Slim Body Tips in Hindi: 4 Week mai Paiye Fit Body

Akarshak sharir har koi pana chahta hai. Jiske liye log na jane kya-kya karte hai. Par unko koi sahi result nahi mil pata hai. Aur jiske chalte unki body acchi hone ki bajay aur kharab ho jati hai.

Lekin ghabraiye nahi agar aap bhi ek attractive personality chahte to chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Slim Body Tips. Jisse aap aasani se apne sharir ko sahi aakar de sakte hai, vo bhi kuch hi dino mai.

Ek acche figure ke liye hum aapko batate hai kin-kin workout ke jariye aap apni body ko ek accha shape de sakte hai. Vese har mahila ka sapna hota hai ki, uski body tone rahe tatha wah puri tarah se fit rahe. Lekin aisa hona thoda mushkil hota hai.

Ek acchi body ke liye na keval aapko workout ko routine mai rakhna hoga balki apni diet ko bhi control mai rakhna hoga. Kehne ka matlab hai ki workout ke saath aapki body ko ek acche aur sahi aahar ki jarurat bhi hoti hai. Isliye chaliye niche hamare dwara bataye gaye tips ko apniye aur slim body paiye. Bas dhyan rahe ki aap jab bhi workout kare to Diet Chart for Weight Loss ko bhi lijiye, jisse aapko bahut jaldi fayda milega.

Slim Body Tips Janiye aur Paiye ek Attractive Personality

Slim Body tips
Ham jante hai ki aajkal ki bhagdour bhari dincharya mai kisi ke paas samay nahi hai. Isliye ham aapko wahi batate hai jiski aapko jarurat ho. Lekin fir bhi ham aapko table ke jariye chhota sa view de rahe hai taki aap jaan sake, ki yeh lekh aapki jarurat ke hisab se he ya nahi, aur aap ise aage padh paye.

Tho chale dekhte hai Quick View:-

Kya Kare Kya Naa Kare
Bharpur Phal aur Sabjiya Khaye Junk Food Na Khaye
7-8 Ghante Ki Neend Le Der Raat Tak Naa Jage
Subah Ka Nashta Jarur Kare Jyada Tel aur Meethe Se Duri Rakhe
Yog Kare, Vyayam Kare Kshamta Se Adhik Vyayam Na Kare
Din Bhar Kuch Activity Kare TV Dekhte Huye Khana Na Khaye
Bharpur Matra mai Pani Piye Cold Drinks Ke Sevan Se Bache

Apnaiye Fitness Routine

Slim Body Tips ki baat kare to fitness routine ka naam sabse pahle aata hai. Ek fitness routine apnaiye aur use har 4 week ke baad badlte jaye. Lekin dhyan rahe ki, yeh routine kisi expert ki salah ke saath hi kare. Jisse aap ek hi tarah ke workout ki aadat na hone se aapki body jaldi slim ho jayegi. Saath hi ek acche expert ko ptaa hota hai ki workout kese kare aur relaxed kese rahe. Slim body ko pane ke liye aapko expert ki salah jarur leni chahiye.

Beginners ke Liye

Beginners ko pahle 30 minutes ke workout se shuruvaat karni chahiye. Aur iske baad dheere-dheer 40 se 45 minutes tak workout ko badha dena chahiye, yeh acchi advice hai weight loss ke liye. Khali bethe kar TV dekhane ki jagah par aapko working karni chahiye.

Subah Jogging Par Jaye

Subah subah jogging ya fir park mai brisk walking karne ke liye nikal jaye, jisse aapke pairo, jango aur hips ko toning karne mai madad mil sakti hai. Iske alawa aap treadmill par bhi tezi se work kar sakti hai.

Ghar ki Saaf Safai

Khud ghar ki mehnat se saaf safai kare, cycling ya fir ghar ke kutte ko bahar walk karvane le liye jaye. Isse aapka pet jaldi kam hona shuru ho jayega. Iske alawa aap salsa, dancing, aerobics aadi cardio exercise kar sakte hai. Jisse aapka khub paseena bahega aur aap body shape mai aa jayegi.

Kickboxing ya Rassi Kudna

Kickboxing ya skipping se aap apne bhujao aur haatho ki maspeshiyo ka fats kam kar sakte hai. Iske saath kuch pushups aur crunches bhi jaruri hai. Isse aapka pet bhi kam hoga aur aap slim bhi najar aayenge.

