Shilajit Benefits in Hindi: Shilajit se Hone Wale Fayde

Shilajit ek gummy padarth hai jo Himalaya ki pahadiyo me paaya jaata hai. Shilajit Benefits countless hai. Yeh commonly India, Pakistan, Nepal, Tibet aur China me paaya jaata hai. Yeh bahut se organic substance ka mixture hai. Yeh bahut si bimariyo ke liye effective hai jaise peptic ulcers, diabetic ulcers.

Accha swasth humari mool avashyakta hai aur shilajit ek aisi aushadhi hai jo swasth rehne mai humari madad karti  hai. Yeh purusho ke liye bahut hi faydemand hoti hai. Ayurveda mai isko bahut pehle hi parakh liya gaya tha.

Yeh humare sharir ke kai rog jese twacha, baal, pet, immunity, umra badhna, banjhpan, cough, charbi, madhumeha, mirgi, bavasir, gathiya ki sujan, pathri, pet mai kide aur anya rogo ko nasth karne mai sahayak hoti hai.

Iska sevan dudh, pani ya phir phalo ke ras ke saath karna chahiye. Agar aap iss bhag-doud bhari jindagi se thak gaye hai aur sharir mai thodi urja chahte hai, to shilajit ka sevan aapke liye bahut hi laabhkari sabit hoga.

Shilajit ka main benefit yeh hai ki ye sex ke liye bohot hi labhkari hai. Yeh aapki sex power ko badhata hai aur bohot si power capsules me iska upyog kiya jata hai. Chaliye jante hai shilajit ke aur bhi adhik benefits.

Shilajit Benefits in Hindi: Purusho ko Isse Hone Wale Fayde

Cardiovascular ke Liye Laabhkari:-

Heart ki koi bhi problem ke liye shilajit ka upyog kiya jata hai jese anemia, proper blood balance aur circulation

Youn Mai Vraddhi Kare:-

Shilajit purush prajann pranali aur kaamiccha ko badata hai. Yeh premature ejaculation aur napunsakta ko dur karta hai.

Skin Ke Liye Faydemand:-

Shilajit bhari matra me skin diseases ke liye use kiya jata hai. Skin ke bahut se prakar ke infections shilajit ke sevan se thik ho jaate hai.

You may also like:- Ashwagandha Benefits in Hindi: Ek Poudha Fayde Anek

Umra Ghataye:-

Ucch urja aur jaiv utpado se bhari hone ke karan yeh aapki body ki nayi koshikao ko dubara banati hai aur purani koshikao ko maintain karti hai, jisse aapki umra kam lagti hai.

Madhumeha Thik Kare:-

Acchi diet aur shilajit ka niyamit sevan blood sugar level ko balance karta hai aur madhumeha ko control karta hai.

Urja Badhaye:-

Shilajit ke sevan se sharir mai khoi huyi urja wapas milti hai.Isse protein aur vitamin jyada matra mai milta hai.

Shilajit-Benefits-in-Hindi

Shilajit Benefits for Men and Women:-

Shilajit ladies ke liye bahut upyogi hai. Iske proper sevan se reproductive system sahi bana rahta hai aur menstrual system bhi proper chalta hai. Wese hi yeh mens ke liye bhi laabhkari hai. Yeh unki sexual ability ko badhane mai bahut sahayta karta hai. Weakness hatata hai aur new energy create karta hai. Jisse aapki low performance high ho jati hai.

Sharir ki Sujan Mitaye:-

Yeh aapke swasth ke liye bahut hi bahumulya hai. Isse aapke sharir ki sujan kam hoti hai aur kisi prakar ka dard bhi nahi hota hai.

Dimag ki Shakti Badhaye:-

Yeh tanav, thakan ko mitakar nervous system ko majboot banati hai. Iske niyamit sevan se memory badhti hai aur aapko isse kafi fayda hota hai.

Aap Dabur Shilajit Gold ki madad se bhi apnji sexual iccha ko badha sakte hai aur apni sex life ko acche se bita sakte hai. Yeh aapke liye kafi faydemand sabit hogi. Bharpur josh aur shakti ke liye iska kare aur swasth rahe.

Watch Video of Shilajit Benefits in Hindi Here

Side Effects of Shilajit: Shilajit ke Nuksaan

Agar aap gout se pidit hai to shilajit ka upyog na kare. Yeh aapki body me uric acid ki matra badha deta hai. Children, pregnant women aur nursing women ko ise lene se pahle ek bar doctor se consult karna jaruri hai.

Upar aapne jane Shilajit Benefits in Hindi. To aap bhi iske sevan se apki sexual iccha ko badhaye aur swasth rahe.

Get more updates about Shilajit from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...