fall)
Sex Problems me sabse common problem hai purosho me shighrapatan hona. Purusho ka mahilao ke samne aate hi ghabra jaana, sperm nikal jaana etc bhi sex problems ke under me hi aata hai. Jisse purush mahilao se dur dur bhagte hai aur apni bimari ko chhupane ki koshish karte hai.
- Weak Maspeshiya
Jyadatar logo me sex me dilchaspi khatam hone ka sabse bada karan erectile dysfunction yani ling ki maspeshiya kamzor padna hai. Yeh samasya kai bar vitamin B ka sevan na karne se, kai bar buri aadto ki wajah se bhi ho sakti hai. Kai logo me tanav sambandhi problem ki wajah se bhi aisa hota hai.
- Sex Ke Prati Udasin
Drink karne vale, drugs lene vale aur bhi buri aadato ka shikar karne vale log sex ke prati hamesha udasin hote hai. Motapa vyakti ko sex se vichlit karta hai. Kai bimariya jaise heart attack, anemia, aur diabetes jaisi bimariya bhi purush ko sex ke prati udasin banati hai. Tanav sambandhi samasyae ya atyadhik busy rahne vale logo ka sex jeevan bhi udasin ho jaata hai.
- Sex Shakti Me Kami
Bohot se logo ko yeh galat fehmi ya bhram ho jaata hai ki ek age ke baad body me sex karne ki shamta me kami aa jaati hai. Lekin yeh dharna galat hai. Kyoki agar age ke saath purush apne swasth ka thik prakar se dhyan rakhenge, to vo sex ka anand usi prakar se le sakte hai jis prakar se ek yuva purush sex kriya ka anand leta hai.
Yeh thi kuch Sex Problems in men. Sex Problems ka hona puri tarah se purosho par hi nirbhar karta hai. Agar vo chahe to bas kuch aasan si chizo ka dhyan rakhkar in Sex problems se nijat paa sakte hai.
Get more details about Sex Problems from Sex & Love.