Single Parenting in Hindi: Ekal Abhibhavak Ke Liye Tips
Single parenting, dual parenting ki tulna mai bahut alag hoti hai. Aese kai karan hote hai jiski wajah se ek hi vyakti ko dono mata-pita ka kirdar nibhana padta hai. Iske do mukhya karan ho sakte hain- ya to mata-pita ek dusre se alag ho gaye ho ya fir dono mai se ek ki mrityu ho gayi ho. Paristhitiyon ke anusar akele abhibhavak ko kayi chunotiyo ka samna karna padhta hai.
Ekal mata-pita ke baccho ko bhi chhoti umra se hi kartavya aur jimmedari nibhani padhti hai, kyunki unke ghar mai ek ke alawa koi aur vayask nahi hota hai. Aese mai abhibhavak ko jimmedari nibhate samay tanav hona aam baat hai kyunki wo ek perfect parent banne ki koshish karte hain aur ghar mai akele kamane wale hote hai.
Agar aap hal hi mai ekal abhibhavak bane hai, to ho sakta hai shuruwat mai aap khud ko hara hua mehsoos karne lage, kyunki iss ke liye mansik aur sharirik roop se taiyar hona thoda mushkil hota hai aur akelepan se bhi sangharsh karna padhta hai. Aapko bahut sare karya aur bade nirnay khud se karne hote hain. Aese samay mai aapko prabhavi tareeke apnane ki aavashyakata hoti hai, jisse aap aur aapke bacche ka jeevan aasan aur mazedar ban sake. Aaiye Single Parenting in Hindi ke bare mai vistar se jante hai.
Single Parenting in Hindi: Apne Baccho ki Paravarish Ke Liye
Khud ka Khyal Rakhe
Jitni acche se aap khud ki dekhbhal karenge, jaise ki swasth bhojan le, puri nind le aur aram kare, utni hi achhi tarah aap apne bachhe ki parvarish kar paenge. Yeh aapko bachho ki dekhbhal ke liye sahanshakti pradan karega.
Time Management Kare
Single parent ki bhumika nibhate huye aapko bahut se kaam karne hote hain. Aese mai time management ki bahut aavashyakata hoti hai. Jab aap time ko manage karna sikh lenge to karyo ko bhi samay par pura kar payenge aur apne bachho ka achhi tarah se dhyan rakh payenge. Sath hi sath bachho ke sath adhik samay bita payenge. Iss tarah, se sare kary jald samapt ho jayenge aur aap rat mai achhi tarah se nind le sakenge, jisse aapke man ko bhi shanti milegi.
You may also like:- Parenting Tips in Hindi: Baccho Ki Parvarish Kaise Kare
Banaye Weekend ko Khas
Aksar weekdays mai aap bhi apni job mai aur aapke bacche school ya college mai busy hote hai. Tab, weekend hi aesa samay hota hai jab aap ek sath samay bita sakte hai. Weekend ko majedar banane ke liye aap picnic ya movie plan kar sakte hai ya fir ghar par hi khana jaldi banakar bachho ko jyada samay de sakte hai.
Budget ko Prathmikta De
Yeh sunishchit karle ki aap ka arthik ya dhan sambandhi budget acchi tarah se plan ho. Ek bar jab budget achhe se set ho jayega aur dhan ki samasya nahi hogi, tab ghar chalane ki aadhe se jyda chinta to aese hi samapt ho jayegi, aur aap bachhe ki behetar parvarish kar payenge.
Vyayam Ke Liye Samay Nikale
Kam se kam 30 minutes tak koi vyayam karne se tanav kam hota hai. Udaharan ke liye:Jogging, yeh ek achha tarika hai vyayam karne ka. Ise karne se aap sakriya aur urjawan mehsoos karenge. Chahe to aap jogging ke liye apne bachhe ko bhi sath le ja sakte hai. Aesa karne ke do fayde hai – Ek to, aap dono ki sehat achhi banegi. Dusra, aap dono ek dusre ke sath quality time bita sakenge.
Khud par Bharosa Rakhe
Aapko apne jeevan mai aese kayi log milenge, jo aapke bachho ko palne ke liye tarah-tarah ki salah denge. Aesi sthiti mai aap khud par bharosa rakhe aur jo aapko sahi lage, wo hi kare. Kyunki, sabse jyada aap hi apne bachhe ko jante hai aur unki liye kya sahi hai ye keval aap hi acchi tarah samajhte hai.
You may also like:- Newborn Baby Care in Hindi: Navjaat Shishu ki Dekhbhaal
Gusse Par Niyantran Rakhe
Aapki dincharya bahut hi vyasth rahi hogi. Subah uthke khana banana, bachhe ko taiyar karke school ya college bhejna, khud taiyar hona aur fir job par jana. Fir raat to khana banana, bachhe ko homework karana, adhure kam niptana, aadi. Aese mai ho sakta hai kayi bar aap frustration mai aakar apne bachhe par gussa nikal de. Iss bat ka dhyan rakhe ki yeh galti aap na karen. Apne gusse par niyantran rakhna sikhe, jisse bacche ke sath aapke achhe sambandh sthapit ho sake.
Tatkalik Stithiyo Ke Liye Rahe Taiyar
Agar kabhi aadhi raat ko aapke bache ko tej bukhar aajaye aur aapke pas dawa na ho ya fir aap khud bhi us samay bimar ho aur bachhe ki akele dekhbhal karne mai asamrth ho. To, aesi situations se niptane ke liye apako pehle se hi taiyar rahna jaruri hai. Aap apne dosto, rishtedaron aur padosio se acche sambandh bana ke rakhe, ho sake to apne ghar ke aaspas ke Emergency Babysitting Service se sampark bana kar rakhe ya fir bahut si Single-parenting ki websites bhi hoti hai jisse judkar aap apna achha network bana sakte hai, taki achanak utpann hone wali samasyao mai aapko madad mil sake.
Khud ko Samay De
Roz ki is bhagdaur mai khud ko samay dena jaruri hai. Ek taraf, jab aap job par jaate hai, to working professional hote hai. Aur dusri taraf, full time aap single parent hote hai. Aesi situation mai yadi aap khud ko samay nahi denge to ho sakta hai ki ek samay aesa aye ki aap ghar aur office mai balance hi na kar paye. Isliye jaruri hai, rojana khudke liye thoda samay nikaale, books padhe ya apne dosto se mile. Iss tarah aap urjawan rahenge aur job,bachhe aur khud ke jeevan ko balance kar paenge.
Upar aapne jana Single Parenting in Hindi. Single Parenting ek bahut hi jimmedari ka kam hai. Agar aap bhi ekal abhibhavak hai to in baato ka khaas taur par khayal rakhe.