Skin Care in Monsoon in Hindi: Twacha Ki Dekhbhal Ke Nuskhe

Chilchilati garmi ke bad monsoon ki funhar sabko raahat deti hai. Yeh mousam har kisi ko pasand aata hai, bahut kam hi log aese honge jinhe yeh pasand naa ho. Iss mousam mai mitti ki bhini bhini khusboo sabka man moh leti hai. Bahut se log to iss samay barish mai bhigna bhi pasand karte hai.

Sab kuch bahut accha lagta hai. Lekin jaha monsoon aapke man ko itna prasanna karta hai, dusri taraf aapki twacha ke liye kai tarah ki pareshaniya bhi sath lata hai.

Iss wakt hawa mai thandak ke sath sath nami bhi aa jati hai. Jiske chalte aapki twacha kabhi dry lagti hai to kabhi chipchipi. Aese mai yeh samajh pana thoda muskil hota hai ki twacha ka kis tarah khayal rakha jaye.

Twacha ka sahi tarah se khayal naa rakh pane ke karan iss par muhanse hone lagte hai, aur aapka chehra bekar dikhne lagta hai. Iske atirikt iss mousam mai ham tala bhuna bhi adhik khate hai jo ki hamare pet ke liye accha nahi hota. Aese mai twacha sambandhi samasya hona to jayaj hai. Par kya aap jante hai kuch sadharan baato ka dhyan rakhkar aap inn samasyao se chhutkara pa sakte hai. Aaiye jane Skin Care in Monsoon in Hindi.
 

Skin Care in Monsoon in Hindi – Barish mai Twacha Ki Dekhbhal

 
Skin Care in Monsoon in Hindi
 
Aapko monsoon ko khud par bilkul bhi hawi nahi hone dena hai. Kyoki inn dino twacha mai fungus jaisi samasya bhi badh jati hai. Aur chehre par chakatte daad hone se chehra bhi berang ho jata hai. Aaiye jante hai monsoon ke liye Skin Care Tips.

Twacha Ko Saaf Rakhe

Twacha ki dekhbhal ke liye koi bhi prayog ko apnaane se pehle aapko ise saaf rakhna hoga. Iske liye aap kisi bhi facial foam ka istemal kar sakte hai. Isse aapke chehre ki gandagi saaf ho jati hai aur thakan kam mehsus hoti hai.
 

You may also like:- Hair Care in Monsoon: Barish Mai Baalo ki Dekhbhaal Kare

 

Muhanso Se Bachne Ke Liye Burf

Aap apne chehre ko din mai kam se kam do bar burf ke paani se dhoye. Aap chahe to burf ke tukde ko chehre par ghuma bhi sakte hai. Aesa karne se aapki twacha mai nami ya pasina nahi aata aur aapko muhanse nahi hote hai.
 

Aahar Ka Rakhe Vishesh Khayal

Monsoon ke dauran bimariyo ka khatra bahut badh jata hai. Hamara sharir swasth nahi hai to bhala hamari twacha kaise swasth reh sakti hai. Iss samay sankraman bahut teji se fail jata hai. Isliye bahar ke chat paode jaisi chizo ko khane se bachna chahiye.

Ghar mai bana hua saaf suthra bhojan hi grahan karna chahiye. Iss mousam mai phalo ka sevan bhi accha vikalp hai. Inn dino yadi aap teen rang ke phal khate hai to aapki rog pratirodhak shamta badhegi aur aapki twacha acchi rahegi.
 

Face Pack Lagaye

Aapki twacha ko thik rakhne ke liye face pack bahut hi accha vikalp hai. Lekin ise alag alag twacha ke anuroop hona jaruri hai. Skin Care in Rainy Season ke liye isse accha koi vikalp nahi hai.
 
Rukhi Twacha: Rukhi twacha ke liye aese face lagana chahiye jo twacha ko nourish kare. Iske liye 2 chammach anar dane ko mash karle aur usme thoda sa shahad dalkar chehre par lagaye. Kuch der rakhne ke bad chehra dho le.
 
Teliya Twacha: Teliya twacha ko aese face pack jo twacha se atirikt tel ko sonkh le. Iske liye papita sabse behtar hai.  Papite ko katkar paste bana le. Fir iss paste ko chehre par lagaye. 10-15 minute rakhne ke bad dho le. Papaya for Skin se aapka chehra khila rahega.
 
Sanvendshil Twacha: Aesi twacha ke liye kheera bahut faydemand hota hai. Yeh aapki twacha ko thandak deta hai. Jyada prabhav ke liye aap pehle se hi kheera kiskar freez mai rakh de. Fir thande kheere mai dahi aur gulab jal milakar lagaye. Kuch der rakhne ke bad dho le.
 
Normal Twacha: Normal twacha walo ke liye seb aur kele ka pack accha hota hai. Iske liye ¼ seb aur saman matra mai kele ko pees le. Fir usme thoda sa badam ka poder dale. Paste ko thoda patla karne ke liye usme dudh dale. Ab paste se chehre ki massage kare. 10 minute rakhne ke bad chehre ko dho le.
 

You may also like:- Monsoon Mai Fit Rahane ke Kuch Aasan Tips in Hindi

 

Sunscreen Ka Istemal

Barish ke dino mai log sunscreen lagana jaruri nahi samajhte. Lekin barish ke dino mai bhi twacha ki dekhbhal ke liye sunscreen lagana jaruri hai. Lekin haa iss samay water proof wala sunscreen lagaye.
 

Anya Baate inn Par Bhi Gaur Kare

  1. Iss mousam mai hafte mai do bar scrub ka istemal jaruri hai. Scrubbing karne se twacha ke dead cells nikal jate hai.
  2. Antibacterial toner ka prayog monsoon mai bahut labhdayak hota hai. Yeh twacha ki sankraman se raksha karta hai.
  3. Monsoon mai heavy makeup karne se bhi bachna chahiye. Aur jab bhi aapne bahar jate wakt makeup kiya ho. Ghar aakar sabse pehle aapko chehre ko saaf karna jaruri hai.

 
Upar aapne jana Skin Care in Monsoon in Hindi. Twacha ki dekhbhal ke sath sath aap iss samay healthy diet lete rahe. Isse aapke chehre ki rangat barkarar rehti hai. Yahi nahi twacha ki tajgi ke liye khub sara pani pina bhi jaruri hai.
 

Loading...

You may also like...