Thigh Par Dhyan de

Sexy legs aur thigh ke bina aapki body adhuri mani jati hai. Apne thigh ko shape mai lane ke liye kuch hips, exercise, legs press aur legs curl kare. Agar aapke liye gym jana sambhav nahi to running, hiking aur summing kare. Isse bhi aapko bahut fayda milega.

Yoga Kare

Yog ki madad se bhi aap slim trim body paa sakte hai. Darahsal yeh aapke andar ke tanav ko dur karta hai, jo ki motape ki mukhya wajah hai. Kuch shodho mai yeh baat samne aayi hai ki yoga karne se stress hormones kam hote hai aur insulin badhta hai.

Isliye jab bhi aap yog karte hai to aapke sharir mai vasa jamta hi nahi hai. Yadi pehle se hi aapke sharir par charbi hai, to yaha diye gaye aasano ko karna aapke liye fayemand shabit ho sakta hai. Lekin yadi aap yog ke liye naye hai to ise ghar par try mat kijiye. Yog ka fayda aapko tabhi milta hai jab aap ise sahi tarike se karte hai. Isliye jab tak aap yog karne mai nipun nahi ho jate yog ka abhyas yog guru ke nirdesh mai hi karna accha hoga.

Yog ka fayda aapko tabhi milta hai jab aap ise sahi tarike se karte hai. Isliye jab tak aap yog karne mai nipun nahi ho jate yog ka abhyas yog guru ke nirdesh mai hi karna accha hoga.

Slim Body

Slim Body Tips ke liye Diet Par Khas Dhyan De

Agar aap gym mai 2 ghante bitati hai aur bhar aakar junk food khati hai, to fir aap acche result ki ummid na kare. Ek accha sharir pane ke sirf exercise karne se kuch nahi hota hai. Iske liye aapko khanpan ka bhi dhyan rakhna chaiye. Behtar hoga ki junk food ki aadat mai sudhar laye. Saath hi apni jivansheli ko bhi sudhare.

To hum bol sakte hai ki Slim Body Tips mai ek sahi diet ka hona bahut jaruri hota hai. Jisse aapko sahi aahar ke dwara ek accha sharir milega. Lekin dhyan rahe ki diet aur workout dono hi aapke personality ke liye mukhya hai.

  • Agar aap Vajan Kam karna chahte to rozana 2 cup green tea jarur pijiye. Isse aapko bahut fayda milega. Saath hi aapka vajan bhi bahut kam ho jayega.
  • Apne aahar mai kuch badlav laiye jese chana dal, badam sup, veg fruit salad, masala oats aadi jaisi cheezo ka sevan kijiye.
  • Saath hi apne aahar mai sabjiya ka sevan kare. Isme vitamin, protein, minerals aadi ki bharpur matra hoti hai.
  • Aapke slim body ke liye sabse jayda jaruri hai aapke aahar mai protein ki matra honi chahiye . Kya aap jante hai ki protein aapke sharir se fats ko khatam karta hai. Iske liye protein rich food ka sevan jarur kijiye.
  • Ek sabse jaruri baat hai ki, apne aahar ko apne blood group ke according hi lijiye. Kyoki agar aap jaldi vajan kam karna chahte hai. To kisi expert ki salah se ek diet chart lijiye. Jisme vah khadya padarth shamil hona chahiye, jo aapko blood group ke hisab se sahi ho.
  • Daliya ka sevan jaruri kijiye. America ke research mai yeh baat samne aai hai ki, daliya khane se lambe samay tak pet bhar rahta hai. Bhuk kam lagti hai. Isliye agar aap apne subah ke nashte mai calorie yukt daliya ka sevan karenge to aapko bahut accha ehsas hota hai.
  • Aahar ko proper time par lijiye. Jyada der tak bhuke na rahiye. Kyoki aisa karne se aapke sharir ka metabolism bigad jata hai. Jo ki aapke motapa ka ek karan hota hai.
  • Saath hi ayurvedic supplement ka sahara lijiye. Isse aapko koi side effect bhi nahi hoga aur aapki body attractive dikhai degi.
  • Apne niyamit aahar mai ucch fiber yukt anaj milaiye jese vibhinn prakar ki dale aadi lijiye.
  • Sabjiyo ka sevan adhik kare. Sabjiya fiber ka aacha sources hai. Example ke liye muli, patte dar gobhi aadi aate hai.
  • Saath apne aahar mai carbohydrate ki matra ko kam kijiye.

Upar aapne jane Slim Body Tips. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tariko ke dwara apne sharir ko accha aakar dijiye aur ek attractive personality paiye.

Loading...

You may also like...